SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAzeez Baghravi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sho’la-e-dard liye dida-e-tar mein aae chaaraagar aag lagaane mire ghar mein aae chand tinke hi sahi apne nasheman ki bisaat kuchh to hain jo nigah-e-barq-o-sharar mein aae ab jo phirte hain sukun DhunDte maqtal maqtal tujh se bhaage to tire daam-e-asar mein aae koi darvaaza na rauzan na daricha koi raushni aae to kis raah se ghar mein aae un ko manzil hi nahin 'azmat-e-manzil bhi mili le ke jo tosha-e-jaan raahguzar mein aae zakhm-e-dil mahke to un ko na mili daad koi phuul mahke to zamaane ki nazar mein aae ho tire fan mein 'aziz' us ke sukhan ki khushbu rang us kaa tire andaaz-e-hunar mein aae"
A
Azeez Baghravi
Quote
"'azaab-e-dil se kabhi karb-e-jaan se guzregaa jo sach kahegaa gham-e-bekaraan se guzregaa abhi na band karo maqtalon ke darvaaze abhi ik aur masihaa yahaan se guzregaa chaman chaman mein khaDe hain khizaan ke pahre-daar julus-e-fasl-e-bahaaraan kahaan se guzregaa ye inqalaab kaa pahlu bhi kis ne sochaa thaa khizaan ke baa'd gulistaan khizaan se guzregaa koi bhi fitna ho yaaro kahin bhi barpaa ho hamaare shahr hamaare makaan se guzregaa maqaam-e-sud-o-ziyaan ho ki arz-e-daar-o-rasan guzarne vaalaa har ik imtihaan se guzregaa ravish ravish pe sajaa do gulon ki qindilein ki aaj jaan-e-chaman gulsitaan se guzregaa jabin-e-vaqt ke tevar bataa rahe hain 'aziz' ki fard-fard abhi imtihaan se guzregaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"khaar hai khaar na gul hai gul-e-tar ki surat andalibaan-e-chaman kyaa hai ye ghar ki surat nuur ke saamne jaltaa nahin zulmat kaa charaagh ‘arsa-e-shab mein tum aao to sahar ki surat faiz kyaa ham se uThaaegaa musaafir koi ham na divaar ki surat na shajar ki surat baaryaab-e-nigah-e-naaz koi hotaa hai ashk sab hote nahin laa'l-o-guhar ki surat hosh daaman kaa unhein hai na garebaan kaa khayaal kyaa se kyaa ho gai arbaab-e-nazar ki surat raaste band har ik moD pe rahzan hi sahi hausla ho to nikalti hai safar ki surat kal mire naqsh the is bazm-e-jahaan ki zinat aaj paDhte hain mujhe log khabar ki surat muztarib kyon hain andheron ke parastaar 'aziz' kyaa nazar aa gai qindil-e-sahar ki surat"
A
Azeez Baghravi
Quote
"hisaar-e-zaat mein koi simaT gayaa to kyaa huaa tamaam kaaenaat se vo kaT gayaa to kyaa huaa bahut se tishna-kaam-e-shauq surkh-ru to ho gae hamaaraa khuun doston mein baT gayaa to kyaa huaa abhi to moD moD par pahaaD hi pahaaD hain vo ek sang raaste se haT gayaa to kyaa huaa dilon mein ikhtilaaf ki khalij aur baDh gai ba-zor-e-tegh masala nipaT gayaa to kyaa huaa ghubaar nafraton kaa to dilon mein hai bharaa huaa fazaa se abr-e-kusht-o-khun chhaT gayaa to kyaa huaa zabaan kaa paas laazmi khudaa-parast ke liye zabaan se bul-havas koi palaT gayaa to kyaa huaa nazar-navaaz khil'atein to zindagi ko mil gaiin libaas-e-gard-gard ek phaT gayaa to kyaa huaa hazaaron sarfarosh hain kafan-badosh to abhi sar-e-'aziz-baghravi’ jo kaT gayaa to kyaa huaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"nihaan the phuul nazar se sharaar saamne thaa bahaar thi ki 'azaab-e-bahaar saamne thaa khaDe the ahl-e-nazar gardanein jhukaae hue tiraa taraashaa huaa shaahkaar saamne thaa khizaan ba-zid thi kaho mausam-e-bahaar use libaas-e-ghuncha-o-gul taar-taar saamne thaa gharon mein ahl-e-nazar apne baiThte kyunkar hayaat-e-nau kaa dahaktaa chinaar saamne thaa uThaa ke saaghar-e-zahraab pi gae mai-kash hazaar shauq kaa anjaam-e-kaar saamne thaa havaa kuchh aisi chali gulsitaan mein ab ke baras lahu gulon ke ba-naam-e-bahaar saamne thaa milaa khulus na jab anjuman se uTh aae ki ahl-e-fikr-o-nazar kaa shi'aar saamne thaa nazar na aataa thaa chehra koi bhi saaf 'aziz' 'ajib vaqt kaa gard-o-ghubaar saamne thaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"dil-o-nazar ke liye baais-e-qaraar jo thaa 'azaab-e-jaan hai vahi jaan-e-e'tibaar jo thaa kisi se ho na saki zakhm-e-dil ki bakhiya-gari har ek chaaraagar-e-dard khaam-kaar jo thaa fanaa ke baa'd bhi baaqi rahaa vujud miraa mire khulus mein rang-e-sadaabahaar jo thaa qabaa-darida the ghunche lahuluhaan the gul chaman mein ab ke baras mausam-e-bahaar jo thaa havaa-e-vaqt uDaa le gai kahaan us ko vo nakhvaton kaa falak-bos kohsaar jo thaa tabassumon ki naqaabon mein kaise chhup jaataa dilon kaa dard jabinon se aashkaar jo thaa sukun miltaa kahaan se dil-e-tabaah tujhe hamaaraa dushman-e-jaan apnaa gham-gusaar jo thaa zamaana gard-e-rifaaqat bhi us ki paa na sakaa libaas-e-faqr mein vo ek taajdaar jo thaa sar-e-'aziz' jhukaa bhi to sarfaraaz huaa ki tere 'ishq ki 'azmat kaa paasdaar jo thaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"kuchh ghaTaa di gai kuchh baDhaa di gai kyaa kahaani thi aur kyaa banaa di gai shahr kaa shahr hai aaj khanjar-ba-kaf kyaa mire sar ki qimat lagaa di gai tiir baaqi hain kyaa tarkashon mein abhi jo hamein zindagi ki du'aa di gai aashiyaanon ki barbaadiyon kaa sabab bijliyon ki sharaarat bataa di gai aap to un ke halqa-bagoshon mein the aap ko kis khataa ki sazaa di gai raushni ghar mein daakhil na ho is liye har dariche ki chilman giraa di gai munh se labbaik labbaik kahte hue jaan-nisaar aa gae jab sadaa di gai gham bhi duniyaa se baDh-chaDh ke ham ko mile sarfaraazi bhi sab se sivaa di gai bas isi par hai barham zamaana 'aziz' us ko tasvir us ki dikhaa di gai"
A
Azeez Baghravi
Quote
"ham fikr ke khilaaf na fan ke khilaaf hain ham to sukhan-baraae-sukhan ke khilaaf hain kahte hain baat haqq-o-sadaaqat ki barmalaa ham log zehn-o-dil ki ghuTan ke khilaaf hain dil mein hai kuchh zabaan pe kuchh hai 'amal hai kuchh ham aise daagh daagh chalan ke khilaaf hain insaaniyat kaa qatl gavaaraa nahin hamein har farq-e-rang-o-nasl-o-vatan ke khilaaf hain un kaa sitamgari mein bhi koi nahin javaab yuun vo sazaa-e-daar-o-rasan ke khilaaf hain murghaan-e-khush-navaa hain nishaana chaman chaman har-chand log zaagh-o-zaghan ke khilaaf hain sarv-o-saman se kad hai to raqs-e-sabaa se bair ahl-e-chaman bahaar-e-chaman ke khilaaf hain barpaa kiye hain aise to duniyaa ne inqalaab aur aap hain ki she'r-o-sukhan ke khilaaf hain ham se vo maangte hain subut-e-vafaa 'aziz' jo be-zamir apne vatan ke khilaaf hain"
