SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFarhan Khan(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tamaam nuskhe badal chukaa jab tab apni fitrat badal rahaa huun miri tabi'at ke hain mukhaalif main aise saanchon mein Dhal rahaa huun 'amal register ke likhne vaale ye do farishte mujhe bataaein ye kaun sab kuchh chalaa rahaa hai main kis ki marzi se chal rahaa huun kabhi to ban kar ke abr-e-baaraan main pyaase logon mein jaa barastaa magar main apni anaa kaa khaadim kuein ke jaisaa aTal rahaa huun vo ik nazariye se dekhtaa thaa so ab nazariya badal gayaa hai to us ko lagne lagaa hai jaise main rafta-rafta badal rahaa huun mukhaalifat ki khalish ne meri hayaat jab laa-‘ilaaj kar di jidhar ko duniyaa ki Dhaal thi ab usi taraf main phisal rahaa huun miri haqiqat pe thiin musallat vo saari partein udhaD rahi hain mujhe khabar bhi nahin thi yaaro main khud mein jaisaa nikal rahaa huun nayaa chalan hai ki hukmaraanon ko bad-gumaani ye ho gai hai ki ek adnaa ghulaam huun main aur un ke TukDon pe pal rahaa huun"
Farhan KhanFarhan Khan
Quote
"raah dushvaar hai us pe jaanaa nahin log kahte rahe ham ne maanaa nahin ho gai hain mizaajon mein tabdiliyaan der tak jaagnaa muskuraanaa nahin ghar ki ashyaa mein shaamil mohabbat rahe ghar faqat markaz-e-aab-o-daana nahin zindagi ek jangal ki patli saDak aur jangal ki jis mein Thikaanaa nahin bazm-e-yaaraan saji roz kuchh is tarah jaise 'aadat ho milnaa milaanaa nahin azhdahe ghonslon ke muhaane pe hain aur aage kaa is ke fasaana nahin kal zaminon se taarikh niklegi jab haDDiyaan hi mileingi khazaana nahin ik nasihat suno apne sayyaad ko bakhsh denaa magar bhuul jaanaa nahin"
Farhan KhanFarhan Khan
Quote
"ye duniyaa jab ri’aayat maangti hai har ik tohfe ki qimat maangti hai tumhein jaldi paDi hai shaahzaadi mohabbat ek muddat maangti hai bilaa-asbaab khushiyaan chaahtaa huun magar taskin rishvat maangti hai pighal ke aa rahi hai barf niche ye basti ab ijaazat maangti hai uTho maayusiyon ke par TaTolo koi parvaaz shafqat maangti hai hukumat khud nahin chalti hai lekin chalaane ki liyaaqat maangti hai kasaao ruuh par karte hi rahiye vagarna ye fazilat maangti hai ghazal kaisi bhi tum 'farhaan' kah do bil-aakhir ye samaa'at maangti hai"
Farhan KhanFarhan Khan
Quote
"kucha kucha bhaTak rahaa huun main aasmaanon ko tak rahaa huun main jabki vaa'da hai mushk-o-'ambar kaa roTiyaan kyon lapak rahaa huun main is muqarrir pe meraa saaya hai guftugu mein jhalak rahaa huun main us ne puchhaa hai khat mein haal miraa fitratan phir jhijhak rahaa huun main dasht mein chaar din guzaare hain jugnuon saa damak rahaa huun main kaun puchhegaa mujh ko mere baa'd kis ki khaatir ye thak rahaa huun main ye jo main muskuraa ke miltaa huun apne girya ko Dhak rahaa huun main 'daagh' kahte the kyaa ghazal pyaari aur misron mein bak rahaa huun main"
Farhan KhanFarhan Khan
Quote
"koi vahshat hai ki dil shaad nahin rahtaa hai ghar zaraa der bhi aabaad nahin rahtaa hai shahr mein 'aashiq-e-mehraab kai rahte hain koi bhi haami-e-buniyaad nahin rahtaa hai jis se sikhaa thaa akele bhi basar hoti hai ab vahi dasht mujhe yaad nahin rahtaa hai in chaTaanon mein kudaalon kaa koi shor nahin in chaTaanon mein to farhaad nahin rahtaa hai haan yahi markaz-e-tajdid thi basti aur ab yaan koi saahib-e-ijaad nahin rahtaa hai jab bhi zindaan ki roTi mein maza aa jaae phir to ye zehn bhi aazaad nahin rahtaa hai"
Farhan KhanFarhan Khan