SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"viraan saa ab huun jo main aisaa to nahin thaa hotaa thaa samundar kabhi sahraa to nahin thaa chehre pe raqam thaa jo vo paDh hi nahin paayaa sab jaantaa thaa itnaa bhi saada to nahin thaa aangan mein mire dil ke chali aai thi kal shaam thi yaad tumhaari koi jhonkaa to nahin thaa chup-chaap tasavvur mein chale aate kisi roz sochon pe meri jaan koi pahra to nahin thaa ham dard kaa afsaana sunaate use kyun-kar zaahir mein jo apnaa thaa par apnaa to nahin thaa sab chal diye maujon ke havaale use kar ke maanaa ki bhanvar mein thaa vo Duubaa to nahin thaa vo jis ko thaa siine kaa har ik zakhm dikhaayaa baaton pe miri us ko bharosa to nahin thaa kar ke mujhe barbaad gayaa hai vo sitamgar gulshan yunhi dil kaa mire ujDaa to nahin thaa kyon rotaa hai ab hijr mein tere vo 'masarrat' jaate hue us ne tujhe rokaa to nahin thaa"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad
Quote
"mil ke ik baar use yaad nahin hone ke dil ke ujDe nagar aabaad nahin hone ke ab nae zulm to ijaad nahin hone ke saahibaa ham koi fariyaad nahin hone ke sachche 'ushshaaq to naapaid hue duniyaa mein ab koi shirin-o-farhaad nahin hone ke dil mein Thaani hai bhulaa dein tumhein dhire dhire aur is 'ishq mein barbaad nahin hone ke ek vaa'de ne yuun paa-basta kiyaa hai ham ko ab kisi taur bhi aazaad nahin hone ke ham ne har haal mein jiine ki qasam khaai hai ham kabhi ziist mein naashaad nahin hone ke ek kam-zarf se kyaa zarf ki ummid karein hain jo baune kabhi shamshaad nahin hone ke"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad
Quote
"kuchh roz chaahaton kaa ajab silsila rahaa vo dhaDkanon mein pyaar ki surat basaa rahaa ik shakhs jis ko dil se bhulaayaa thaa baar baar ye dil ki phir bhi us ko sadaa sochtaa rahaa jis ke junun mein ham ne bitaa di tamaam umr ye kyaa ki umr bhar hi vo ham se khafaa rahaa ye sach hai mujh se haath chhuDaa kar vo jaa chukaa jaataa use main duur talak dekhtaa rahaa tum us ki be-rukhi pe pareshaan ho kis liye dil toDnaa to us kaa sadaa mashghala rahaa chaahat mein apnaa zauq-e-safar bhi ajiib thaa us se hi shauq-e-husn-e-'masarrat' sajaa rahaa"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad
Quote
"guzri thi ek baar jo dil ki gali se main do-chaar aaj bhi huun usi be-kali se main be-zaar is qadar huun gham-e-aashiqi se main mujh se zaraa khafaa hai khushi aur khushi se main nikli huun jab se DhunDne be-laus chaahatein dhokaa hi khaa rahi huun baDi saadgi se main maadum us ki aankh se pahchaan ho gai jaise ki mill rahi thi kisi ajnabi se main jins-e-vafaa jahaan mein naayaab kyon hui ro ro ke puchhti rahi har aadmi se main apni khushi se vaise basar to na kar saki naaraaz bhi nahin huun magar zindagi se main main ne bhi saaf lafzon mein gham se ye kah diyaa pichhaa chhuDaa ke aai huun afsurdagi se main mai-khaana chal ke rind kaa khud puchhtaa hai haal maanus is tarah se huun ab mai-kashi se main jaam-o-subu nahin tiri aankhon se ab pilaa ai saaqi mar na jaaun kahin tishnagi se main"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad
Quote
"zaat jab bhi uDaan tak pahunchi vusat-e-laa-makaan tak pahunchi jab haqiqat gumaan tak pahunchi ik nae imtihaan tak pahunchi baat phailaai thi jo dushman ne dekho vo mehrbaan tak pahunchi kashtiyaan sab jalaa ke aai thi jab vo tere makaan tak pahunchi ik tiraa naam kyaa liyaa ham ne baat tir-o-kamaan tak pahunchi raaz-daan se kahi thi chupke se baat saare jahaan tak pahunchi ab tire intizaar mein ai dost muskuraahaT thakaan tak pahunchi oDh kar zabt ki ridaa paiham hausle ki chaTaan tak pahunchi aakhir-e-shab duaa 'masarrat' ki jaa ke phir aasmaan tak pahunchi"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad
Quote
"ho sake to mujhe ik shaam inaayat karnaa barpaa is dil pe miri jaan qayaamat karnaa phir tiri yaad mein raqsaan hai miri vahshat-e-dil kitnaa mushkil hai tiri yaad ko rukhsat karnaa aisaa TuuTaa hai taghaaful pe kisi ke ye dil ham se ro ro ke kahe ab na mohabbat karnaa pyaar ke naam pe be-mol hi bik jaate hain ham ko aataa nahin jazbon ki tijaarat karnaa hai navaazaa tujhe raaziq ne to phir ai insaan jitni mumkin ho tu duniyaa mein sakhaavat karnaa jaan le kahti huun lalkaar ke main tujh se adu main ne sikhaa hai sadaa sach ki himaayat karnaa ham ne thaamaa hai jo insaaf kaa daaman yaaro ham se hargiz nahin ummid-e-riaayat karnaa"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad
Quote
"bin piye ik khumaar thaa kyaa thaa teraa chehra bahaar thaa kyaa thaa vo rah-e-ishq mein junun apnaa dil jo tujh par nisaar thaa kyaa thaa vo miraa vahm yaa haqiqat thi teri nazron mein pyaar thaa kyaa thaa bazm mein teri mehrbaan the bahut meraa un mein shumaar thaa kyaa thaa vaqt-e-rukhsat kisi ki aankhon mein chhaayaa kaisaa ghubaar thaa kyaa thaa vo bhi royaa thaa dard-e-furqat mein lag rahaa ashk-baar thaa kyaa thaa tere dil mein sadaa khaTaktaa rahaa bad-gumaani kaa khaar thaa kyaa thaa kar ke phir mere e'tibaar kaa khuun jo gayaa hai vo yaar thaa kyaa thaa ham the uljhan mein aap bhi chup the kaun sar par savaar thaa kyaa thaa main to mar kar bhi muntazir hi rahi vo tiraa intizaar thaa kyaa thaa"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad
Quote
"de gae zakhm mire chaahne vaale mujh ko aaj tanhaa huun bahut koi sambhaale mujh ko Dubne vaale ko tinke kaa sahaaraa bhi bahut koi aisaa ho ki aa kar jo bachaa le mujh ko vo jo kahte the ki jivan ki khushi ho tum hi kar gae aaj vahi gham ke havaale mujh ko dil-e-sad-chaak ko vo khaar se kartaa hai rafu haae ye bakhiya-gari maar na Daale mujh ko ek muddat se main khud se bhi huun ruThi ruThi ai miri jaan kabhi aa ke manaa le mujh ko hai safar dasht kaa mushkil to magar himmat kar hausla dene lage paanv ke chhaale mujh ko yaad aati hai mujhe maan ki vo mamtaa aksar laaD se jab vo khilaati thi nivaale mujh ko"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad
Quote
"pahle atlas mein jo malbus kiye jaate hain phir vo aivaanon mein mahbus kiye jaate hain main unhein hita-e-tahrir mein laaun kaise dard likkhe nahin mahsus kiye jaate hain baal-o-par kaaT ke dein izn-e-rihaai kyun-kar un parindon ko jo maanus kiye jaate hain itni aasaan nahin hoti hai ye raah-e-sukhan paar is mein kai qaamus kiye jaate hain in pe to aap hi jhuk jaati hai rab ki rahmat jo bhi is duniyaa se maayus kiye jaate hain kyon na hon zer-o-zabar takht-e-'masarrat' un ke raqs jab saaya-e-taaus kiye jaate hain"
Fahmida Mosarrat AhmadFahmida Mosarrat Ahmad