A
Azeez Baghravi
Quote
"zehnon mein maslahat hai dilon mein umang hai barpaa harim-e-shauq mein ik sard jang hai chehra udaas dil mein ghuTan 'aql dang hai TuuTaa huaa hayaat kaa ek ek ang hai kyaa inqilaab-e-vaqt hai kyaa dekhtaa huun main shisha-giraan-e-shahr ke haathon mein sang hai ab kaise khaar-o-gul mein kare koi imtiyaaz jo gul kaa rang hai vahi kaanTon kaa rang hai har phuul zakhm zakhm shagufa lahu lahu shaayad bahaar ab ke baras khun-tarang hai naamus-e-bazm-e-dida-o-dil thaa jo vo sukhan lauh-e-jabin-e-shauq pe ab harf-e-nang hai lafz-o-bayaan mein kho gae sab ahl-e-fan 'aziz' baaqi tumhaare dam se taghazzul kaa rang hai"
A
Azeez Baghravi
Quote
"ajnabi jaanaa kisi ne dushman-e-jaani mujhe jaan kar bhi aaj tak duniyaa na pahchaani mujhe yaad jab aaya hai daur-e-hashr-saamaani mujhe paani paani kar gayaa andaaz-e-insaani mujhe dusron ki raahaton kaa raasta to khul gayaa raas aae yaa na aae meri qurbaani mujhe le uDaa vo to mujhe meraa par-e-parvaaz-e-shauq maar deti gulsitaan ki tang-daamaani mujhe main to samjhaa thaa miTaa Daaleinge ye miraa vujud haadson ne bakhsh di ik 'umr-e-laafaani mujhe paanv uThte hi gae manzil ki jaanib dam-ba-dam raah dikhlaati gai meri pareshaani mujhe manzil-e-maqsud raushan raasta be-pech-o-kham ab safar ki chaahiye kyaa aur aasaani mujhe chhoD kar is aastaan ko ye mili mujh ko sazaa dar-ba-dar karni paDi kham apni peshaani mujhe jaan de dete hain naahaq par bhi log apni 'aziz' haq-bayaani se ho kyon aakhir pashemaani mujhe"
A
Azeez Baghravi
Quote
"fikr ko shahpar junun ko naqsh-e-paa mil jaaegaa 'azm-e-mohkam le ke uTTho raasta mil jaaegaa haadson kaa kyaa hai ye to zindagi ke saath hain ek se bach kar chaloge dusraa mil jaaegaa dosh par rakkhe hue sar ki koi qimat nahin sar uThaa kar chal koi qaatil-adaa mil jaaegaa kaun hai mere sivaa aasuda-e-gham shahr mein jis se puchhoge mire ghar kaa pataa mil jaaegaa dard kaa ehsaas bhi us mein ho ye laazim nahin dil to har pahlu mein ik TuuTaa huaa mil jaaegaa marhale aise bhi aaeinge kabhi sochaa na thaa rahzanon se khud amir-e-qaafila mil jaaegaa chehra chehra dekh legaa apne apne khadd-o-khaal ek din har aadmi ko aaina mil jaaegaa muntazir hai chashm-e-saaqi jumbish-e-lab ki 'aziz' be-talab kyaa tujh ko barbaad-e-anaa mil jaaegaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"khanjar-ba-dast hai na jahaan sar-ba-kaf koi aasaar-e-zindagi ke nahin us taraf koi aapas ki kashmakash mein idhar mubtalaa ho tum maidaan-e-zindagi mein udhar saf-ba-saf koi ahl-e-havas ne yaad kiyaa hai use bahut jab saahib-e-zamir huaa hai talaf koi 'izzat har ek siip ki qismat mein hai kahaan hotaa hai sarfaraaz dahaan-e-sadaf koi dil mein nahin hai jis kaa koi paas-o-ehtiraam le kar usi kaa naam uThaae halaf koi Thukraa ke motiyon ko javaahir ko chhoD kar daaman mein bhar ke le gayaa khisht-o-khazaf koi parvaaz apni apni nazar ki judaa judaa shaaista-e-salaf koi nang-e-salaf koi ham vaarisaan-e-lauh-o-qalam ko bhi ho 'ataa yaa-rab jihaad-e-harf-o-qalam kaa sharaf koi qaatil hai teraa tarz-e-takhaatub bhi ai 'aziz' ru-e-sukhan kisi ki taraf hai hadaf koi"
A
Azeez Baghravi
Quote
"nok-e-khanjar pe saje sar nahin dekhe jaate khun-chakaan roz ke manzar nahin dekhe jaate zulm vaalon ke makaan hon ki vo mazlumon ke ham se basti ke jale ghar nahin dekhe jaate maslahat-kosh nahin haq ke taraf-daar hain ham farz ke saamne patthar nahin dekhe jaate had se baDh jaae agar nashsha-e-bedaad-gari apne begaanon ke phir sar nahin dekhe jaate ho khulaa haath nazar aaein lakirein us ki band muTThi mein muqaddar nahin dekhe jaate rang tasvir ke andar hi bhale lagte hain rang tasvir ke baahar nahin dekhe jaate ab faqat chehron pe rahti hai zamaane ki nazar ab kisi shakhs ke jauhar nahin dekhe jaate harf-e-haq aaj bhi hai ahl-e-vafaa ke lab par aaj vo daar-o-rasan par nahin dekhe jaate daaman-e-ahl-e-hunar mein nahin kyaa chiiz 'aziz' fikr-o-ehsaas ke gauhar nahin dekhe jaate"
A
Azeez Baghravi
Quote
"chhupaa kar zakhm-e-dil lafzon ke pas-manzar mein rakhte hain kahaani ghar ki ghairat-mand apne ghar mein rakhte hain ham apne saae ko qad se kabhi baDhne nahin dete ham apne paanv apne zarf ki chaadar mein rakhte hain gavaaraa gulsitaan kaa qaid-khaana kis tarah kar lein vo divaane jo aazaadi kaa saudaa sar mein rakhte hain na us se khub-tar moti na us jaisaa koi hiiraa ham aisaa gauhar-e-naayaab chashm-e-tar mein rakhte hain musalsal zakhm khaate hain magar uf tak nahin karte balaa kaa zarf divaane dil-e-muztar mein rakhte hain musaafir apni manzil se na bhaTke is liye har dam charaagh-e-aagahi raushan vo bahr-o-bar mein rakhte hain abhi sochaa nahin ahl-e-khirad ne jin ke baare mein ham aise tajrabe ash'aar ke paikar mein rakhte hain hisaar-e-jaur-e-gul-chin mein bhi hain naghma-saraa taair surur-e-lazzat-e-parvaaz ab tak par mein rakhte hain 'aziz' us ki jhalak kirdaar se bhi to numaayaan ho yaqin jo aap zaat-e-daavar-e-mahshar mein rakhte hain"
A
Azeez Baghravi
Quote
"haq ki khaatir khudaa ki khushi ke liye jiinaa marnaa hamaaraa usi ke liye dil kisi ke liye sar kisi ke liye bad-numaa daagh hai zindagi ke liye dil to maail hain vaabastagi ke liye haath baDhte nahin dosti ke liye mar ke bhi log rahte hain zinda magar ye sa'aadat nahin har kisi ke liye meraa qaatil miraa apnaa kirdaar hai kis ko ilzaam duun khud-kushi ke liye baal-o-par ke liye har bulandi nasheb har zamin aasmaan be-pari ke liye gumrahi ke liye kam hazaaron baras ek pal bhi bahut aagahi ke liye ye andhere na honge charaaghon se kam dil jalaao yahaan raushni ke liye mai-kasho aao vaa hai dar-e-mai-kada shart koi nahin mai-kashi ke liye she'r kahnaa 'aziz' apne bas kaa nahin sirf lafzon ki baazigari ke liye"
A
Azeez Baghravi
Quote
"likkhe jo gul ko zakhm lahu ko hinaa kahe fankaar ab usi ko zamaana baDaa kahe kyaa inqilaab-e-vaqt hai ham chaahte hain ab rudaad-e-gham hamaari koi dusraa kahe khaatir mein bhi khudaa ko na laae ye aadmi aae navaazne pe to but ko khudaa kahe taslim kyon ise koi ahl-e-nazar kare saaraa jahaan ravaa ko agar naaravaa kahe badleinge ham na apnaa mazaaq-e-sukhan kabhi naaqid hazaar qaatil-e-harf-o-navaa kahe naa-mo'tabar hain vahm-o-gumaan ke tamaam naqsh hai mo'tabar vo 'aks jise aaina kahe lahje hain sab ke ek se kirdaar ek saa kis ko harif kis ko koi ham-navaa kahe ik ajnabi kahe to 'aziz' is kaa gham nahin tark-e-vafaa ki baat jo gham-aashnaa kahe"
