SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ghurur-e-naaz dikhaa tujh mein kitnaa jauhar hai miraa khulus bhi dariyaa nahin samundar hai parakh yahi hai mohabbat ki aanch do us ko pighal gayaa to vo shisha hai varna patthar hai khalaa-navard ko yaaro faraaz-e-manzil kyaa ki ab to us kaa har ik par bajaae shahpar hai adaavaton ko fanaa kar diyaa mohabbat se mujaahide mein mohabbat hi apnaa khanjar hai subut-e-baiat-e-pir-e-haram ye hai to sahi ki aaj tak kaf-e-dast-rasaa munavvar hai mujhe zarurat-e-ghaaza nahin ki chehre par mire zamir kaa jo rang hai ujaagar hai sitaara-e-sahar-aasaar hai jo ai 'ghausi' ghubaar-basta abhi us kaa pesh-manzar hai"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"vo yaqin paikar hai kis kaa nur-e-dida kaun hai zulmat-e-shab mein charaagh-e-aasaa damida kaun hai gard-e-jaada kaun hai manzil rasida kaun hai vaqt kyaa kahtaa hai suniye barguzida kaun hai zahr-e-gham pi juz-o-jaan kar phir bhi maut aae to kyaa yuun bhi amrit kaa yahaan lazzat-chashida kaun hai farsh se taa-arsh yaksaan hai sadaa-e-marhabaa dekhnaa ye sar-ba-kaf ye sar-burida kaun hai baat karte hain to munh se duudh ki aati hai bu un mein apni mahfilon kaa rang-dida kaun hai khaak se paa kar mafar kis ko na khush aayaa safar dil girafta kaun hai khaatir-kabida kaun hai apne saae par hi jab markuz the zehn-o-nazar koi kyon kar dekhtaa qaamat-kashida kaun hai jab dur-e-kirdaar par aanch aa gai kyaa rah gayaa ab ye sarf-e-maatam-e-rang-e-parida kaun hai kis qadar shaaistagi se kah gayaa vo apnaa gham doston ki khair ho dushman-gazida kaun hai gham na kar 'ghausi' agar murda nahin teraa zamir tujh se baDh kar khud tiraa dida-shunida kaun hai"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"hisaar-e-kaasa-e-sar toD kar nikal aae talab hui thi to sajdon ke par nikal aae har ik zamir se parda uThaa gae patthar kisi ke aib kisi ke hunar nikal aae sanvar sanvar ke mashiyyat sanvaarti hai jinhein idhar to koi nahin ham kidhar nikal aae miraa kharosh-e-junun jab bhi rang-paash huaa miri taraf nigaraan kitne dar nikal aae kahaan hai holi jo dekhe ba-yak-karishma do-kaar ghire the aag mein ham bhi magar nikal aae ba-in-nazaakat-e-takhliq Thokarein khaane ye pattharon mein kahaan shishagar nikal aae faraaz-e-manzil-e-raf-raf savaargi saugand khalaa mein aur basirat ke par nikal aae lab-e-furaat ajab shaan-e-sarfaraazi thi gumaan thaa dasht mein nezon ke sar nikal aae hai aagahi bhi agar jaan-gusil to ho 'ghausi' harim-e-be-khabari se magar nikal aae"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"har chand abhi khud par zaahir mein aur mire ahbaab nahin yaaron pe fidaa hone vaale kam-yaab sahi naayaab nahin duniyaa kaa bharam qaaem rakhnaa auron ke liye jiinaa marnaa is daur ki vo tahzib nahin is daur ke vo aadaab nahin kashti pe thapeDon kaa hai asar tikhe sahi maujon ke tevar phir bhi pas-e-manzar mein yaaro saazish hai koi girdaab nahin mahbub-adaa hairat-afzaa khushbu-sirat jalva-surat ye khvaab hamaare apne hain ye khvaab paraae khvaab nahin har mauj-e-ravaan be-faiz rahi be-saaya shajar jaisi ubhri dariyaa bhi saraab-aasaa niklaa ik lab-tishna sairaab nahin baazaar-e-vafaa aur be-raunaq ye to alamiyya hai 'ghausi' hiire hain magar khush-taab nahin moti hain magar pur-aab nahin"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"muntashir shahzaad-gaan-e-dil kaa shiraaza na ho kaash yaaron ki hansi fitnon kaa ghammaaza na ho ab vo sone kaa sahi lekin mire kis kaam kaa jis makaan mein koi khiDki koi darvaaza na ho vo javaan khuun aur us par nashsha-e-dida-vari kyaa karein vo bhi jo mere gham kaa andaaza na ho yaad hai kuchh tum ne kal khaaka uDaayaa thaa miraa phuul si aankhon mein shabnam kal kaa khamyaaza na ho phir junun kyun-kar saje duniyaa ko kaise rang de baais-e-tahrik agar yaaron kaa aavaaza na ho kaash mere gham kaa saaya bhi rahe apnon se duur kaash ab yakjaa miri yaadon kaa shiraaza na ho aa gale milne se pahle kyuun na mil kar dekh lein dil ke tah-khaane mein koi chor darvaaza na ho vo to murda hain unhein ehsaas ki khushbu se kyaa apne andaaz-e-nazar kaa jin ko andaaza na ho kaash ai 'ghausi' zamaane bhar kaa bachpan lauT aae sab ke chehron par haqiqi nuur ho ghaaza na ho"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"sab kuchh to zindagi ki mataa-e-safar mein hai jab tum nazar mein ho to zamaana nazar mein hai yuun bhi to soch naaz-kash-e-husn-e-dostaan teraa bhi kuchh maqaam kisi ki nazar mein hai paDh lete hain vo sab ki nazar se dilon kaa haal andar se kaun kyaa hai sab un ki nazar mein hai kyuun ho rahaa hai tajziya-e-jaur-e-naa-ravaa tasvir kaa ye rukh bhi kisi ki nazar mein hai yaaro shikaar-e-vaqt huun yaa aasmaan-shikaar jo kuchh bhi huun sab ahl-e-nazar ki nazar mein hai ab kyaa shikaayat-e-ravish-e-dostaan karun 'ghausi' miri kami bhi to meri nazar mein hai"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"tumhaaraa dil to hamaare subhaav jaisaa hai haTaa ke chehre se chehra dikhaao jaisaa hai vo chuktaa hi nahin jis pe daav jaisaa hai hamein khabar hai vahaan rakh-rakhaav jaisaa hai mujhe dhakel kar us kaa zamir jaag uThaa ab us kaa haal bhi tufaan mein naav jaisaa hai to kyaa vo dast-e-mashiyyat kaa shaahkaar nahin puraanaa yaar hai yaaro nibhaao jaisaa hai sunahre khvaab dikhaae na aap hi dekhe hamaaraa yaar hamaare subhaav jaisaa hai ubhar rahi hain nae khuun mein nai qadrein khulus mein bhi ghumaao phiraav jaisaa hai ye aur baat ki dam de rahaa ho soz-e-darun bujhaa huaa vo ba-zaahir alaav jaisaa hai khulegaa khud vo kisi roz misl-e-band-e-qabaa na chhup sakegaa lahu mein rachaav jaisaa hai vo us kaa haal-e-zabun us pe khanda-e-be-baak hasin samaaj ke chehre pe ghaav jaisaa hai hai apni piiTh kaa har zakhm aaina 'ghausi' mire rafiqon ko mujh se lagaav jaisaa hai"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"ab to khud se bhi kuchh aisaa hai bashar kaa rishta jaise parvaaz se TuuTe hue par kaa rishta koi khiDki bhi nahin ab to jo baaqi rakhti mere ghar se mire ham-saae ke ghar kaa rishta tum farishte hi sahi nazrein na badlo yaaro kyaa farishton se nahin koi bashar kaa rishta moD aane do abhi saamne aa jaaegaa kyaa hai aapas mein sharikaan-e-safar kaa rishta tu mire chaak-garebaan ko nayaa suraj de joD jaaun main dhundlakon se sahar kaa rishta mere haathon ki lakirein ye bataati hain mujhe pattharon hi se rahegaa mire sar kaa rishta sab ke chehron ki kharaashein hain nazar mein 'ghausi' aainon se hai dil-e-aaina-gar kaa rishta"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"jo misl-e-tir chalaa thaa kamaan saa kham hai nigaah-e-dost mein taasir-e-ism-e-aazam hai khushaa ki vo hain mire ru-ba-ru ba-nafs-e-nafis zahe ki aaj miri aarzu mujassam hai muhit-e-husn-e-karaan-taa-karaan nahin na sahi bisaat-e-shisha-e-dil jis qadar hai taaham hai anaa-pasand anaa ke nashe mein bhuul gae ye shahd vo hai ki jis ke khamir mein sam hai havaa se kartaa hai baatein tiri mahak paa kar tire ghazaal-e-junun mein balaa kaa dam-kham hai ye rang-o-nur ye khushbu ye kaif-saamaani harim-e-naaz hai yaa aalimon kaa aalam hai na jaa tabassum-e-lab-haa-e-khushk par ai dost hansi nahin ye taraqqi pasand maatam hai to kyaa charaagh-e-tamannaa kaa main muhaafiz huun jab un ko fikr nahin hai yahin kise gham hai miraa mizaaj hai yaaron pe vaar duun khud ko miraa vajud bhi angushtari kaa nilam hai dhuaan dhuaan nazar aati hai bazm-e-fan 'ghausi' yahaan charaagh ziyaada hain raushni kam hai"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi
Quote
"na hote shaad aain-e-gulistaan dekhne vaale fasaana bhi agar paDh lete unvaan dekhne vaale halaakat-khez ijaadon pe duniyaa fakhr karti hai kahaan hain irtiqaa-e-nau-e-insaan dekhne vaale jo mumkin ho tum apne haath ki rekhaa khurach Daalo ki ham hain to sahi khvaab-e-pareshaan dekhne vaale ye rakhne hain ye dar hain ye tire ajdaad ke sar hain idhar aa katba-e-divaar-e-zindaan dekhne vaale tulu-e-aaftaab-e-aagahi kyaa khaak dekheinge hiqaarat se miraa chaak-e-garebaan dekhne vaale to phir kaisi nazar-bandi tilsimaat-e-tadabbur kyaa jo khud ko dekh lein jashn-e-charaaghaan dekhne vaale shikast-e-zauq-e-nazzaara muqaddar hi sahi 'ghausi' unhein dekheinge phir bhi taa-ba-imkaan dekhne vaale"
Ghaus Mohammad GhausiGhaus Mohammad Ghausi