Quote
"paas har pal ye rahaa hote judaa dekhaa nahin dard se behtar koi bhi ham-navaa dekhaa nahin hijr ki raatein ye aansu aur ye tanhaaiyaan tum ne mere saath kyaa ye qaafila dekhaa nahin yaad hai tum ne dilaai thi qasam na milne ki is liye sadiyon se main ne aaina dekhaa nahin kaaT kar shah-rag kabhi haasil huaa hai ishq kyaa is se bad-tar aur duujaa raasta dekhaa nahin ishq ko likhne jo baiThi jab kabhi pannon pe main ye qalam bhi bolaa aisaa haadisa dekhaa nahin"