A
Azeez Baghravi
Quote
"khush-fikr-o-khush-mazaaq-o-mohabbat-shi'aar log khvaab-o-khayaal ho gae baagh-o-bahaar log kaanTon ko phuul phuul ko kahte hain khaar log ab aur kyaa dikhaaeinge lail-o-nahaar log chhu kar dilon ko jin ke na guzri havaa-e-dard kaise uThaaeinge vo tire gham kaa baar log kis ki nigaah-e-lutf kaa ye faiz-e-khaas hai maqtal se bhi guzar gae divaana-vaar log kaise qarib aauun tire jaan-e-aarzu roke hue hain raah miri gham-gusaar log manzil se bad-gumaan koi jaada se be-khabar kis mir-e-kaarvaan pe karein e'tibaar log pahlu badal ke rah gai phir hasrat-e-hayaat bedaar ho ke so gae phir dil-figaar log rahtaa huun chup to hoti hai dil mein ghuTan 'aziz' izhaar-e-gham karun to karein sangsaar log"
A
Azeez Baghravi
Quote
"muntazir hai dast-e-qaatil mein khulaa khanjar chalo ham bhi dekhein aaj apne qatl kaa manzar chalo kuchh to TuuTe is ghuTan ki zahr-naaki kaa tilism aandhiyo ab ke baras tum shahr ke andar chalo ye vo shabnam hai jo andar se jalaa deti hai jism aagahi ki sho'la-saamaani se bach bach kar chalo parda-poshi se haqaaeq to badal sakte nahin lo tumhein bhi farz kar lete hain paighambar chalo aap ki gardan pe kyon tegh-e-sitam-pesha chali ham to qaatil ki nazar mein the kashida-sar chalo dil mein paidaa hi na hogaa sair-e-gulshan kaa khayaal tum zaraa kuchh duur mere saath kaanTon par chalo duur tak phailaa ho jaise shab kaa sannaaTaa 'aziz' aao pheinkein zindagi ke bahr mein patthar chalo"
A
Azeez Baghravi
Quote
"naamus-e-qalam fikr-e-guhar-baar na becho ai dida-varo ghairat-e-fankaar na becho chup rahnaa to hai zulm ki taaid mein shaamil haq baat kaho jurat-e-izhaar na becho virsa hai ye nabiyon kaa amaanat hai khudaa ki jaan haarne vaalo dil-e-khuddaar na becho kaanTe kabhi hote nahin phulon ke baraabar ai ahl-e-chaman husn kaa me'yaar na becho raushan hai isi nuur se qindil-e-tamanna afsurda-dilo lazzat-e-aazaar na becho raas aati nahin sab ko ye aavaara-mizaaji ai dasht-navardo abhi ghar-baar na becho ai sho'la-rukho husn ki pahchaan to rakkho aankhon ki hayaa taabish-e-rukhsaar na becho kahne do 'aziz' us ko jo kahtaa hai zamaana tum apnaa lab-o-lahja-e-ash'aar na becho"
A
Azeez Baghravi
Quote
"uTThe to the arbaab-e-sitam soch-samajh ke sab mil gae miTTi mein bharam soch-samajh ke har chand hai kaanTon se bhari raah hamaari ham ne bhi uThaae hain qadam soch-samajh ke ye shai dil-e-khuddaar ki Thukraai hui hai is samt uThe chashm-e-karam soch-samajh ke ab larza-bar-andaam hai kyon vahshat-e-qaatil karnaa thaa mire sar ko qalam soch-samajh ke miTtaa hai kahin naqsh-e-rifaaqat dil-e-naadaan khaa tark-e-ta'alluq ki qasam soch-samajh ke is 'ahd-e-riyaa-kaar se allaah bachaae ab khud se bhi milte hain to ham soch-samajh ke uThtaa hai agar dard nikal paDti hain chikhein karte nahin izhaar-e-alam soch-samajh ke har chand ki divaana saa lagtaa hai 'aziz' ik kartaa hai magar she'r raqam soch-samajh ke"
A
Azeez Baghravi
Quote
"utraa samundaron mein kabhi chaand par gayaa le kar kahaan kahaan mujhe zauq-e-safar gayaa aankhein khulin to khvaab-e-tamannaa se Dar gayaa khush-fahmiyon kaa aaina-khaana bikhar gayaa derina hasraton ke shagufe mahak uThe jhonkaa havaa kaa band-e-qabaa chaak kar gayaa lahje ki talkhiyon mein samoyaa huaa khulus e'jaaz-e-harf thaa ki dilon mein utar gayaa fasl-e-bahaar tak thiin qabaaein gulon ki chaak phir vahshaton kaa chaDh ke vo dariyaa utar gayaa chaahaa thaa ahl-e-naqd-o-nazar ne to aur kuchh chehra kuchh aur fan kaa hamaare nikhar gayaa aaya thaa anjuman mein liye qahqahe 'aziz' uTh kar gayaa to bazm ko afsurda kar gayaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"sho'lon ki hukumat hai chaman zer-o-zabar hai mausam hai bahaaron kaa magar raqs-e-sharar hai socho to har ik dil mein hain nafrat ke sharaare dekho to har ik shakhs baham shir-o-shakar hai mazlum se hamdardiyaan zaalim se rah-o-rasm ai chaara-gar-e-gham tu idhar hai ki udhar hai ghar mein jo chhupe baiThe hain un ko bhi to dekho baahar ke harifon pe to ham sab ki nazar hai ik aankh ki qismat ki jo aansu hai vo paani ik aankh mein jo ashk hai maanind-e-guhar hai ik haal pe Thahraa hai na Thahregaa zamaana har subh ki ik shaam hai har shab ki sahar hai hain ahl-e-nazar dard ki daulat se tahi-dil dil jis ko mayassar hai vo mahrum-e-nazar hai bikhre hain dar-o-baam pe taabinda haqaaeq sone kaa nahin vaqt ye hangaam-e-sahar hai sar le ke hatheli pe 'aziz' aaein yahaan log ye raah-e-‘azimat hai shahaadat kaa safar hai"
A
Azeez Baghravi
Quote
"manzar hayaat-sozi kaa dekhaa na jaaegaa ham se to ghar mein chain se baiThaa na jaaegaa kaT jaae sar balaa se jhukaayaa na jaaegaa zaalim ko be-gunaah to likkhaa na jaaegaa tufaan sar uThaae ki bijli koi gire gul ki hansi kali kaa chaTaknaa na jaaegaa maqtal sajaao tum ki salibein khaDi karo ye inqilaab-e-vaqt hai rokaa na jaaegaa achchhaa huaa ki fikr-e-nasheman se bach gae ehsaan bijliyon kaa bhulaayaa na jaaegaa ab be-qaraariyon hi se shaayad sukun mile aasudgi mein dil kaa taDapnaa na jaaegaa dil ki jahaan hai qadr na qimat zamir ki us anjuman mein ham se to jaayaa na jaaegaa karnaa hai tishnagi kaa mudaavaa hamein 'aziz' chal kar kisi ke paas to dariyaa na jaaegaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"sho'la-e-dard liye dida-e-tar mein aae chaaraagar aag lagaane mire ghar mein aae chand tinke hi sahi apne nasheman ki bisaat kuchh to hain jo nigah-e-barq-o-sharar mein aae ab jo phirte hain sukun DhunDte maqtal maqtal tujh se bhaage to tire daam-e-asar mein aae koi darvaaza na rauzan na daricha koi raushni aae to kis raah se ghar mein aae un ko manzil hi nahin 'azmat-e-manzil bhi mili le ke jo tosha-e-jaan raahguzar mein aae zakhm-e-dil mahke to un ko na mili daad koi phuul mahke to zamaane ki nazar mein aae ho tire fan mein 'aziz' us ke sukhan ki khushbu rang us kaa tire andaaz-e-hunar mein aae"
A
Azeez Baghravi