SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHafeez Shahid(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kab kaa guzar chukaa hai vo mausam shabaab kaa ab zikr hai fuzul vafaa ki kitaab kaa fursat mile to dekh zaraa dil kaa aaina is mein hai aks tere gunaah-o-savaab kaa chup-chaap haal-e-ahl-e-nazar dekhte raho hai kis ke paas vaqt savaal-o-javaab kaa har shakhs ghir gayaa hai nae iztiraab mein toDaa hai jis ne qufl dar-e-iztiraab kaa rakhtaa hai tere ru-e-hasin se mushaabahat har shaakh par sajaa hai jo chehra gulaab kaa kaafi hai us ki zaat ke irfaan ke liye mauj-e-havaa ke dosh pe uDnaa sahaab kaa 'shaahid' jinhein khabar hai rumuz-hayaat ki rakhte nahin hisaab gham-e-be-hisaab kaa"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"dil kaa har ek daagh charaaghaan se kam nahin meri khizaan bhi fasl-e-bahaaraan se kam nahin is mein hai khun-e-dil kaa samundar chhupaa huaa aankhon mein ek ashk bhi tufaan se kam nahin yaadon mein hain gulaab se chehre saje hue shahr-e-khayaal kucha-e-jaanaan se kam nahin hai khaak par nashist falak par uDaan hai meri zamin bhi takht-e-sulaimaan se kam nahin jiine kaa hausla bhi mayassar na ho jise us ki sahar bhi shaam-e-gharibaan se kam nahin nikle kisi ki yaad mein aansu jo aankh se mere liye vo laal-e-badakhshaan se kam nahin aankhon ke saamne hain manaazir ajiib se ye jaagnaa bhi khvaab-e-pareshaan se kam nahin 'shaahid' firaaq-e-yaad mein ye dil kaa haal hai viraaniyon mein dasht-o-bayaabaan se kam nahin"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"koi nishaani-e-ahd-e-visaal de jaae vo meri umr mire maah-o-saal de jaae use kaho ki kisi roz aa ke phir mujh ko hasin khvaab achhute khayaal de jaae palaT ke aae kabhi us ki yaad kaa mausam gul-e-muraad ko rang-e-jamaal de jaae khudaa kare ki achaanak vo saamne aa kar mire labon ko nae kuchh savaal de jaae tamaam umr ki khushiyaan sameT kar meri tamaam umr ke apne malaal de jaae koi to ho jo mire chaara-gar se jaa ke kahe davaa kabhi to mire hasb-e-haal de jaae agar nahin hai mudaavaa zavaal kaa 'shaahid' vo hausla to ba-vaqt-e-zavaal de jaae"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"vo ham se ho gayaa hai be-khabar kuchh badalte mausamon kaa hai asar kuchh kahin saae mein ruk kar kyaa kareinge chalo ab tez baaqi hai safar kuchh havaa-e-tund kaa ye kaam dekho na chhoDaa shaakh par baaqi samar kuchh bhaTakte phir rahe hain raaston mein basaarat se tahi ahl-e-nazar kuchh agarche shahr to apnaa hai lekin paraae se hain kyuun divaar-o-dar kuchh abhi dil mein uDaanon ki hai khvaahish salaamat hain hamaare baal-o-par kuchh abhi 'shaahid' luTaao gham ki daulat abhi hain aankh mein laal-o-gohar kuchh"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"taslim mujh ko main tire paasang to nahin lekin tujhe nasib miraa rang to nahin main kis liye fasil-e-badan mein chhupaa rahun meri kisi ke saath koi jang to nahin ghabraa rahe ho kyuun miri basti kaa faasla hai chand gaam sainkaDon farsang to nahin bharte ho kis liye miri tasvir mein ye rang mauj-e-shafaq kaa rang miraa rang to nahin be-ehtiyaatiyon se tiri TuuT jaaegaa dil ek aaina hai koi sang to nahin phir kyuun karun khayaal kisi aur des kaa mere liye zamin-e-vatan tang to nahin din raat apne aap se rahnaa khafaa khafaa 'shaahid' guzar-basar kaa koi Dhang to nahin"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"chhupi dil mein jo yaad-e-yaar hogi masaafat aur bhi dushvaar hogi