SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAsif Jamal(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dil hai ki hamein phir se udhar le ke chalaa hai ummid se phir rishta-e-jaan baandh liyaa hai aahaT pe na chaunko ki na aaegi yahaan maut dastak pe na jaao ki ye aavaara huaa hai ab sang mudaavaa nahin aashufta-sari kaa yaan sang se bhi phoD ke sar dekh liyaa hai kyaa kijiye har kaavish-e-darmaan hui mahdud har jaada-e-imkaan hai ki masdud huaa hai zinda hain bahar-taur ki marnaa nahin bas mein taa-umr hamaare liye jiine ki sazaa hai ai dil kabhi patthar bhi kahin mom hue hain jo khvaab mein dekhaa hai kahin sach bhi huaa hai"
Asif JamalAsif Jamal
Quote
"bhule hue hain sab ki hai kaar-e-jahaan bahut lekin vo ek yaad hai dil par garaan bahut kuchh raftagaan ke gham ne bhi rakkhaa hamein niDhaal kuchh sadma-haa-e-nau se rahe nim-jaan bahut ham ko na zulf-e-yaar na divaar se gharaz ham ko to yaad-e-yaar ki parchhaaiyaan bahut vo sard-mehriyaan ki hamein raakh kar gaiin sunte hain pahle ham bhi the aatish-ba-jaan bahut ik mauj-e-fitna-sar ki ravaan har nafas mein hai har dam yaqin se pahle uThe hain gumaan bahut ab ke junun mein mauj-e-sabaa kaa bhi haath hai mauj-e-sabaa ki ab ke uThi sargiraan bahut ab ye khabar nahin vo samundar hai yaa saraab apne yahaan hai tishnagi-e-jism-o-jaan bahut sahraa se varna apnaa ilaaqa nahin hai kuchh aashuftagi-e-sar ki havaa hai yahaan bahut"
Asif JamalAsif Jamal
Quote
"vo be-hunar huun ki hai zindagi vabaal mujhe kamaal gar nahin detaa to de zavaal mujhe vo bad-gumaan huaa huun ki e'tibaar uThaa sadaaqaton pe bhi kyaa kyaa hain ehtimaal mujhe main apne aap ko pahchaanne se Dartaa huun tabaah kar gai ye gard-e-maah-o-saal mujhe ghazab huaa tiri yaadon ne saath chhoD diyaa hanuz meri mohabbat hai ik savaal mujhe ye kyaa huaa ki havas ki giraft tang hui main tujh se haath chhuDaane ko huun sambhaal mujhe vo faasle hain ki aankhon mein khvaab naachte hain mili firaaq mein bhi lazzat-e-visaal mujhe vo bevafaa hai to is kaa bhi gham bahut hai magar main baa-vafaa huun to is kaa bhi hai malaal mujhe"
Asif JamalAsif Jamal
Quote
"sahraa se bhi viraan miraa ghar hai ki nahin hai is tarah se jiinaa bhi hunar hai ki nahin hai ye duniyaa basaai hai jo ik be-khabari ki is mein kahin yaadon kaa guzar hai ki nahin hai hai jism ke zindaan mein vahi ruuh ki fariyaad is karb-e-musalsal se mafar hai ki nahin hai divaar ke saae ne tumhein rok liyaa thaa ab himmat-e-imaa-e-safar hai ki nahin hai jis ke liye be-khvaab rahaa karti hain aankhein vo aankh bhi aashufta magar hai ki nahin hai ham shola-e-jaan tez havaaon se bachaa kar zinda hain magar us ko khabar hai ki nahin hai ab kaun rahaa hai jo hamein itni khabar de jo haal idhar hai vo udhar hai ki nahin hai"
Asif JamalAsif Jamal
Quote
"saae ki tarah koi mire saath lagaa thaa kyaa ghar ki tarah dasht bhi aaseb-zada thaa pursish ko na thaa koi to tanhaa thaa bahut main mahrum jo thaa sab se khafaa rahne lagaa thaa har dam nae ehsaas kaa tufaan thaa dil mein kyaa jaaniye main kaun si miTTi se banaa thaa kyaa kyaa na pareshaani-e-khaatir se guzar aae kyaa kyaa na paDe ranj ki dekhaa na sunaa thaa naale ko usi dil mein utar jaane ki hasrat aur nai ko usi bhulne vaale kaa gilaa thaa aashuftagi-e-sar ki jo tohmat hai ghalat hai main apni hi khushbu se pareshaan phiraa thaa ye kaun dil-o-jaan se ham-aahang huaa hai is darja to mahsus khudaa bhi na huaa thaa"
Asif JamalAsif Jamal