Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Dua Ali
jis kaa hotaa nahin vo log usi kaa samjhe
kyaa buraai hai bure ko ki na achchhaa samjhe
itnaa kaafir ho ki puchhe nahin ahvaal talak
aise kaafir ko bhalaa kaun masihaa samjhe
· · ·
Dua Ali
mohabbatein jab hisaab maangeingi nafraton kaa javaaz hogaa
vo jis safar mein saubatein hon vo aabgina-navaaz hogaa
kuchh aisi mushkil si aa paDi hai ki chehra aaina ban gayaa hai
mujhe ye dhaDkaa hai dil mein rakkhaa ayaan vo muddat kaa raaz hogaa
· · ·
Dua Ali
kabhi jo aap ko dekhun to dil mein phuul khilte hain
kahun main aap se kaise mujhe aap achchhe lagte hain
mire dil ki ye khvaahish hai banun main aap ki dulhan
ki dil mein aap rahte hain mire honTon pe sajte hain
· · ·
Dua Ali
suntaa nahin hai dil to us bevafaa ki baatein
kal par uThaa ke rakkho us bevafaa ki baatein
dil hai udaas ab to is tazkire ko badlo
kyon ho musir ki sun lo us bevafaa ki baatein
· · ·
Dua Ali
garche nisbat bhi us ko gham se hai
vo miri zindagi qasam se hai
us ko sajda bhi kar nahin sakti
dair se vo nahin haram se hai
· · ·
Dua Ali
kuchh ziyaada na kam hui labrez
had-e-qaul-o-qasam hui labrez
teri yaadon ne dil ko taDpaayaa
dard se chashm-e-nam hui labrez
· · ·
Dua Ali
shahr mein aa gae kyaa log bayaabaanon ke
karb mein ho gae gum qahqahe armaanon ke
tum ne dekhe nahin jazbon ke falak-bos shajar
shab ki taariki mein jalte hue daalaanon ke
· · ·
Dua Ali
hairat se apnaa chehra vo dekhaa kiyaa gayaa
bikhraa huaa jo dil miraa yakjaa kiyaa gayaa
ik aks ko davaam dilaayaa gayaa hai aaj
koi to kaam aankh se achchhaa kiyaa gayaa
· · ·
Dua Ali
kaho un se ki aa jaaein na mujh ko ab sataaein vo
karein vo pyaar ji bhar ke na ab lekin rulaaein vo
mohabbat ruuTh jaaegi na gar izhaar ho paayaa
kaho un se ki ab ke baar mat duuri baDhaaein vo
· · ·
Dua Ali
haathon kaa lams mujh ko kabhi bhej bhi to de
khushbu saa hai khayaal tiraa zindagi to de
alfaaz gungunaaun tiri chaahaton ke main
de ishq kaa shuur mujhe shaairi to de
· · ·
Dua Ali
calendar phir palaTtaa hai december phir badaltaa hai
'duaa' phir chaar-su mere nayaa manzar ubhartaa hai
ghaTaa jab chhuTne lagti hai to us ki oT se yak-dam
falak par sard mausam mein hasin suraj nikaltaa hai
· · ·
Dua Ali
ai dost tu ne vaar ye bharpur kar diyaa
pahle qarib kar ke mujhe duur kar diyaa
rahti huun teri yaad mein madhosh raat din
tere surur-o-kaif ne makhmur kar diyaa
· · ·
Dua Ali
nazar mein taar be-mehri kaa dukh hai
ajab sarshaar be-mehri kaa dukh hai
hamaare zakhm taaza phuul hain aur
hamin ko baar be-mehri kaa dukh hai
· · ·
Dua Ali
dil ki tafhim kaa moaamla thaa
ham ko darpesh aisaa masala thaa
ham ne tadbir kuchh kiyaa huaa thaa
aur muqaddar ajiib silsila thaa
· · ·
Dua Ali
vaahima kyon mujhe ye khaas huaa
koi mujh mein hai bad-havaas huaa
main use yaad hi nahin aati
bas ye sochaa to dil udaas huaa
· · ·
Dua Ali
kuchh der us ki laash pe ronaa kiyaa thaa bas
ik phuul man ke baagh kaa murjhaa chukaa thaa bas
jo saari kaaenaat mein apnaa rafiq thaa
mere liye malul vo harf-e-duaa thaa bas
· · ·
Dua Ali
sabz jazbon ki jal-tarang kathaa
aaj kar degi sab ko dang kathaa
teri aankhon mein rang bhar degi
khvaab-zaaron ki khvaab-rang kathaa
· · ·
Dua Ali
diid ko teri main tarsi chaand ki is raat mein
baiThi to bas dekh baiThi chaand ki is raat mein
chaand kuchh dhire se bolaa to thaa mere kaan mein
chaand ki main baat sunti chaand ki is raat mein
· · ·
Dua Ali
mire dil se tire dil tak safar hai
mohabbat ki kahaani mukhtasar hai
kahoge kyaa ise ai bakhiya-gar tum
ye ik aansu hai yaa taar-e-nazar hai
· · ·
Dua Ali
teri nazron mein mo'atabar na hui
main moattar hui magar na hui
haal duniyaa pe khul gayaa meraa
ek bas aap ko khabar na hui
· · ·
Dua Ali
mire dil se tire dil tak safar hai
mohabbat ki kahaani mukhtasar hai
kahoge kyaa use ai bakhiya-gar tum
ye ik aansu hai yaa taar-e-nazar hai
· · ·
Dua Ali
guftugu jaise duaa hone lagi
har musibat phir havaa hone lagi
saans lenaa jab sazaa hone lagaa
main 'duaa' khud se judaa hone lagi
· · ·
Dua Ali
ek din degi daghaa aisaa kabhi sochaa na thaa
zindagi kaa ruup ye ham ne kabhi dekhaa na thaa
main pakaD laai thi jugnu raushni ke vaaste
kaali raaton kaa tasalsul thaa tiraa chehra na thaa
· · ·
Dua Ali
zaraa ye kaam mere mehrbaan kar
khamoshi ko kabhi apni zabaan kar
main apne aap se chhup si gai huun
kabhi aa kar mujhe mujh par ayaan kar
· · ·







