Quote
"baDaa kumba hai chhoTi degchi hai aur us par bhuuk munh khole khaDi hai jidhar tu ho udhar hi dekhti hai hamaari aankh bhi suraj-mukhi hai mire maulaa abhi suraj na nikle koi tahrir shabnam likh rahi hai koi nuskha na hogaa kaargar ab mohabbat kaam apnaa kar chuki hai 'inaayat par kisi ki ji rahe hain hamaari zindagi kyaa zindagi hai miri dil-jui ki khaatir kisi ne dahakti aag daaman mein rakhi hai zamin mein bhi utar jaaegaa suraj abhi to barf ki chaadar haTi hai faqat khushbu nahin titli ki chaahat vo phulon kaa lahu bhi chaaTti hai nazar aataa nahin kuchh bhi kisi ko bazaahir raushni hi raushni hai"







