SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBahram Ji(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kab tasavvur yaar-e-gul-rukhsaar kaa fel-e-abas ishq hai is gulshan-o-gulzaar kaa feal-e-abas nikhat-e-gasu-e-khubaan ne kiyaa be-qadr use ab hai saudaa naafa-e-taataar kaa feal-e-abas rishtha-e-ulfat rag-e-jaan mein buton kaa paD gayaa ab ba-zaahir shaghl hai zunnaar kaa feal-e-abas aarzu-mand-e-shahaadat aashiq-e-saadiq hue ghair ko Dar hai tiri talvaar kaa feal-e-abas jab dil-e-sangin-dilaan mein kuchh asar hotaa nahin girya hai is dida-e-khun-baar kaa feal-e-abas khvaab mein bhi yaar ko is kaa khayaal aataa nahin jaagnaa thaa dida-e-bedaar kaa feal-e-abas khaali-az-hikmat huaa 'bahraam' kab fel-e-hakim kaam kab hai daavar-e-daadaar kaa feal-e-abas"
B
Bahram Ji
Quote
"jo hai yaan aasaaish-e-ranj-o-mehan mein mast hai kucha-e-jaanaan mein ham hain qais ban mein mast hai tere kuche mein hai qaatil raqs-gaah-e-aashiqaan koi ghaltaan sar-ba-kaf koi kafan mein mast hai mai-kade mein baada-kash but-khaane mein hain but-parast jo hai 'aalam mein vo apni anjuman mein mast hai nikhat-e-zulf-e-sanam se yaan mo'attar hai dimaagh koi mushk-chin koi mushk-e-khutan mein mast hai hai koi mahv-e-namaaz aur khum-kade mein koi mast dil miraa ishq-e-butaan-e-dil-shikan mein mast hai hai musalmaan ko hamesha aab-e-zamzam ki talaash aur har ik barhaman gang-o-jaman mein mast hai aks-e-ru-e-shama-ru hai mere dil mein jaa-guzin dil miraa is aatish-e-lama-fagan mein mast hai hai miraa har sher-e-tar 'bahraam' kaisaa pur-asar jis ko dekho majlis-e-ahl-e-sukhan mein mast hai"
B
Bahram Ji
Quote
"ham na but-khaane mein ne masjid-e-viraan mein rahe hasrat-o-aarzu-e-jalva-e-jaanaan mein rahe khuun hai vo jis se ki ho daaman-e-qaatil rangin khuun faasid hai jo khaali sar-e-mizhgaan mein rahe ham ne masnua se saane ki haqiqat paai be-sabab ham nahin nazzaara-e-khubaan mein rahe subh khurshid ko dekhaa havas-e-aariz mein shaam se raushni-e-sham-e-shabistaan mein rahe toDaa zunnaar ko tasbih ko pheinkaa ham ne ishq-e-rukh thaa havas-e-nur-e-darakhshaan mein rahe jaa-ba-jaa ham ko rahi jalva-e-jaanaan ki talaash dair-o-kaaba mein phire sohbat-e-rahbaan mein rahe khalvat-e-dil ki na kuchh qadr ko samjhe haaji tauf-e-kaaba ke liye dasht-o-bayaabaan mein rahe un asiron ko hui qaid-e-taayyun se najaat jo ki paaband tire gesu-e-pechaan mein rahe is zamin mein ghazal ik aur bhi likkho 'bahraam' ye do-ghazla to bhalaa aap ke divaan mein rahe"
B
Bahram Ji
Quote
"duur ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah aaj to ham-nashin use laa mire ghar kisi tarah tir-e-mizha ho yaar kaa aur nishaana dil miraa tiir pe tiir taa-ba-kai kiije hazar kisi tarah naala ho yaa ki aah ho shaam ho yaa pagaah ho dil mein buton ke haae haae kiije asar kisi tarah aai shab-e-firaaq hai raat hai sakht ye bahut kiije shumaar-e-akhtaraan taa ho sahar kisi tarah ishq mein dil se ham hue mahv tumhaare ai buto khaali hain chashm-o-dil karo in mein guzar kisi tarah"