khabar kyaa thi ki haail raaste mein pas-e-divaar bhi divaar hogi gila inkaar kaa us se karun kyaa koi to surat-e-inkaar hogi use jab maannaa kuchh bhi nahin hai dalaalat bhi miri be-kaar hogi mujhe maalum hi kab thaa ye pahle khirad khud hi junun-aasaar hogi sar-e-mahfil miri aatish-bayaani kisi kaa shoala-e-rukhsaar hogi vo gul mahkegaa jab dil ke chaman mein miri har saans khushbu-daar hogi ghurur-e-sar-bulandi kyaa ki ik din na sar hogaa na ye dastaar hogi miri khaak-e-badan ik roz 'shaahid' baraae kucha-e-dildaar hogi"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"sar-e-ashjaar tahrir havaa achchhi nahin lagti hamein patjhaD mein gulshan ki fazaa achchhi nahin lagti gali-kuchon pe ye kaisaa sukut-e-marg taari hai fazaa-e-shahr-e-be-saut-o-sadaa achchhi nahin lagti pas-e-tasvir ho jab ek rang-e-aatish-o-aahan tiri tasvir ai duniyaa zaraa achchhi nahin lagti vahi hai bhuuk ahl-e-zar ki lekin log kahte hain bharaa ho peT to koi ghizaa achchhi nahin lagti taajjub hai hamein un par jinhein apne gulistaan ki zamin achchhi nahin lagti fazaa achchhi nahin lagti adhuraa hai abhi zauq-e-tamaashaa-e-jamaal apnaa koi surat sar-e-shahr-e-vafaa achchhi nahin lagti kare kyaa chaaragar aise marizon kaa jinhein 'shaahid' ilaaj achchhaa nahin lagtaa davaa achchhi nahin lagti"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"jaada-e-raasti hi kaafi hai mujh ko ye raushni hi kaafi hai is jahaan mein guzaarne ke liye mukhtasar zindagi hi kaafi hai tujh ko farzaangi mubaarak ho mujh ko divaangi hi kaafi hai kyaa zarurat hai dushmanon ki mujhe aap ki dosti hi kaafi hai kyaa karungaa main sim-o-zar le kar daulat-e-be-khudi hi kaafi hai dil ke aangan mein raushni ke liye fikr ki taazgi hi kaafi hai is chaman mein khizaan-nasibon ko ik kali adh-khili hi kaafi hai lashkar-e-gham se jitne ke liye chand-roza khushi hi kaafi hai aarzu ke nihaal ko 'shaahid' aansuon ki nami hi kaafi hai"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"ab kyaa kahein jo mausam-e-gulshan kaa haal hai phulon se raabta na sabaa kaa khayaal hai har aarzu ki aankh mein aansu lahu ke hain kis kaa ye dil ke shahr mein yaum-e-visaal hai mujh ko kiyaa thaa qaidi-e-taqdir kis liye qudrat se intizaar-e-javaab-o-savaal hai jazbon ki anjuman mein usi ki hai raushni gul-haa-e-aarzu mein usi kaa jamaal hai jo bukhl se kiyaa hai ikaTThaa tamaam umr teraa nahin hai vo tire beTon kaa maal hai har gosha-e-zamin pe zaraa ghaur se paDho likkhi jo daastaan-e-uruj-o-zavaal hai 'shaahid' vo puchhte hain miraa haal kyaa kahun jaisaa thaa pichhle saal vahi ab ke saal hai"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"kyuun qatl ke armaan mein aazaar uThaaein gardan miri haazir hai vo talvaar uThaaein roke se miri tab-e-ravaan ruk na sakegi raste mein mire laakh vo divaar uThaaein jo dil mein tumhaare hai bataa kyuun nahin dete sadma jo uThaanaa hai to yakbaar uThaaein kyuun log hain khaamosh zabun-haal pe apne aavaaz sar-e-kucha-o-baazaar uThaaein khud hi jo pas-e-parda-e-asraar chhupe hain vo kaise bhalaa parda-e-asraar uThaaein nilaam jo karte hain yahaan jins-e-vafaa ko mumkin hi nahin naaz-e-kharidaar uThaaein ye jurm-e-mohabbat nahin vaaiz kaa muqaddar ye baar-e-gunaah ham se gunahgaar uThaaein phirte hain jo aazaad unhein kaise khabar ho zindaan mein jo taklif-e-giraftaar uThaaein 'shaahid' yahi likkhaa hai muqaddar mein hamaare sadmaat zamaane mein lagaataar