Quote
"rang-birangi yaadon kaa gul-daan bachaa hai le de kar mere jiine kaa bas ik saamaan bachaa hai le de kar khaane piine ki sab chizein mahngaai ki nazr huiin mehmaanon ke aage dastarkhvaan bachaa hai le de kar raddi kaaghaz ki qimat mein bachche us ko bech na dein ghar mein jo 'ghaalib' kaa ik divaan bachaa hai le de kar baap ki saari jaagirein to baanT liin mil kar beTon ne maan ke hisse mein ghar kaa daalaan bachaa hai le de kar daulat aurat aur shohrat ki divaani is duniyaa mein mushkil se kuchh logon kaa imaan bachaa hai le de kar kyaa jaane barsaat kaTegi kaise mere bachchon ki ghar ki Dheri mein thoDaa saa dhaan bachaa hai le de kar chal kar ab 'didaar' vahin par ghar apnaa aabaad karo gaanv mein jo purkhon kaa ik khaliyaan bachaa le de kar"