B
Bahram Ji
Quote
"ghamgin nahin huun dahr mein to shaad bhi nahin aabaad agar nahin huun to barbaad bhi nahin milti tiri vafaa ki mujhe daad bhi nahin majnun nahin hai dahr mein farhaad bhi nahin kahtaa hai yaar jurm ki paate ho tum sazaa insaaf agar nahin hai to be-daad bhi nahin insaan ki qadr kyaa hai jo ho tere ru-ba-ru tere muqaable mein pari-zaad bhi nahin afsos kis se yaar ki khinchvaaiye shabih 'maani' nahin jahaan mein hai 'bahzaad' bhi nahin kartaa hai uzr-e-jaur-o-jafaa yaar tu abas honaa jo thaa huaa vo hamein yaad bhi nahin kushta huaa huun abru-e-khamdaar-e-yaar kaa mere liye zarurat-e-jallaad bhi nahin hasrat bhare hue gae duniyaa se saikaDon tasdiq kis se kijiye shaddaad bhi nahin 'bahraam' mere zor-e-tabiat se hai sukhan shaagird main nahin huun to ustaad bhi nahin"
B
Bahram Ji
Quote
"bahs kyuun hai kaafir-o-din-daar ki sab hai qudrat daavar-e-davvaar ki ham saf-e-''qaalu-balaa'' mein kyaa na the kuchh nai khvaahish nahin didaar ki DhunDh kar dil mein nikaalaa tujh ko yaar tu ne ab mehnat miri be-kaar ki shakl-e-gul mein jalva karte ho kabhi gaah surat bulbul-e-gulzaar ki aap aate ho kabhi subha-ba-kaf karte ho khvaahish kabhi zunnaar ki lan-taraani aap ki muusaa se thi har jagah haajat nahin inkaar ki khaas hain maqtul-e-shamshir-e-jafaa kuchh to lazzat hai tiri talvaar ki dair-o-kaaba mein kalisaa mein phire har jagah ham ne talaash-e-yaar ki sab ki hai taqdir tere haath mein kyaa shikaayat muslim o kuffaar ki ham mein jauhar the ibaadat khaas ke kar diyaa insaan ye miTTi khvaar ki mahr-o-mah ko umr bhar dekhaa kiye thi tamannaa ru-e-pur-anvaar ki aur ai 'bahraam' ik likkho ghazal aap ko qillat nahin ashaar ki"
B
Bahram Ji
Quote
"rakhaa sar par jo aayaa yaar kaa khat gayaa sab dard-e-sar kyaa thaa davaa khat diyaa khat aur huun qaasid ke pichhe huaa taasir mein kyaa kahrubaa khat vahin qaasid ke munh par pheink maaraa diyaa qaasid ne jab jaa kar miraa khat hai laazim haal khairiyyat kaa likhnaa kabhi to bhej o naa-aashnaa khat rahaa mamnun kaaghaz-saaz kaa main sunaa degaa use sab maajraa khat pataa miltaa nahin us be-nishaan kaa liye phirtaa hai qaasid jaa-ba-jaa khat rahi hasrat ye saari 'umr 'bahraam' na mujh ko yaar ne hargiz likhaa khat"
B
Bahram Ji
Quote
"ho chukaa vaaz kaa asar vaaiz ab to rindon se dar-guzar vaaiz subh-dam ham se tu na kar takraar hai hamein pahle dard-e-sar vaaiz bazm-e-rindaan mein ho agar shaamil phir tujhe kuchh nahin khatar vaaiz vaaz apnaa ye bhuul jaae tu aave gar yaar-e-sim-bar vaaiz hai ye murgh-e-sahar se bhi faaiq subh uThtaa hai peshtar vaaiz masjid-o-kaaba mein tu phirtaa hai ku-e-jaanaan se be-khabar vaaiz shor-o-ghul band to nahin kartaa hai tu insaan ki koi khar vaaiz zaahiri vaaz se hai kyaa haasil apne baatin ko saaf kar vaaiz banda-e-ku-e-yaar hai 'bahraam' teri masjid se kyaa khabar vaaiz"
