Quote
"manzil nahin hai paas to kyaa rahguzar to hai is dasht-e-zindagi mein ghubaar-e-safar to hai duniyaa agar nazar bhi phiraa le to gham nahin meri nazar ke saath tumhaari nazar to hai vo mujh se duur duur sahi be-khabar nahin maanaa guhar nahin magar aab-e-guhar to hai jab chaaheinge rihaai dilaa deinge vo kahin qaid un ki zulf hi mein hamaari sahar to hai jiinaa hi jab hai ham ko to hans ke jiyeinge ham daulat nahin hai haath mein lekin hunar to hai 'raahi' mujhe siyaahi-e-shab kyaa Daraaegi pahlu mein qalb ban ke naqib-e-sahar to hai"







