SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFarooq Anjum(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"main mo'atabar huun ishq miraa mo'atabar nahin aankhon mein ashk-e-gham nahin neze pe sar nahin kuchh naqsh rah gae hain buzurgon ki shaan ke ab shahr-e-aarzu mein kisi kaa bhi ghar nahin hamraah chaand ke to sitaaron kaa hai hujum suraj ke saath koi sharik-e-safar nahin badli hui fazaa hai ghazal ke makaan ki changez-khaan ke shahr mein 'ghaalib' kaa ghar nahin chhat aasmaan hai to bichhaunaa zamin hai apne makaan mein kahin divaar-o-dar nahin naakaamiyon pe niim chabaane lage hain log 'anjum' ye zindagaani hai khvaabon kaa ghar nahin"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"sabz mausam ki rifaaqat us kaa kaarobaar hai peD kab sukhe hue patton kaa hisse-daar hai phir mahaajan baanT leinge apni saari khetiyaan qarz ki faslon pe jiinaa kis qadar dushvaar hai ehtiyaat-o-khauf vaale Dubte hain beshtar jin ko hai khud par bharosa vo nadi ke paar hai mutmain baiThe ho tum ne ye bhi sochaa hai kabhi jis kaa saaya sar pe hai vo ret ki divaar hai aag kaa lashkar hai saf baandhe hamaare saamne kyaa karein ham haath mein to mom ki talvaar hai pattharon ko shahar ke rahti hai mauqaa ki talaash kaanch ke paikar mein rahnaa kis qadar dushvaar hai"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"parinde khet mein ab tak paDaav Daale hain shikaari aaj tamaasha dikhaane vaale hain havaaein tez hain aandhi ne par nikaale hain bahut udaas patangein uDaane vaale hain kamand pheink na denaa zamin ki vusat par nae jazire samundar ne phir uchhaale hain chalo ke dekh lein 'ghaalib' ke ghar ki divaarein nai ruton ne bayaabaan mein Dere Daale hain gali gali mein chamakti hai dard ki khushbu hamaare zakhm mahakte hue ujaale hain ab apne aap se milne ki justuju kyaa ho tumhaare shahr ke sab aaine to kaale hain jo log vaaqai munsif-mizaaj hain 'anjum' sunaa hai aaj vo chehre badalne vaale hain"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"khaali nahin hai koi yahaan par azaab se duniyaa se mil ke dekh le apne hisaab se us din andheri galiyon mein hogaa tulu-e-din jis roz dhuup chhinoge tum aaftaab se pi luun zaraa si aag takhayyul unDel kar kuchh dhuup chhaannaa hai ghazal ke naqaab se khushbu ne teri rang-e-kasaafat uDaa diyaa raahat mili havaa ko zaraa is azaab se dil toDne kaa khel nahin tum pe hi tamaam ham bhi chukaaeinge ye udhaari hisaab se insaan se daur-e-nau ne muravvat bhi chhin li baarish ne sar-varaq bhi utaaraa kitaab se dil kaa shajar haraa thaa to patjhaD kaa gham na thaa ujDaa hai dil to kaun bachaae azaab se"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"jab bhi milaa vo TuuT ke ham se milaa to hai zaahir hai is khulus mein kuchh muddaaa to hai us ko nayaa mizaaj nayaa zehn chaahiye bachcha zabaan chalaataa nahin sochtaa to hai kyaa munsifi hai aap ki khud dekh lijiye insaaf-e-shahr shahr-e-tamaashaa banaa to hai dhabbe lahu ke ham ko bataa deinge raasta shaayad kisi ke paanv mein kaanTaa chubhaa to hai manzil ki justuju mein akele nahin hain ham hamraah to nahin hai tiraa naqsh-e-paa to hai go amn ho gayaa hai vahaan qatl-o-khun ke baad darvaaza saazishon kaa abhi tak khulaa to hai tahzib ke libaade mein sab be-libaas hain 'anjum' tire badan pe darida qabaa to hai"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"ye vaqt zindagi ki adaaein bhi le gayaa qisse kahaaniyon ki sabhaaein bhi le gayaa us ne tamaam shahr ko gungaa banaa diyaa mere dahan se meri sadaaein bhi le gayaa mausam lagaa ke zakhm gayaa shaakh shaakh par peDon se phulon vaali ridaaein bhi le gayaa suraj ne Dubte hue ham ko sazaa ye di jismon se raushni ki qabaaein bhi le gayaa guzraa thaa apne shahr se raavan fasaad kaa zaalim mohabbaton ki kathaaein bhi le gayaa 'anjum' niraalaa chor hamein raah mein milaa jo dil ke saath ham se duaaein bhi le gayaa"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"yaaron ko kyaa DhunD rahe ho vaqt ki aankh-micholi mein shahar mein vo to baTe hue hain apni apni Toli mein shaahon jaisaa kuchh bhi nahin hai gumbad taaq na mehraabein taaj-mahal kaa aks na DhunDo meri shikasta kholi mein Dhalte Dhalte suraj ne bhi ham par ye ehsaan kiyaa chaand sitaare Daal diye hain raat ki khaali jholi mein 'miraa-ji' ke dohe gaao yaa ki 'mir' ke sher paDho dard ke qisse sab ne likhe hain apni apni boli mein atlas aur kamkhvaab ki raunaq is mein kahaan se paaoge meri ghazal to baiThi hui hai aaj ghamon ki Doli mein"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"na-jaane kitne lahje aur kitne rang badlegaa vo apne haq mein hi saare usul-e-jang badlegaa khalaa mein tairte maskan rihaaish ke liye honge ye mustaqbil miraa tahzib-e-khisht-o-sang badlegaa dar-o-divaar kyaa jaanein khulaa-pan aasmaanon kaa kushaada-dil vahi hogaa jo zehan-e-tang badlegaa baDhaaegaa vo apne qad ko baanson par khaDe ho kar kabhi taarikh badlegaa kabhi farhang badlegaa amir-e-shahr ne ham ko sagaan-e-shahr samjhaa hai vo apnaa kaam rokegaa na apnaa Dhang badlegaa bahut chhoTaa sahi ye dil magar 'anjum' ye mumkin hai tavaazun ishq kaa ab to yahi pasang badlegaa"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"shahr ki fasilon par zakhm jagmagaaeinge ye charaagh-e-manzil hain raasta bataaeinge peD ham mohabbat ke dasht mein lagaaeinge be-makaan parindon ko dhuup se bachaaeinge zahr jab bhi ugloge dosti ke parde mein pattharon ke lahje mein ham bhi gungunaaeinge jangalon ki jharnon ki kaaghazi ye tasvirein ghar ke band kamron mein kab talak sajaaeinge khuun ban ke rag rag mein duudh maan kaa bahtaa hai qarz ye bhi vaajib hai kaise ham chukaaeinge thak ke lauT jaaeingi aandhiyaan siyaasat ki jin ki lau rahe qaaem vo diye jalaaeinge ye jhuki jhuki palkein mat uThaaiye saahab jhiil jaisi aankhon mein log Duub jaaeinge"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"ab dhuup muqaddar hui chhappar na milegaa ham khaana-ba-doshon ko kahin ghar na milegaa aavaara tamannaaon ko gar samt na doge bhaTki hui ummat ko payambar na milegaa suraj hi nazar aaegaa neze pe hamesha sachchaai ke shaanon pe kabhi sar na milegaa alfaaz masaail ke sharaaron se bhare hain ghazlon mein miri husn kaa paikar na milegaa haaroge jo himmat to Dubo degaa samundar saahil tumhein kashti se utar kar na milegaa us baagh mein khilte hain abhi jhulse hue phuul us baagh mein khushbu ko abhi ghar na milegaa ye soch ke aayaa hai tire shahr mein 'anjum' aainon ke is shahr mein patthar na milegaa"
Farooq AnjumFarooq Anjum
Quote
"jo baiTho sochne har zakhm-e-dil kasaktaa hai ghazal kaho to qalam se lahu Tapaktaa hai main ab bhi rotaa huun mahrumiyon pe bachpan ki khilaune dekh ke dil aaj bhi humaktaa hai fazaa mein khauf-e-havaa bolne nahin detaa zamin pe aa ke parinda bahut chahaktaa hai tumhaaraa lahja to dariyaa hai bahte paani kaa ye aag ban ke samundar mein kyuun bhaDaktaa hai dil-o-dimaagh ke sab taar bajne lagte hain naqaab chehra-e-fitrat se jab saraktaa hai amir-e-shahr banaayaa gayaa hai jis din se hamaare ghaav sitamgar bahut namaktaa hai chamakne lagte hain 'anjum' tumhaari yaadon ke vo aasmaan pe jab raushni chhiDaktaa hai"
Farooq AnjumFarooq Anjum