SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFahmi Badayuni(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jinhein ham yaad kar ke ro rahe hain unhin murdon kaa virsa Dho rahe hain vo khinche jaa rahaa hai apni jaanib ham apni had se baahar ho rahe hain hamein qiston mein marnaa paD rahaa hai vo qiston mein paraae ho rahe hain mataa'-e-zindagi ki piiTh par ham tumhaari be-rukhi bhi Dho rahe hain baDaa ulTaa zamaana aa gayaa hai mohabbat karne vaale so rahe hain khudaa kaa shukr hai gham par hamaare jo khush hote the vo bhi ro rahe hain ham apne sahn ke gamlon mein ab tak tumhaari muskuraahaT bo rahe hain"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"koi titli nahin bataati hai teri khushbu kahaan se aati hai kyaa huaa dhuup agar sataati hai chaandni bhi yahi banaati hai ek bimaar aarzu dil mein roz ban-Than ke baiTh jaati hai ye mohabbat kaa mai-kada hai yahaan pyaas hi pyaas ko bujhaati hai ab nahin chaunktaa huun main ghar mein saare parde havaa hilaati hai mere kamre mein ab bajaae mere teri tasvir muskuraati hai shikva-e-hijr par vo ye bole 'iid rozon ke baa'd aati hai zabt se peT jab nahin bhartaa to gharibi usuul khaati hai us makaan kaa charaagh huun 'fahmi' jis ki jhaaDu havaa lagaati hai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"tire kuche mein pahra baDh gayaa hai mire luTne kaa khatra baDh gayaa hai naqaab-e-rukh abhi kuchh aur uThaao miri aankhon kaa kharcha baDh gayaa hai kisi din aa ke samjhauta karaa do hamaaraa ham se jhagDaa baDh gayaa hai tumhaari saude-baazi ki badaulat hamaaraa bhaav kitnaa baDh gayaa hai hamaari chhoTi-chhoTi kyaariyon mein zamin-daaron kaa hissa baDh gayaa hai qaside marsiyon mein dab gae hain chale aao ki qissa baDh gayaa hai sabhi divaarein unchi ho gai hain ab us ke ghar kaa saaya baDh gayaa hai mujhe lagtaa nahin ye khatm hogaa tire sunne se qissa baDh gayaa hai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"jo likhaa hai vahi paDhaa hai abhi us kaa pahlaa hi khat milaa hai abhi khaa rahaa hai abhi taras mujh par 'ishq andhaa nahin huaa hai abhi baiTh jaataa huun us ke dar pe kahin koi darja nahin milaa hai abhi mir-o-ghaalib ki zer-e-nigraani 'ishq par kaam chal rahaa hai abhi lafz dil tak abhi nahin pahunche vo nigaahon se sochtaa hai abhi jaise-taise kisi pe martaa huun zindagi ne jakaD rakhaa hai abhi 'ishq abhi jaan tak nahin pohnchaa khuun se kaam chal rahaa hai abhi"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"vafaa-daari ghanimat ho gai kyaa mohabbat bhi muravvat ho gai kyaa adaalat farsh-e-maqtal dho rahi hai usulon ki shahaadat ho gai kyaa zaraa imaan-daari se bataao hamein tum se mohabbat ho gai kyaa farishton jaisi surat kyuun banaa li koi ham se sharaarat ho gai kyaa kitaabat rokne kaa kyaa sabab hai kahaani ki ishaaat ho gai kyaa mazaar-e-pir se aavaaz aai faqiri baadshaahat ho gai kyaa ghaTaaein puchhne ko aa rahi hain hamaari chhat ki haalat ho gai kyaa ye kaisaa jashn hai us ki gali mein koi bandish ijaazat ho gai kyaa"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"namak ki roz maalish kar rahe hain hamaare zakhm varzish kar rahe hain suno logon ko ye shak ho gayaa hai ki ham jiine ki saazish kar rahe hain hamaari pyaas ko raani banaa lein kai dariyaa ye koshish kar rahe hain mire sahraa se jo baadal uThe the kisi dariyaa pe baarish kar rahe hain ye sab paani ki khaali botalein hain jinhein ham nazr-e-aatish kar rahe hain abhi chamke nahin 'ghaalib' ke juute abhi naqqaad polish kar rahe hain tiri tasvir, pankhaa, mez, muflar mire kamre mein gardish kar rahe hain"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"aaj us ke dil mein dekhaa dusraa apni jagah phir jo apne dil mein dekhaa kuchh na thaa apni jagah kyon na kashti se utar kar sajda saahil par karun naakhudaa apni jagah hai aur khudaa apni jagah hijr dukh-daai hai to kyaa 'ishq karnaa chhoD dein faasla apni jagah hai raasta apni jagah gir nahin sakte sitaare teri jholi mein kabhi aasmaani she'r paDh kar baiTh jaa apni jagah shaa'iron ko qais se islaah leni chaahiye falsafa apni jagah hai tajraba apni jagah ham jo kahnaa chaahte the kah nahin paae kabhi sochnaa apni jagah hai bolnaa apni jagah aaj bhi mahfil mein us ki jashn puuraa ho gayaa rah gayaa is baar bhi main DhunDtaa apni jagah"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"tire dar ki himaayat mil gai hai mujhe meri zarurat mil gai hai kahaan pahunchaaegi duniyaa ko jaane zihaanat mein jo vahshat mil gai hai bichhaa jaataa hai bimaar-e-mohabbat taDapne ki ijaazat mil gai hai khanakti chuDiyaan dekhi hain jab se samaa'at mein basirat mil gai hai main baazi haarne vaalaa huun shaayad himaayat mein hiqaarat mil gai hai jise chhu bhi nahin saktaa hai koi hamein us ki hifaazat mil gai hai zamaana ab alag kar ke dikhaae mohabbat mein mohabbat mil gai hai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"tiri aamad ki laagat baDh rahi hai hamaare ghar ki qimat baDh rahi hai binaa koshish ke vus'at baDh rahi hai mire she'ron mein hairat baDh rahi hai vo jaate vaqt muD kar dekhtaa hai miri jaanib mohabbat baDh rahi hai puraane dard ghaTte jaa rahe hain davaaon ki zarurat baDh rahi hai apaahij bachche paidaa ho rahe hain miyaan khush hain ki ummat baDh rahi hai miri aankhon mein kuchh hone lagaa kyaa tiri aankhon mein hairat baDh rahi hai kisi kaa aanaa-jaanaa ghaT rahaa hai amaanat mein khayaanat baDh rahi hai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"agar zaraa bhi kisi sar kaa zikr hotaa hai to zor-shor se patthar kaa zikr hotaa hai amir-e-shahr ke taalaab ke kinaare par dabi zabaan mein samundar kaa zikr hotaa hai jalaa ke ek shikasta charaagh-e-naakaami tamaam raat muqaddar kaa zikr hotaa hai vo jis ke saamne do-chaar pal Thahar jaae to aasmaan mein us ghar kaa zikr hotaa hai tumhaari bazm mein jannat ki baat hoti hai hamaari bazm mein mahshar kaa zikr hotaa hai gharib rote hain pahle to khaali haathon par phir us ke baa'd sikandar kaa zikr hotaa hai tamaam shahr ke darvaaze bol uThte hain gali-gali mein tire dar kaa zikr hotaa hai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"kar rahe hain davaa khayaal kai tere bimaar ke hain haal kai aahaTein dastakein puraane khat hijr mein hote hain vabaal kai sirf aankhon ke ik ishaare se puchh letaa hai vo savaal kai khuub jhikjhik hui machheron mein ek machhli thi aur jaal kai siikh lo chaal qaabu mein rakhnaa raaste mein paDeinge Dhaal kai us ki chaukhaT se us ke qadmon tak pohnchne mein lage hain saal kai ruuh ke dasht se lagaa laai zindagi jaan ko vabaal kai dekh kar chal 'uruj ki jaanib ghaat mein baiThe hain zavaal kai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"us ke dil mein jo band rahtaa hai zindagi bhar vo raaz khultaa hai mor ke paanv mein jo kaanTaa hai mor ke saath-saath naachaa hai ham bataate hain masala kyaa hai log kahte hain she'r achchhaa hai kis ki aankhon se kaun rotaa hai sirf allaah jaan saktaa hai meraa kuchh maangnaa guzaarish hai us kaa kuchh maangnaa taqaaza hai der tak naachne nahin detaa zehn-o-dil pe jo bojh rakkhaa hai koi chaadar vafaa nahin karti vaqt jab khinch-taan kartaa hai aap ke bhes mein abhi ham ne aap kaa intizaar dekhaa hai apne apne mughaalate hain miyaan varna duniyaa mein kaun kis kaa hai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"jo chiDiyaa mere ghar aa jaa rahi thi tumhaare ghar se tinke laa rahi thi badan us kaa bhi gungaa ho gayaa thaa hamaari bhi nazar haklaa rahi thi havaa ne kyon bujhaayaa thaa diye ko tiri khushbu mujhe samjhaa rahi thi miri aavaaz pe qabza jamaa kar zarurat jhuTh bole jaa rahi thi 'ibaadat ke dariche khul gae the mohabbat aa rahi thi jaa rahi thi kahaa sirat ne us ki nazm likkho magar surat ghazal likhvaa rahi thi bhanvar se bachne mein kashti hamaari magarmachhon mein ghirti jaa rahi thi musalsal bechnaa paDti thiin khushiyaan ghamon par itni laagat aa rahi thi"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"koi dukaan na kharidaar dekh saktaa huun main sirf duur se baazaar dekh saktaa huun kahaan se aate hain kirdaar dekh saktaa huun main ab kahaani ke us paar dekh saktaa huun abhi to duur hai aankhon se pyaas kaa parda abhi main paani mein dastaar dekh saktaa huun kisi nigaah mein iqraar hai zamin vaalaa main ab sitaaron ke us paar dekh saktaa huun tire naqaab se khair itni to suhulat hai main teri samt lagaataar dekh saktaa huun lagaa ke rakhtaa huun baisaakhiyon mein aaine main apne khvaabon ki raftaar dekh saktaa huun hakim khatre se baahar bataa rahe hain mujhe to kyaa main aaj kaa akhbaar dekh saktaa huun paDaa huun aap ki chaukhaT pe is liye ki yahin main apni taaqat-e-didaar dekh saktaa huun"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni