SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byCharagh Sharma(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vo sirf qisse kahaaniyon ke muaamle the charaagh rakh de charaagh ghisne se koi jin-vin nahin nikalte charaagh rakh de hamaari maasumiyat to dekho rakh aae dil ham huzur-e-jaanaan ki jaise koi khudaa kaa banda havaa ke aage charaagh rakh de kisi ke saae ko qaid karne kaa ik tariqa bataa rahaa huun ik us ke aage charaagh rakh de ik us ke pichhe charaagh rakh de tujhe bahut shauq thaa mohabbat ki garm lapTon se khelne kaa le jal gai na hatheli ab khush kahaa thaa main ne charaagh rakh de charaagh le ke bhi DhunDne se charaagh jaisaa nahin milegaa so rakhni hai to charaagh se rakh nahin to pyaare charaagh rakh de charaagh raushan zarur kar to par is se pahle khudaa ki khaatir yahaan pe phailaa hai jo andheraa sameT zer-e-charaagh rakh de main dil ki baaton mein aa gayaa aur uThaa ke le aayaa us ki paael dimaagh detaa rahaa sadaaein charaagh rakh de charaagh rakh de"
Charagh SharmaCharagh Sharma
Quote
"mahaaz-e-jang se pahle kahin paDaav banaao nadi pe baandh banaane se pahle naav banaao ye raat sirf andheri nahin hai sard bhi hai diyaa banaa liyaa shaabaash ab alaav banaao banaanaa jaante ho tum to sab ke dil mein jagah hamaare dil mein banaa kar dikhaao aao banaao ye sang-e-marmari naakhun ye katthai polish ki koi dekhe to kah de hamaare ghaav banaao banaao taaj-mahal ke bajaae taash-mahal tamaam umr mohabbat karo giraao banaao tumhaari achchhi banegi hamaare saath ki tum bahaane achchhe banaa leti ho banaao banaao"
Charagh SharmaCharagh Sharma
Quote
"auron ki pyaas aur hai aur us ki pyaas aur kahtaa hai har gilaas pe bas ik gilaas aur khud ko kai baras se ye samjhaa rahe hain ham kaaTi hai itni umr to do-chaar maas aur pahle hi kam hasin kahaan thaa tumhaaraa gham pahnaa diyaa hai us ko ghazal kaa libaas aur Takraa rahi hai saans miri us ki saans se dil phir bhi de rahaa hai sadaa aur paas aur allaah us kaa lahja-e-shirin ki kyaa kahun vallaah us pe urdu zabaan ki miThaas aur baandhaa hai ab naqaab to phir kas ke baandh le ik ghunT pi ke ye na ho baDh jaae pyaas aur 'ghaalib' hayaat hote to karte ye e'tiraaf daur-e-'charaagh' mein hai ghazal kaa class aur"
Charagh SharmaCharagh Sharma
Quote
"chaman mein kaun babulon ki Daal khinchtaa hai yahaan jo aataa hai phulon ke gaal khinchtaa hai vo tiir baa'd mein pahle savaal khinchtaa hai savaal bhi jo samaa'at ki khaal khinchtaa hai ai pyaar baanTne vaale main khuub jaantaa huun ki kitni der mein machhvaaraa jaal khinchtaa hai nikal bhi saktaa huun qaid-e-takhayyulaat se gar vo shakhs khinch le jis kaa khayaal khinchtaa hai main us ke aage nahin khinchtaa niyaam se tegh vo sher-shaah jo dushman ki Dhaal khinchtaa hai ye sard subh mein soyaa sharaarti suraj bas aankh khulte hi pariyon ki shaal khinchtaa hai main hosh-mand huun khud bhi so meri ghazlon mein na raqs kartaa hai 'aashiq na baal khinchtaa hai"
Charagh SharmaCharagh Sharma
Quote
"vo hans ke dekhti hoti to us se baat karte koi ummid bhi hoti to us se baat karte ham station se baahar aae is afsos ke saath vo laDki ajnabi hoti to us se baat karte hamaare jaam aadhi hausla-afzaai kar paae agar us ne bhi pi hoti to us se baat karte tavajjoh se bahut sharmaati hai aavaaz apni agar vo so rahi hoti to us se baat karte kisi se baat karnaa itnaa mushkil bhi nahin thaa kisi ne baat ki hoti to us se baat karte ye khaamoshi bhi kyaa hai guftugu ki intihaa hai koi baat an-kahi hoti to us se baat karte"
Charagh SharmaCharagh Sharma