SHAWORDS

muntazir hai dast-e-qaatil mein khulaa khanjar chalo — Azeez Baghravi

HomeAzeez BaghraviGhazal
"muntazir hai dast-e-qaatil mein khulaa khanjar chalo ham bhi dekhein aaj apne qatl kaa manzar chalo kuchh to TuuTe is ghuTan ki zahr-naaki kaa tilism aandhiyo ab ke baras tum shahr ke andar chalo ye vo shabnam hai jo andar se jalaa deti hai jism aagahi ki sho'la-saamaani se bach bach kar chalo parda-poshi se haqaaeq to badal sakte nahin lo tumhein bhi farz kar lete hain paighambar chalo aap ki gardan pe kyon tegh-e-sitam-pesha chali ham to qaatil ki nazar mein the kashida-sar chalo dil mein paidaa hi na hogaa sair-e-gulshan kaa khayaal tum zaraa kuchh duur mere saath kaanTon par chalo duur tak phailaa ho jaise shab kaa sannaaTaa 'aziz' aao pheinkein zindagi ke bahr mein patthar chalo"
Urdu

منتظر ہے دست قاتل میں کھلا خنجر چلو ہم بھی دیکھیں آج اپنے قتل کا منظر چلو کچھ تو ٹوٹے اس گھٹن کی زہر ناکی کا طلسم آندھیو اب کے برس تم شہر کے اندر چلو یہ وہ شبنم ہے جو اندر سے جلا دیتی ہے جسم آگہی کی شعلہ سامانی سے بچ بچ کر چلو پردہ پوشی سے حقائق تو بدل سکتے نہیں لو تمہیں بھی فرض کر لیتے ہیں پیغمبر چلو آپ کی گردن پہ کیوں تیغ ستم پیشہ چلی ہم تو قاتل کی نظر میں تھے کشیدہ سر چلو دل میں پیدا ہی نہ ہوگا سیر گلشن کا خیال تم ذرا کچھ دور میرے ساتھ کانٹوں پر چلو دور تک پھیلا ہو جیسے شب کا سناٹا عزیزؔ آؤ پھینکیں زندگی کے بحر میں پتھر چلو

Hindi

मुंतज़िर है दस्त-ए-क़ातिल में खुला ख़ंजर चलो हम भी देखें आज अपने क़त्ल का मंज़र चलो कुछ तो टूटे इस घुटन की ज़हर-नाकी का तिलिस्म आँधियो अब के बरस तुम शहर के अंदर चलो ये वो शबनम है जो अंदर से जला देती है जिस्म आगही की शो'ला-सामानी से बच बच कर चलो पर्दा-पोशी से हक़ाएक़ तो बदल सकते नहीं लो तुम्हें भी फ़र्ज़ कर लेते हैं पैग़म्बर चलो आप की गर्दन पे क्यों तेग़-ए-सितम-पेशा चली हम तो क़ातिल की नज़र में थे कशीदा-सर चलो दिल में पैदा ही न होगा सैर-ए-गुलशन का ख़याल तुम ज़रा कुछ दूर मेरे साथ काँटों पर चलो दूर तक फैला हो जैसे शब का सन्नाटा 'अज़ीज़' आओ फेंकें ज़िंदगी के बहर में पत्थर चलो

muntazir hai dast-e-qātil meñ khulā ḳhanjar chalo
A
Azeez Baghravi
Azeez Baghravi
poet25 quotes

