SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"main us ko sochun shab-o-roz bandagi ki tarah hain us ki yaadein dil-e-zaar par nami ki tarah kaTegaa kaise bhalaa arsa-e-hayaat bataa tire binaa to har ik pal huaa sadi ki tarah mujhe to gham mein bhi lazzat sadaa hui mahsus hai rab kaa shukr mujhe gham diyaa khushi ki tarah hamesha dil mein ghamon kaa hai madd-o-jazr magar nazar mein aati huun Thahri hui nadi ki tarah kahun jo sher to aankhein chamakne lagti hain mujhe to shaaeri lagti hai raushni ki tarah vo shakhs jis pe luTaa di khulus ki daulat vo ab mile bhi to miltaa hai ajnabi ki tarah agar vo pyaar se sairaab kar de dil ki zamin har ek zakhm-e-jigar khil uThe kali ki tarah ba-vaqt-e-nazaa vo aae qarib 'azkaa' ke qazaa bhi lagne lagi us ko zindagi ki tarah"
Fauziya Akhtar AzkaFauziya Akhtar Azka
Quote
"teri ulfat ki nazar mujh pe jo paiham hogi ruuh par khushiyon ki barsaat chhamaa-chham hogi dil mein jo baat hai ik-duje se khul kar kah dein kab talak baat hamaari bhalaa mubham hogi qurbatein ham se baDhaane kaa takalluf na karein aap badleinge to taklif na phir kam hogi dil ke sahraa mein bhi aa jaaegi chupke se bahaar saans jab un ki miri saans mein mudgham hogi pyaar ke biij isi aas pe boe ham ne aaj hai khushk magar kal ye zamin nam hogi aap ke aane se duniyaa miri hogi raushan chaand taaron ki chamak aap hi maddham hogi ek din aaegaa farhat-bharaa mausam 'azkaa' phir miri aankhon se barsaat bhi kam-kam hogi"
Fauziya Akhtar AzkaFauziya Akhtar Azka
Quote
"kabhi jo hogi visaal ki shab qarib vo khush-jamaal hogaa to raqs saansein kareingi aur dhaDkanon mein meri dhamaal hogaa nae safar mein magan ho lekin kabhi jo thak kar niDhaal hoge to mujh se daaman chhuDaa ke jaane kaa tum ko behad malaal hogaa umiid par hai ye duniyaa qaaem so ham bhi hain muntazir tumhaare kabhi to qurbat bhi hogi haasil kabhi to ye bhi kamaal hogaa hamaari aankhon ke jalte jugnu bujhaa ke jo muskuraa rahe ho ye mat samajhnaa ki hashr mein bhi na tum se koi savaal hogaa karo na itnaa malaal 'azkaa' baDaa ghafur-ur-rahim hai rab tumhaare sabr-o-razaa se zakhm-e-jigar kaa bhi indimaal hogaa"
Fauziya Akhtar AzkaFauziya Akhtar Azka
Quote
"tavajjoh is qadar un ki use main dil-lagi samjhun ki un ki mehrbaani apni main khush-qismati samjhun nazar aataa hai dariyaa bhi bayaabaan hijr mein un ke jo un kaa qurb haasil ho to sahraa ko nadi samjhun bichhaD kar un se jiine ki faqat rasmein nibhaati huun jo un ke saath guzri hai usi ko zindagi samjhun fusun hai pyaar kaa un ke jo kaanTe phuul lagte hain shab-e-dijur ki bas main hi husn-o-dilkashi samjhun vo meri aankhon ke paighaam ko kyon paDh nahin paate bhalaa kab tak main un ki be-rukhi ko saadgi samjhun rakhun sar us ke siine par aur apne gham bhulaa Daalun vo dil kaa aashnaa hai kyon use main ajnabi samjhun na main husn-e-mujassam huun na mujh mein koi khubi hai magar un ki nazar se khud ko dekhun to pari samjhun ghiri huun sakht mushkil mein magar huun mutmain 'azkaa' khudaa ki maslahat hogi koi is mein yahi samjhun"
Fauziya Akhtar AzkaFauziya Akhtar Azka
Quote
"ulfat mein koi baat chhupaai nahin jaati divaar-e-anaa biich mein laai nahin jaati hai dil miraa aazurda magar lab pe hansi hai khubi ye har insaan mein paai nahin jaati ham hi chalo jhuk jaate hain ab saamne un ke un se to ye divaar giraai nahin jaati naa-karda gunaahon ki sazaa paaeinge kab tak munsif ke yahaan meri duhaai nahin jaati ai kaash koi ho jo miri vahshatein baanTe ab dil ki khalish mujh se dabaai nahin jaati 'azkaa' chalo ab kuuch karein shahr se un ke ab aur hazimat ye uThaai nahin jaati"
Fauziya Akhtar AzkaFauziya Akhtar Azka
Quote
"us ko jab dekh luun qaraar aae dil ke sahraa mein bhi bahaar aae un ki qurbat mein guzraa har lamha ziist mein meri baar baar aae pyaari surat jo dekh le teri kaise tujh par na us ko pyaar aae vo hamein muD ke dekhtaa bhi nahin ham dil-o-jaan jis pe vaar aae main ne to gul ki aabyaari ki mere hisse mein sirf khaar aae vaada karte ho bhuul jaate ho kaise phir tum pe eatibaar aae dhuup hai aur safar hai sahraa kaa ik shajar koi saaya-daar aae main pukaarun jab us ko ai 'azkaa' sar ke bal chal ke meraa yaar aae"
Fauziya Akhtar AzkaFauziya Akhtar Azka