SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"koi divaar uThaai na koi dar rakkhaa iinT ko takiya kiyaa ret ko bistar rakkhaa pahle aankhon mein tiraa 'aks utaaraa main ne aur in aankhon ko shishe mein sajaa kar rakkhaa is se taskin nahin hogaa izaafa dukh mein dasht kaa naam agar ham ne samandar rakkhaa phuul bhijvaae kabhi she'r kiye naam tire ham ne ai shakhs tujhe yaad hai aksar rakkhaa darmiyaan apne faqat ruuh ki duuri bachi thi ham ne phir bhi tire pahlu mein nahin sar rakkhaa varna har aglaa qadam pichhe haTaataa mujh ko shukr-sad-shukr ki kuchh dhyaan na ghar par rakkhaa mashvara chaahiye thaa kal tire baare mein mujhe na milaa koi to aaina baraabar rakkhaa"
Farhad Ahmad FigarFarhad Ahmad Figar
Quote
"ye jaisaa kahte hain vaisaa nahin hai mohabbat se tumhein khatra nahin hai hai naakaami miri yaa kaamyaabi use mujh se gila hotaa nahin hai main us kaa muntazir huun muddaton se jise meri taraf aanaa nahin hai hain zindaabaad ummidein tumhaari hamaaraa dil abhi baiThaa nahin hai mohabbat se nikal aae the aur ab kahin par bhi sukun miltaa nahin hai bhale jaisaa ravaa rakkho ravayya mujhe bas chhoD kar jaanaa nahin hai usi ke paas baiThe rahte hain ham hamaare paas jo hotaa nahin hai 'figaar' us ko du'aaein do ki us ne kahin kaa bhi tumhein chhoDaa nahin hai"
Farhad Ahmad FigarFarhad Ahmad Figar