More by Azeez Baghravi

View all →
Quote
"'azaab-e-dil se kabhi karb-e-jaan se guzregaa jo sach kahegaa gham-e-bekaraan se guzregaa abhi na band karo maqtalon ke darvaaze abhi ik aur masihaa yahaan se guzregaa chaman chaman mein khaDe hain khizaan ke pahre-daar julus-e-fasl-e-bahaaraan kahaan se guzregaa ye inqalaab kaa pahlu bhi kis ne sochaa thaa khizaan ke baa'd gulistaan khizaan se guzregaa koi bhi fitna ho yaaro kahin bhi barpaa ho hamaare shahr hamaare makaan se guzregaa maqaam-e-sud-o-ziyaan ho ki arz-e-daar-o-rasan guzarne vaalaa har ik imtihaan se guzregaa ravish ravish pe sajaa do gulon ki qindilein ki aaj jaan-e-chaman gulsitaan se guzregaa jabin-e-vaqt ke tevar bataa rahe hain 'aziz' ki fard-fard abhi imtihaan se guzregaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"khaar hai khaar na gul hai gul-e-tar ki surat andalibaan-e-chaman kyaa hai ye ghar ki surat nuur ke saamne jaltaa nahin zulmat kaa charaagh ‘arsa-e-shab mein tum aao to sahar ki surat faiz kyaa ham se uThaaegaa musaafir koi ham na divaar ki surat na shajar ki surat baaryaab-e-nigah-e-naaz koi hotaa hai ashk sab hote nahin laa'l-o-guhar ki surat hosh daaman kaa unhein hai na garebaan kaa khayaal kyaa se kyaa ho gai arbaab-e-nazar ki surat raaste band har ik moD pe rahzan hi sahi hausla ho to nikalti hai safar ki surat kal mire naqsh the is bazm-e-jahaan ki zinat aaj paDhte hain mujhe log khabar ki surat muztarib kyon hain andheron ke parastaar 'aziz' kyaa nazar aa gai qindil-e-sahar ki surat"
A
Azeez Baghravi
Quote
"hisaar-e-zaat mein koi simaT gayaa to kyaa huaa tamaam kaaenaat se vo kaT gayaa to kyaa huaa bahut se tishna-kaam-e-shauq surkh-ru to ho gae hamaaraa khuun doston mein baT gayaa to kyaa huaa abhi to moD moD par pahaaD hi pahaaD hain vo ek sang raaste se haT gayaa to kyaa huaa dilon mein ikhtilaaf ki khalij aur baDh gai ba-zor-e-tegh masala nipaT gayaa to kyaa huaa ghubaar nafraton kaa to dilon mein hai bharaa huaa fazaa se abr-e-kusht-o-khun chhaT gayaa to kyaa huaa zabaan kaa paas laazmi khudaa-parast ke liye zabaan se bul-havas koi palaT gayaa to kyaa huaa nazar-navaaz khil'atein to zindagi ko mil gaiin libaas-e-gard-gard ek phaT gayaa to kyaa huaa hazaaron sarfarosh hain kafan-badosh to abhi sar-e-'aziz-baghravi’ jo kaT gayaa to kyaa huaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"nihaan the phuul nazar se sharaar saamne thaa bahaar thi ki 'azaab-e-bahaar saamne thaa khaDe the ahl-e-nazar gardanein jhukaae hue tiraa taraashaa huaa shaahkaar saamne thaa khizaan ba-zid thi kaho mausam-e-bahaar use libaas-e-ghuncha-o-gul taar-taar saamne thaa gharon mein ahl-e-nazar apne baiThte kyunkar hayaat-e-nau kaa dahaktaa chinaar saamne thaa uThaa ke saaghar-e-zahraab pi gae mai-kash hazaar shauq kaa anjaam-e-kaar saamne thaa havaa kuchh aisi chali gulsitaan mein ab ke baras lahu gulon ke ba-naam-e-bahaar saamne thaa milaa khulus na jab anjuman se uTh aae ki ahl-e-fikr-o-nazar kaa shi'aar saamne thaa nazar na aataa thaa chehra koi bhi saaf 'aziz' 'ajib vaqt kaa gard-o-ghubaar saamne thaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"dil-o-nazar ke liye baais-e-qaraar jo thaa 'azaab-e-jaan hai vahi jaan-e-e'tibaar jo thaa kisi se ho na saki zakhm-e-dil ki bakhiya-gari har ek chaaraagar-e-dard khaam-kaar jo thaa fanaa ke baa'd bhi baaqi rahaa vujud miraa mire khulus mein rang-e-sadaabahaar jo thaa qabaa-darida the ghunche lahuluhaan the gul chaman mein ab ke baras mausam-e-bahaar jo thaa havaa-e-vaqt uDaa le gai kahaan us ko vo nakhvaton kaa falak-bos kohsaar jo thaa tabassumon ki naqaabon mein kaise chhup jaataa dilon kaa dard jabinon se aashkaar jo thaa sukun miltaa kahaan se dil-e-tabaah tujhe hamaaraa dushman-e-jaan apnaa gham-gusaar jo thaa zamaana gard-e-rifaaqat bhi us ki paa na sakaa libaas-e-faqr mein vo ek taajdaar jo thaa sar-e-'aziz' jhukaa bhi to sarfaraaz huaa ki tere 'ishq ki 'azmat kaa paasdaar jo thaa"
A
Azeez Baghravi
Quote
"sho’la-e-dard liye dida-e-tar mein aae chaaraagar aag lagaane mire ghar mein aae chand tinke hi sahi apne nasheman ki bisaat kuchh to hain jo nigah-e-barq-o-sharar mein aae ab jo phirte hain sukun DhunDte maqtal maqtal tujh se bhaage to tire daam-e-asar mein aae koi darvaaza na rauzan na daricha koi raushni aae to kis raah se ghar mein aae un ko manzil hi nahin 'azmat-e-manzil bhi mili le ke jo tosha-e-jaan raahguzar mein aae zakhm-e-dil mahke to un ko na mili daad koi phuul mahke to zamaane ki nazar mein aae ho tire fan mein 'aziz' us ke sukhan ki khushbu rang us kaa tire andaaz-e-hunar mein aae"
A
Azeez Baghravi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar