SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kuchh saliqe se agar chaak ghumaayaa jaataa ain mumkin hai ki shahkaar banaayaa jaataa jaane vaale ne ghalat fahmi mein lauT aanaa thaa be-khayaali mein bhi gar haath hilaayaa jaataa ishq mansur ko khud daar talak le aayaa is se pahle ki koi hashr uThaayaa jaataa lauTne vaalaa isi soch mein mar jaaegaa kaash zanjir ko do baar hilaayaa jaataa rang bharne mein musavvir ne riyaa-kaari ki varna tasvir ko mandir mein lagaayaa jaataa is mein vahshat hai aziyyat hai zabun-haali hai ab ye kirdaar nahin mujh se nibhaayaa jaataa aap to shakl se lagte hain adaakaar mujhe aap jaison ko nahin dost banaayaa jaataa avvalin khat ko jalaa kar vo gunahgaar huaa kaash taazim se dariyaa mein bahaayaa jaataa main ne badli hain rivaayaat puraani varna main bhi 'faisal' kisi paTri se uThaayaa jaataa"
Faisal Nadeem FaisalFaisal Nadeem Faisal
Quote
"saraab-o-dasht vahi saarbaan tisraa hai safar ke saath bandhaa imtihaan tisraa hai huzur fahm-o-faraasat se kaam lijiyegaa saDak ke maghribi jaanib makaan tisraa hai ye do jahaan se aage ki ek manzil hai ataa-e-ishq-e-mohammad jahaan tisraa hai azal abad ke nishaan zindagi ke haami hain tabaahiyon ki ibaarat nishaan tisraa hai ham is se pahle bhi guzre hain imtihaanon se paDaav pahlaa sahi imtihaan tisraa hai ye donon kaan to divaar ki amaanat hain jo intihaa-e-yaqin hai vo kaan tisraa hai main dhuup oDh ke niklaa to ye khulaa 'faisal' yaqin dusraa mausam gumaan tisraa hai"
Faisal Nadeem FaisalFaisal Nadeem Faisal
Quote
"agarche tum saa banaayaa nahin gayaa huun main magar banaa ke miTaayaa nahin gayaa huun main use ye dukh ki zamin tang qaafiya mushkil mujhe ye dukh ki nibhaayaa nahin gayaa huun main main jis taraf se mukammal dikhaai detaa huun usi taraf se dikhaayaa nahin gayaa huun main ye inkisaari azal se mire khamir mein hai jhukaa huaa huun jhukaayaa nahin gayaa huun main ghurur laazmi unsur thaa is vazaarat kaa so khud haTaa huun haTaayaa nahin gayaa huun main main apni zaat mein ik mo'atabar havaala huun kisi ke saath milaayaa nahin gayaa huun main main masalon mein filistin huun magar 'faisal' kisi jagah pe uThaayaa nahin gayaa huun main"
Faisal Nadeem FaisalFaisal Nadeem Faisal
Quote
"mujh par nishaan lagaaiye pahle savaaliye phir masalon ko kholiye aur hal nikaaliye jazbaat aa sake hain kabhi ikhtiyaar mein aankhon ki fikr chhoDiye dil ko sambhaaliye vahshat ne meri niind pe pahre lagaa diye kuchh khvaab meri aankh ki jaanib uchhaaliye vahm-o-gumaan utaar ke pheinke hain aur phir ham ne yaqin ki uun se khirqe silaa liye kam paD rahaa thaa pahle hi kashkol-e-zindagi aur ham ne apni zaat ke gham bhi uThaa liye kuchh log gaanv chhoD ke shahron mein jaa base baaqi ko intizaar ki dimak ne khaa liye 'faisal' vo phir bhi aankh pe zaahir nahin huaa parde bhi darmiyaan se saare uThaa liye"
Faisal Nadeem FaisalFaisal Nadeem Faisal
Quote
"kuchh aisaa rabt musalsal rahaa shuur se bhi ki khauf aane lagaa ishq ke vafur se bhi vo shash-jahaat se yaksaan dikhaai detaa hai use qarib se dekhaa hai aur duur se bhi hamaaraa ishq haqiqat mein ghaar-e-saur-o-hiraa agarche khaas aqidat hamein hai tuur se bhi sunaa hai khaas taalluq hai khaarjiyat kaa hamaari zaat ke kuchh daakhli umuur se bhi tabhi to zehn pe haavi hai ishq-e-sahraai azal se dil ke maraasim rahe khajur se bhi ye aur baat hai maano ki ikhtilaaf karo nishaaniyaan to hazaaron milin zabur se bhi lahu mein raqs-kunaan ishq hai mire 'faisal' juDaa huaa hai koi silsila qusur se bhi"
Faisal Nadeem FaisalFaisal Nadeem Faisal
Quote
"mujh diye par ye ik ataa rahi hai khud muhaafiz miri havaa rahi hai log sahme hue hain hijrat se dhuul chehron pe muskuraa rahi hai tere imaan kaa khudaa-haafiz tu use naam se bulaa rahi hai shor har gaam kaamyaab rahaa khaamushi gham mein mubtalaa rahi hai vaqt par kaar ban gayaa so yahaan bebasi daaere banaa rahi hai is taalluq pe maut vaajib thi dosti darmiyaan aa rahi hai tere mutalaashiyon ki khair jinhein tirgi raaste bataa rahi hai is kaa radd-e-amal bhi dhyaan mein rakh tu agar masala uThaa rahi hai ham gharibon ki umr bhar 'faisal' pahli tarjih bas anaa rahi hai"
Faisal Nadeem FaisalFaisal Nadeem Faisal
Quote
"zamin-e-hijr mein gardan talak gaDaa huaa huun main tujh ko haar ke ab soch mein paDaa huaa huun har ek samt hai shorish balaa ki vahshat hai main dasht-zaad huun aur shahr mein khaDaa huaa huun khudaa kaa shukr ki zebaaishon kaa huun baais ye aur baat ki paazeb mein jaDaa huaa huun ye ishq maut ke asbaab paidaa kartaa hai main tiis saal se is baat par aDaa huaa huun kiyaa thaa aap ne sarvat kaa zikr khair jahaan main ehtiraam mein ab tak vahin khaDaa huaa huun khudaa kare ki tujhe bandagi pasand aae main khaak ho ke tiri raah mein paDaa huaa huun main qahqahon ke qabile kaa aadmi thaa magar ajiib hai ki gale dasht ke paDaa huaa huun bataa rahe the ye 'faisal' imaam ishq mujhe main intizaar-e-musalsal se chiDaa huaa huun"
Faisal Nadeem FaisalFaisal Nadeem Faisal
Quote
"khvaahishein intizaar aur yaqin vasvase be-shumaar aur yaqin tiin arkaan aadmiyyat ke 'aajizi inkisaar aur yaqin izn-e-rabb-ul-alaa-o-raaz-o-niyaaz aap siddiq-o-ghaar aur yaqin raah-e-dushvaar laDkhaDaate qadam dasht-e-hairat ghubaar aur yaqin jang mein jiit ki zamaanat hain hausla ikhtiyaar aur yaqin mustaqil 'ishq ki himaayat mein log ham tiin chaar aur yaqin manzilein bad-gumaaniyaan vahshat faasla sang-o-khaar aur yaqin manzilon kaa suraagh aur husul 'ishq par inhisaar aur yaqin lijiye imtihaan 'faisal' kaa kijiye ek baar aur yaqin"
Faisal Nadeem FaisalFaisal Nadeem Faisal