SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"phir aai fasl-e-gul phir zakhm-e-dil rah rah ke pakte hain magar daagh-e-jigar par surat-e-laala lahakte hain nasihat hai abas naaseh bayaan naahaq hi bakte hain jo bahke dukht-e-raz se hain vo kab in se bahakte hain koi jaa kar kaho ye aakhiri paighaam us but se are aa jaa abhi dam tan mein baaqi hai sisakte hain na bosa lene dete hain na lagte hain gale mere abhi kam-umr hain har baat par mujh se jhijakte hain vo ghairon ko adaa se qatl jab bebaak karte hain to us ki tegh ko ham aah kis hairat se takte hain uDaa laae ho ye tarz-e-sukhan kis se bataao to dam-e-taqdir goyaa baagh mein bulbul chahakte hain 'rasaa' ki hai talaash-e-yaar mein ye dasht-paimaai ki misl-e-shisha mere paanv ke chhaale jhalakte hain"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"fasaad-e-duniyaa miTaa chuke hain husul-e-hasti miTaa chuke hain khudaai apne mein paa chuke hain mujhe gale ye lagaa chuke hain nahin nazaakat se ham mein taaqat uThaaein jo naaz-e-hur-e-jannat ki naaz-e-shamshir-e-pur-nazaakat ham apne sar par uThaa chuke hain najaat ho yaa sazaa ho meri mile jahannam ki paaun jannat ham ab to un ke qadam pe apnaa gunah-bharaa sar jhukaa chuke hain nahin zabaan mein hai itni taaqat jo shukr laaein bajaa ham un kaa ki daam-e-hasti se mujh ko apne ik haath mein vo chhuDaa chuke hain vajud se ham adam mein aa kar makin hue laa-makaan ke jaa kar ham apne ko un ki tegh khaa kar miTaa miTaa kar banaa chuke hain yahi hain adnaa si ik adaa se jinhon ne barham hai ki khudaai yahi hain aksar qazaa ke jin se farishte bhi zak uThaa chuke hain ye kah do bas maut se ho rukhsat kyuun naahaq aai hai us ki shaamat ki dar talak vo masih-khaslat miri ayaadat ko aa chuke hain jo baat maane to ain shafqat na maane to ain husn-e-khubi 'rasaa' bhalaa ham ko dakhl kyaa ab ham apni haalat sunaa chuke hain"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"baal bikhere aaj pari turbat par mere aaegi maut bhi meri ek tamaasha aalam ko dikhlaaegi mahv-e-adaa ho jaaungaa gar vasl mein vo sharmaaegi baar-e-khudaayaa dil ki hasrat kaise phir bar aaegi kaahida aisaa huun main bhi DhunDaa kare na paaegi meri khaatir maut bhi meri barson sar Takraaegi ishq-e-butaan mein jab dil uljhaa diin kahaan islaam kahaan vaaiz kaali zulf ki ulfat sab ko raam banaaegi changaa hogaa jab na mariz-e-kaakul-e-shab-gun hazrat se aap ki ulfat iisaa ki ab azmat aaj miTaaegi bahr-ayaadat bhi jo na aaeinge na hamaare baalin par barson mere dil ki hasrat sar par khaak uDaaegi dekhungaa mehraab-e-haram yaad aaegi abru-e-sanam mere jaane se masjid bhi but-khaana ban jaaegi ghaafil itnaa husn pe ghurra dhyaan kidhar hai tauba kar aakhir ik din surat ye sab miTTi mein mil jaaegi aarif jo hain un ke hain bas ranj o raahat ek 'rasaa' jaise vo guzri hai ye bhi kisi tarah nibh jaaegi"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"dil miraa tir-e-sitamgar kaa nishaana ho gayaa aafat-e-jaan mere haq mein dil lagaanaa ho gayaa ho gayaa laaghar jo us lailaa-adaa ke 'ishq mein misl-e-majnun haal meraa bhi fasaana ho gayaa khaaksaari ne dikhaayaa baa'd-e-murdan bhi 'uruj aasmaan turbat par mere shaamiyaana ho gayaa khvaab-e-ghaflat se zaraa dekho to kab chaunke hain ham qaafila mulk-e-adam ko jab ravaana ho gayaa fasl-e-gul mein bhi rihaai ki na kuchh surat hui qaid mein sayyaad mujh ko ik zamaana ho gayaa dil jalaayaa surat-e-parvaana jab se 'ishq mein farz tab se sham' par aansu bahaana ho gayaa aaj tak ai dil javaab-e-khat na bhejaa yaar ne naama-bar ko bhi gae kitnaa zamaana ho gayaa paas-e-rusvaai se dekho paas aa sakte nahin raat aai niind kaa tum ko bahaana ho gayaa ho pareshaani sar-e-mu bhi na zulf-e-yaar ko is liye meraa dil-e-sad-chaak shaana ho gayaa baa'd murdan kaun aataa hai khabar ko ai 'rasaa' khatm bas kunj-e-lahad tak dostaana ho gayaa"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"ghazab hai surma de kar aaj vo baahar nikalte hain abhi se kuchh dil-e-muztar par apne tiir chalte hain zaraa dekho to ai ahl-e-sukhan zor-e-sanaaat ko nai bandish hai majnun nuur ke saanche mein Dhalte hain buraa ho ishq kaa ye haal hai ab teri furqat mein ki chashm-e-khun-chakaan se lakht-e-dil paiham nikalte hain hilaa deinge abhi ai sang-dil tere kaleje ko hamaari aah-e-aatish-baar se patthar pighalte hain tiraa ubhraa huaa siina jo ham ko yaad aataa hai to ai rashk-e-pari pahron kaf-e-afsos milte hain kisi pahlu nahin chain aataa hai ushshaaq ko tere taDapte hain fughaan karte hain aur karvaT badalte hain 'rasaa' haajat nahin kuchh raushni ki kunj-e-marqad mein bajaae-shama yaan daagh-e-jigar har vaqt jalte hain"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"niind aati hi nahin dhaDke ki bas aavaaz se tang aayaa huun main is pur-soz dil ke saaz se dil pisaa jaataa hai un ki chaal ke andaaz se haath mein daaman liye aate hain vo kis naaz se saikaDon murde jalaae ho masihaa naaz se maut sharminda hui kyaa kyaa tire eajaaz se baaghbaan kunj-e-qafas mein muddaton se huun asiir ab khule par bhi to main vaaqif nahin parvaaz se qabr mein raahat se soe the na thaa mahshar kaa khauf baaz aae ai masihaa ham tire eajaaz se vaae ghaflat bhi nahin hoti ki dam bhar chain ho chaunk paDtaa huun shikast-e-hosh ki aavaaz se naaz maashuqaana se khaali nahin hai koi baat mere laashe ko uThaae hain vo kis andaaz se qabr mein soe hain mahshar kaa nahin khaTkaa 'rasaa' chaunkne vaale hain kab ham suur ki aavaaz se"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"uThaa ke naaz se daaman bhalaa kidhar ko chale idhar to dekhiye bahr-e-khudaa kidhar ko chale miri nigaahon mein donon jahaan hue taarik ye aap khol ke zulf-e-dutaa kidhar ko chale abhi to aae ho jaldi kahaan hai jaane ki uTho na pahlu se Thahro zaraa kidhar ko chale khafaa ho kis pe bhanvein kyuun chaDhi hain khair to hai ye aap tegh pe dhar kar jilaa kidhar ko chale musaafiraan-e-adam kuchh kaho azizon se abhi to baiThe the hai hai bhalaa kidhar ko chale chaDhi hain tevriyaan kuchh hai mizha bhi jumbish mein khudaa hi jaane ye tegh-e-adaa kidhar ko chale gayaa jo main kahin bhule se un ke kuche mein to hans ke kahne lage hain 'rasaa' kidhar ko chale"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"phir mujhe likhnaa jo vasf-e-ru-e-jaanaan ho gayaa vaajib is jaa par qalam ko sar jhukaanaa ho gayaa sar-kashi itni nahin zaalim hai o zulf-e-siyah bas ki taarik apni aankhon mein zamaana ho gayaa dhyaan aayaa jis ghaDi us ke dahaan-e-tang kaa ho gayaa dam band mushkil lab hilaanaa ho gayaa ai azal jaldi rihaai de na bas taakhir kar khaana-e-tan bhi mujhe ab qaid-khaana ho gayaa aaj tak aaina-vash hairaan hai is fikr mein kab yahaan aayaa sikandar kab ravaana ho gayaa daulat-e-duniyaa na kaam aaegi kuchh bhi baad-e-marg hai zamin mein khaak qaarun kaa khazaana ho gayaa baat karne mein jo lab us ke hue zer-o-zabar ek saaat mein tah-o-baalaa zamaana ho gayaa dekh li raftaar us gul ki chaman mein kyaa sabaa sarv ko mushkil qadam aage baDhaanaa ho gayaa jaan di aakhir qafas mein andalib-e-zaar ne muzhda hai sayyaad viraan aashiyaana ho gayaa zinda kar detaa hai ik dam mein ye isaa-e-nafas khel is ko goyaa murde ko jilaanaa ho gayaa tausan-e-umr-e-ravaan dam bhar nahin ruktaa 'rasaa' har nafas goyaa usi kaa taaziyaana ho gayaa"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"khayaal-e-naavak-e-mizhgaan mein bas ham sar paTakte hain hamaare dil mein muddat se ye khaar-e-gham khaTakte hain rukh-e-raushan pe us ki gesu-e-shab-gun laTakte hain qayaamat hai musaafir raasta din ko bhaTakte hain fughaan karti hai bulbul yaad mein gar gul ke ai gulchin sadaa ik aah ki aati hai jab ghunche chaTakte hain rihaa kartaa nahin sayyaad ham ko mausam-e-gul mein qafas mein dam jo ghabraataa hai sar de de paTakte hain uDaa dungaa 'rasaa' main dhajjiyaan daamaan-e-sahraa ki abas khaar-e-bayaabaan mere daaman se aTakte hain"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"ajab jauban hai gul par aamad-e-fasl-e-bahaari hai shitaab aa saaqiyaa gul-ru ki teri yaadgaari hai rihaa kartaa hai sayyaad-e-sitamgar mausam-e-gul mein asiraan-e-qafas lo tum se ab rukhsat hamaari hai kisi pahlu nahin aaraam aataa tere aashiq ko dil-e-muztar taDaptaa hai nihaayat be-qaraari hai safaai dekhte hi dil phaDak jaataa hai bismil kaa are jallaad tere tegh ki kyaa aab-daari hai dilaa ab to firaaq-e-yaar mein ye haal hai apnaa ki sar zaanu pe hai aur khun-e-dil aankhon se jaari hai ilaahi khair kiijo kuchh abhi se dil dhaDaktaa hai sunaa hai manzil avval ki pahli raat bhaari hai 'rasaa' mahv-e-fasaahat dost kyaa dushman bhi hain saare zamaane mein tire tarz-e-sukhan ki yaadgaari hai"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"jahaan dekho vahaan maujud meraa kirshn pyaaraa hai usi kaa sab hai jalva jo jahaan mein aashkaaraa hai bhalaa makhluq khaaliq ki sifat samjhe kahaan qudrat usi se neti neti ai yaar didon ne pukaaraa hai na kuchh chaaraa chalaa laachaar chaaron haar kar baiThe bichaare bed ne pyaare bahut tum ko bechaara hai jo kuchh kahte hain ham ye bhi tiraa jalva hai ik varna kise taaqat jo munh khole yahaan har shakhs haaraa hai tiraa dam bharte hain hindu agar naaqus bajtaa hai tujhe bhi shaikh ne pyaare azaan de kar pukaaraa hai jo but patthar hain to kaabe mein kyaa juz-khaak-o-patthar hain bahut bhulaa hai vo is farq mein sar jis ne maaraa hai na hote jalva-gar tum to ye girjaa kab kaa gir jaataa nasaaraa ko bhi to aakhir tumhaaraa hi sahaaraa hai tumhaaraa nuur hai har shai mein kah so koi tak pyaare usi se kah ke har har tum ko hindu ne pukaaraa hai gunah bakhsho rasaai do 'rasaa' ko apne qadmon tak buraa hai yaa bhalaa hai jaisaa hai pyaare tumhaaraa hai"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"baiThe jo shaam se tire dar pe sahar hui afsos ai qamar ki na mutlaq khabar hui armaan-e-vasl yunhi rahaa so gae nasib jab aankh khul gai to yakaayak sahar hui dil aashiqon ke chhid gae tirchhi nigaah se mizhgaan ki nok-e-dushman-e-jaani jigar hui pachhtaataa huun ki aankh abas tum se laD gai barchhi hamaare haq mein tumhaari nazar hui chhaani kahaan na khaak na paayaa kahin tumhein miTTi miri kharaab abas dar-ba-dar hui dhyaan aa gayaa jo shaam ko us zulf kaa 'rasaa' uljhan mein saari raat hamaari basar hui"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"dil aatish-e-hijraan se jalaanaa nahin achchhaa ai shoala-rukho aag lagaanaa nahin achchhaa kis gul ke tasavvur mein hai ai laala jigar-khun ye daagh kaleje pe uThaanaa nahin achchhaa aayaa hai ayaadat ko masihaa sar-e-baalin ai marg Thahar jaa abhi aanaa nahin achchhaa sone de shab-e-vasl-e-gharibaan hai abhi se ai murgh-e-sahar shor machaanaa nahin achchhaa tum jaate ho kyaa jaan miri jaati hai saahib ai jaan-e-jahaan aap kaa jaanaa nahin achchhaa aa jaa shab-e-furqat mein qasam tum ko khudaa ki ai maut bas ab der lagaanaa nahin achchhaa pahunchaa de sabaa kucha-e-jaanaan mein pas-e-marg jangal mein miri khaak uDaanaa nahin achchhaa aa jaae na dil aap kaa bhi aur kisi par dekho miri jaan aankh laDaanaa nahin achchhaa kar dungaa abhi hashr bapaa dekhiyo jallaad dhabbaa ye mire khuun kaa chhuDaanaa nahin achchhaa ai faakhta us sarv-e-sahi qad kaa huun shaidaa ku-ku ki sadaa mujh ko sunaanaa nahin achchhaa"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"aa gai sar par qazaa lo saaraa saamaan rah gayaa ai falak kyaa kyaa hamaare dil mein armaan rah gayaa baaghbaan hai chaar din ki baagh-e-aalam mein bahaar phuul sab murjhaa gae khaali bayaabaan rah gayaa itnaa ehsaan aur kar lillaah ai dast-e-junun baaqi gardan mein faqat taar-e-garebaan rah gayaa yaad aai jab tumhaare ruup raushan ki chamak main saraasar surat-e-aaina hairaan rah gayaa le chale do phuul bhi is baagh-e-aalam se na ham vaqt-e-rahlat haif hai khaali hi daamaan rah gayaa mar gae ham par na aae tum khabar ko ai sanam hausla ab dil kaa dil hi mein miri jaan rah gayaa naa-tavaani ne dikhaayaa zor apnaa ai 'rasaa' surat-e-naqsh-e-qadam main bas numaayaan rah gayaa"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"asiraan-e-qafas sehn-e-chaman ko yaad karte hain bhalaa bulbul pe yuun bhi zulm ai sayyaad karte hain kamar kaa tere jis dam naqsh ham ijaad karte hain to jaan farmaan aa kar maani o bahzaad karte hain pas-e-murdan to rahne de zamin par ai sabaa mujh ko ki miTTi khaaksaaron ki nahin barbaad karte hain dam-e-raftaar aati hai sadaa paazeb se teri lahad ke khastagaan uTTho masihaa yaad karte hain qafas mein ab to ai sayyaad apnaa dil taDaptaa hai bahaar aai hai murghaan-e-chaman fariyaad karte hain bataa de ai nasim-e-subh shaayad mar gayaa majnun ye kis ke phuul uThte hain jo gul fariyaad karte hain masal sach hai bashar ki qadar neamat baad hoti hai sunaa hai aaj tak ham ko bahut vo yaad karte hain lagaayaa baaghbaan ne zakhm-e-kaari dil pe bulbul ke garebaan-chaak ghunche hain to gul fariyaad karte hain 'rasaa' aage na likh ab haal apni be-qaraari kaa ba-rang-e-ghuncha-lab mazmun tire fariyaad karte hain"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"dasht-paimaai kaa gar qasd mukarrar hogaa har sar-e-khaar pae-aabla nashtar hogaa mai-kade se tiraa divaana jo baahar hogaa ek mein shisha aur ik haath mein saaghar hogaa halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahtaa hai qalam bas ki markaz se qadam apnaa na baahar hogaa dil na denaa kabhi in sang-dilon ko yaaro chuur hovegaa jo shisha tah-e-patthar hogaa dekh letaa vo agar rukh ki tajalli tere aaina khaana-e-maayusi mein shashdar hogaa chaak kar Daalungaa daamaan-e-kafan vahshat se aastin se na miraa haath jo baahar hogaa ai 'rasaa' jaisaa hai bargashta zamaana ham se aisaa bargashta kisi kaa na muqaddar hogaa"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra
Quote
"rahe na ek bhi bedaad-gar sitam baaqi ruke na haath abhi tak hai dam mein dam baaqi uThaa dui kaa jo pardaa hamaari aankhon se to kaabe mein bhi rahaa bas vahi sanam baaqi bulaa lo baalin pe hasrat na dil mein mere rahe abhi talak to hai tan mein hamaare dam baaqi lahad pe aaeinge aur phuul bhi uThaaeinge ye ranj hai ki na us vaqt honge ham baaqi ye chaar din ke tamaashe hain aah duniyaa ke rahaa jahaan mein sikandar na aur na jam baaqi tum aao taar se marqad pe ham qadam chumein faqat yahi hai tamannaa tiri qasam baaqi 'rasaa' ye ranj uThaayaa firaaq mein tere rahe jahaan mein na aakhir ko aah ham baaqi"
Bhartendu HarishchandraBhartendu Harishchandra