B
Bahram Ji
Quote
"duniyaa mein ibaadat ko tiri aae hue hain par husn-e-butaan dekh ke ghabraae hue hain afsos ibaadat na tiri ho saki ham se gardan nahin uThti hai ki sharmaae hue hain ilzaam nahin tuur jo surma huaa jal kar muusaa bhi tajalli se to sharmaae hue hain main barhaman o shaikh ki takraar se samjhaa paayaa nahin us yaar ko jhunjhlaae hue hain kaabe se na raghbat hamein ne dair ki khvaahish ham khaana-e-dil mein jo use paae hue hain hai kaun si jaa ho jo tire jalve se khaali mazmun ham ab dil mein yahi laae hue hain zillat ke kharidaar hue hirs ke bande haajat ke liye haath jo phailaae hue hain jis qaum mein dekhaa to tajassus tiraa paayaa maabad tire har qaum mein Thahraae hue hain 'bahraam' ghazal aur bhi ik un ko sunaa de mushtaaq tiri bazm mein sab aae hue hain"
B
Bahram Ji
Quote
"kufr ek rang-e-qudrat-e-be-intihaa mein hai jis but ko dekhtaa huun vo yaad-e-khudaa mein hai 'aashiq hai jo ki jaama-e-sidq-o-safaa mein hai maa'shuq hai jo parda-e-hilm-o-hayaa mein hai 'aalam hai mast sajda-e-jaanaan mein taa-abad masti balaa ki baada-e-''qaalu-balaa'' mein hai imaan hai 'aks-e-rukh to hai gesu kaa aks-e-kufr vo kaun chiiz hai jo tiri maa-sivaa mein hai abru ke mahv kaa'be mein surat ke dair mein 'ushshaaq rukh kaa silsila nur-o-ziyaa mein hai be-jalva-gaah-e-yaar kahaan ye ruju-e-khalq bahs-e-fuzul barhaman-o-paarsaa mein hai juuyaa hai bas ki aariz-o-gesu-e-yaar kaa paaband shaikh sajda-e-subh-o-masaa mein hai raftaar mo'jiza hai to hai sehr chaal mein shokhi 'ajab tarah ki tire naqsh-e-paa mein hai teri taraf ko muslim o kaafir ki hai ruju' puujaa mein barhaman hai to zaahid du'aa mein hai maqtul laakhon ho chuke shaaeq hazaar-haa lazzat 'ajib yaar ki tegh-e-jafaa mein hai ik pech-o-kham mein gabr-o-musalmaan hain mubtalaa vus'at balaa ki yaar ki zulf-e-rasaa mein hai 'bahraam' 'aashiqaana ghazal ek aur bhi quvvat abhi bahut tiri fikr-e-rasaa mein hai"
B
Bahram Ji
Quote
"kiyaa hai sandalin-rangon ne dar band miraa ho kis tarah se dard-e-sar band nahin hain tere daam-e-zulf mein dil laTakte hain hazaaron murgh par-band nahin but-khaana o kaaba pe mauquf huaa har ek patthar mein sharar band raqibon se hui hai bazm khaali karo darvaaza be-khauf-o-khatar band tamaashaa band aankhon mein hai mujh ko hui meri ba-zaahir chashm-e-tar band nahin duniyaa mein aazaadi kisi ko hai din mein shams aur shab ko qamar band dikhaao mai-kasho ab zor-e-masti kiyaa zaahid ne mai-khaane kaa dar band dar-e-jaanaan bhi ik marjaa hai 'bahraam' hujum-e-aashiqaan hai rahguzar band"
B
Bahram Ji