uThaaein"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"noch liye har shaakh se patte buuTaa buuTaa luuT liyaa dast-e-khizaan ne chori chori baagh-e-tamannaa luuT liyaa us ko khud hi main ne apne shahr ki daulat saunpi thi kis se zikr karun ab jaa kar us ne kyaa kyaa luuT liyaa aur to kuchh bhi paas nahin thaa ik yaadon ki daulat thi zaalim vaqt ne chupke chupke ye bhi asaasa luuT liyaa suukh gai hain dhuup mein shaakhein ummidon armaanon ki mausam-e-gham ne dil ke shajar kaa pattaa pataa luuT liyaa apne dil ke armaanon kaa mela ek lagaayaa thaa us ne apni chhab dikhlaa kar saaraa mela luuT liyaa har su baam-o-dar par chhaae dard-o-yaas ke saae hain kis zaalim ne is nagri kaa qarya qarya luuT liyaa tujh ko bhi thaa 'shaahid'-e-naadaan apne dil par naaz bahut us ne chor ban ke aakhir rafta rafta luuT liyaa"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"is shahr mein nishaana-e-qaatil hami to hain kuchh jaabiron ki raah mein haail hami to hain jo bechne chale hain mataa-e-bahaar ko un dushmanon ke madd-e-muqaabil hami to hain gul-kaari-e-chaman mein hamaaraa lahu bhi hai rangini-e-bahaar mein shaamil hami to hain jo daulat-e-hunar ke talabgaar hain abhi ai rabb-e-harf-o-saut vasaael hami to hain jo kho gae hain pech-o-kham-e-rahguzaar mein un sab ke muntazir sar-e-manzil hami to hain ik umr se hain halqa-e-girdaab mein ghire naa-aashnaa-e-qurbat-e-saahil hami to hain ham hi se hai ye raunaq-e-bazm-e-hayaat bhi is kaarobaar-e-vaqt kaa haasil hami to hain us ne ataa kiyaa hai gham-e-do-jahaan hamein us ki navaazishaat ke qaabil hami to hain ham-raahyaan-e-jaada-e-duniyaa se kyaa gila 'shaahid' khud apni zaat se ghaafil hami to hain"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"kaThin haalaat mein apne iraadon ko javaan rakhnaa hamein aataa hai dil mein shoala-e-gham ko nihaan rakhnaa akele ghar mein kaise vaqt kaaToge tan-e-tanhaa koi tasvir laTkaa kar sar-e-divaar-e-jaan rakhnaa hamaari fikr tum chhoDo hamein ye kaam aataa hai andheron mein basar karnaa nazar mein kahkashaan rakhnaa ajal aur zindagi ki dosti ik harf-e-baatil hai bahut dushvaar hai paani pe buniyaad-e-makaan rakhnaa chaman par ek din fasl-e-khizaan kaa raaj bhi hogaa abas hai dil mein armaan-e-bahaar-e-jaavedaan rakhnaa na jaane is mein poshida hain us ki hikmatein kyaa kyaa hamesha gardishon mein ye zamin-o-aasmaan rakhnaa kahaan aasaan hai ahl-e-sukhan ki bhiiD mein 'shaahid' judaa auron se apnaa tarz-e-guftaar-o-bayaan rakhnaa"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"havaa khaamosh patte so rahe hain abhi shaakhon pe ghunche so rahe hain sar-e-divaar suraj tap rahaa hai pas-e-divaar saae so rahe hain dar-e-dil par abhi dastak na denaa andheraa hai ujaale so rahe hain havaa-e-tund tu bhi jaa ke so jaa darakhton par parinde so rahe hain khuli hain shab ke darvaazon ki aankhein magar ghar ke dariche so rahe hain bakhil aisaa nahin dekhaa hai dariyaa ki ham saahil pe pyaase so rahe hain bahut zoron pe hai tufaan lekin samundar mein jazire so rahe hain taajjub-khez hai dariyaa kaa manzar bhanvar chup hain kinaare so rahe hain maze hain luTne vaalon ke 'shaahid' ki ahl-e-shahr saare so rahe hain"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"kisi ki yaad mein likkhaa hai jo kuchh yahi kuchh hai miraa apnaa hai jo kuchh usi kaa aks hai lafzon mein mere nazar ke saamne duniyaa hai jo kuchh zarurat-mand huun mujh ko ataa kar sakhi daataa miraa hissa hai jo kuchh churaa le jaaegi baad-e-sabaa bhi chhupaa kar phuul ne rakkhaa hai jo kuchh muqaddar hai isi kaa naam shaayad mujhe vo be-talab detaa hai jo kuchh bataa deingi havaaein har kisi ko lab-e-ashjaar par qissa hai jo kuchh mah-o-khurshid to kuchh bhi nahin hain miri miTTi kaa ik zarra hai jo kuchh kisi din vo bhi le jaaegaa koi sar-e-baazaar-e-jaan saudaa hai jo kuchh kahaan tak main tajassus mein rahungaa uThaa do darmiyaan parda hai jo kuchh nahin sujhaa jo ab us kaa abhi tak kisi ki aankh ne puchhaa hai jo kuchh nahin kuchh aur paane ki tamannaa ghanimat hai yahaan paayaa hai jo kuchh use tahrir kartaa jaa rahaa huun miri sochon kaa afsaana hai jo kuchh bhanvar hon yaa khas-o-khaashaak 'shaahid' hamaaraa hai sar-e-dariyaa hai jo kuchh"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"vo mujh mein thaa nihaan main dekhtaa kyaa pas-e-divaar-e-jaan main dekhtaa kyaa kitaab-e-zindagi zer-e-nazar thi hadis-e-dil-baraan main dekhtaa kyaa mujhe chalnaa thaa apne raaste par niahaan-e-raftgaan main dekhtaa kyaa nazar mein thaa vo mahtaab-e-tamannaa jamaal-e-kahkashaan main dekhtaa kyaa fanaa ki zad pe thaa baazaar-e-duniyaa yahaan sud-o-ziyaan main dekhtaa kyaa miri aankhein bhari thiin aansuon se sar-e-shahar-e-fughaan main dekhtaa kyaa Thikaanaa thaa miraa dasht-e-junun mein khirad ki bastiyaan main dekhtaa kyaa miri majburiyaan bhi kam nahin thiin tiri majburiyaan main dekhtaa kyaa use jab imtihaan lenaa nahin thaa nisaab-e-imtihaan main dekhtaa kyaa miri parvaaz thi 'shaahid' falak par zamin ki pastiyaan main dekhtaa kyaa"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"ye rang tire shahr ke sahraa mein kahaan hain galiyaan hain na kuche hain makin hain na makaan hain aankhon mein chhupaa rakkhe hain ashkon ke khazine ham gham ki inaayaat se mahrum kahaan hain jhalkeinge kisi roz yahi lafz-o-bayaan mein aaina-e-ehsaas mein jo aks nihaan hain rakhte hain jo mukhtaari-e-insaan ki tamannaa majburi-e-insaan pe abhi ashk-fishaan hain aankhon mein koi mauj-e-shafaq-rang nahin kyon dil mein to abhi khuun ke dariyaa se ravaan hain takhliq-e-musavvir ko zaraa ghaur se dekho rangon ke tanaasub mein kai rang nihaan hain kyaa kaam hamein maal-o-zar-o-sim se 'shaahid' ham ahl-e-sukhan ahl-e-qalam ahl-e-zabaan hain"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"be-iraada kucha-e-qaatil mein jaanaa paD gayaa phir hamein apnaa muqaddar aazmaanaa paD gayaa kyaa karoge jab kabhi shahr-e-tamannaa mein tumhein ham se be-aabaad logon ko basaanaa paD gayaa apne bigDe khaal-o-khad ko aaine mein dekh kar aaina ik aaina-gar ko dikhaanaa paD gayaa dekh kar us kaa ravayya khud bujhaayaa thaa jise vo charaagh-e-aarzu phir se jalaanaa paD gayaa hiddat-e-jazbaat se jalne lagaa thaa tan-badan phir thapak kar in sharaaron ko sulaanaa paD gayaa kyaa kahein ham mausamon ke devtaa ko kis liye dasht-o-sahraa mein bagulon ko sajaanaa paD gayaa dekhnaa ahl-e-chaman 'shaahid' bulaaeinge hamein jab chaman ko baad-e-sar-sar se bachaanaa paD gayaa"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"fikr-e-sud-o-ziyaan mein rahtaa huun main bhi is khaak-daan mein rahtaa huun nilgun aasmaan ke niche khema-e-jism-o-jaan mein rahtaa huun main huun aazaad kab zamaane mein qaid-e-vahm-o-gumaan mein rahtaa huun main mohabbat ki raushni ban kar vaqt ki kahkashaan mein rahtaa huun main bahaaron ke rang mein Dhal kar manzar-e-bostaan mein rahtaa huun jaane kyaa baat hai ki main tanhaa mahfil-e-dostaan mein rahtaa huun apne buDhe vajud ke andar ik shikasta makaan mein rahtaa huun fikr-e-itlaaf-e-zindagi kaisaa main ajal ki amaan mein rahtaa huun main bagulon ke darmiyaan 'shaahid' dasht-e-asr-e-ravaan mein rahtaa huun"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"rahoge ham se kab tak be-khabar se judaa hoti nahin divaar dar se musaafir haal kyaa apnaa sunaae abhi lauTaa nahin apne safar se hamesha to nahin rahtaa hai qaaem taalluq raah-rau kaa rahguzar se makaanon se makin rukhsat hue hain udaasi jhaankti hai baam-o-dar se abhi tak huun safar mein irtiqaa ke mujhe lagte the raste mukhtasar se isi miTTi se hai pahchaan meri mohabbat hai mujhe bhi apne ghar se na jaane un pe kyaa guzri thi 'shaahid' judaa patte hue the jab shajar se"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"ik qabile se hain lekin rang-o-naqsha aur hai aur hai kaanTon ki duniyaa gul ki duniyaa aur hai ishtiraak-e-fikr ho kaise hamaare darmiyaan teri khvaahish aur hai meri tamannaa aur hai aur hi manzar hai duniyaa kaa sar-e-tur-e-nazar chashm-e-dil ke saamne lekin tamaashaa aur hai aarzu ke bahr-o-dariyaa ki kahaani kyaa kahun is kaa saahil aur hai is kaa kinaaraa aur hai dekhnaa tufaan mein ghir kar na rah jaae kahin naakhudaa ye aarzuon kaa safina aur hai ab badalnaa hi paDegaa ye tariq-e-zindagi ab miri jaan surat-e-haalaat-e-duniyaa aur hai dushmanon kaa haath is mein hai na yaaron kaa qusur inqitaa-e-dosti kaa shaakhsaana aur hai zindagi ke moD par 'shaahid' milein phir kis tarah us kaa rasta mukhtalif hai meraa rasta aur hai"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"aate hain pahle lab pe savaalaat khud-bakhud phir ham ko sujhte hain javaabaat khud-bakhud sochon mein apne aap utarti hai raushni jalti hai dil mein mashal-e-jazbaat khud-bakhud jab tak na leinge fahm-o-faraasat se kaam ham badlegi kaise surat-e-haalaat khud-bakhud qasr-e-tasavvuraat mein jab se muqim hain hoti hai roz un se mulaaqaat khud-ba-khud tanvir jin ki hai mire ik ek lafz mein naazil hui hain mujh pe vo aayaat khud-ba-khud chamkaa hai kis ki yaad kaa suraj khayaal mein raushan huaa hai shahr-e-khayaalaat khud-ba-khud 'shaahid' isi kaa naam hai taufiq-e-aizdi niklaa zabaan se harf-e-munaajaat khud-ba-khud"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"hamein ahl-e-zamaana DhunDte hain koi taaza nishaana DhunDte hain abhi tak ham koi unvaan-e-taaza sar-e-shahr-e-fasaana DhunDte hain hamaari hi tarah uTh kar savere parinde aab-o-daana DhunDte hain zamin ab ho gai maskan puraanaa nayaa koi Thikaana DhunDte hain charaagh-e-khun-e-dil ham to jalaa kar mazaamin kaa khazaana DhunDte hain musalmaan ho ke bhi ham gul-rukhon mein adaaein kaafiraana DhunDte hain abhi kuchh log aise hain jo 'shaahid' vahi pahlaa zamaana DhunDte hain"
Hafeez ShahidHafeez Shahid
Quote
"haalaat par nigaah ruton par nazar na thi jab tak rahe chaman mein chaman ki khabar na thi khud apne ghar ko aag dikhaai thi aap ne is mein to koi saazish-e-barq-o-sharar na thi rudaad-e-tira-bakhti-e-ahbaab kyaa kahein un ke liye sahar bhi tulu-e-sahar na thi fasl-e-bahaar mein tar-o-taaza nahin havaa shaayad shajar ko khvaahish-e-barg-o-samar na thi TuuTi hui umiid shikasta the hausle dil ki tabaahiyon pe magar aankh tar na thi dasht-e-talab mein itne andhere the kaargar rakhshanda ik kiran bhi sar-e-rahguzar na thi phir kyuun sunaa diyaa thaa adaalat ne faisla 'shaahid' miri gavaahi agar mo'atabar na thi"
Hafeez ShahidHafeez Shahid