SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHaleem Sabir(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mujhe be-khaanmaa kar ke pashemaan vo na yuun hotaa agar meri tabaahi se use haasil sukun hotaa mujhe aasudgi bakhshi thi meri khasta-haali ne mire honTon pe kyon kar shikva-e-haal-e-zubun hotaa dar-e-munim pe jhuk kar sarfaraazi hoti jo haasil main aisi sarfaraazi ke liye kyon sar-nigun hotaa khirad ke saamne hoti na rusvaai kabhi us ki agar josh-e-junun vaaqif ba-aadaab-e-junun hotaa vahi ho ke rahaa aakhir jo honaa thaa mire haq mein ab is par ranj kyaa karnaa ki yuun hotaa na yuun hotaa agar main saahir-e-fan hotaa apne ahd kaa saabir asar-andaaz logon par mire fan kaa fusun hotaa"
Haleem SabirHaleem Sabir
Quote
"ahl-e-haq bhi aa gae ab un ki mahfil ke qarib maslahat-koshi unhein le aai baatil ke qarib sar se unchaa ho jahaan paani vahin hai Dubnaa ab koi manjdhaar mein Duube ki saahil ke qarib sakht mushkil se bhi ham pahunche na aasaani ke paas kitni aasaani se pahunche log mushkil ke qarib is ghaDi saabit-qadam rahnaa baDaa dushvaar hai Dagmagaate hain qadam jab aa ke manzil ke qarib saamne maqtul ke jo kar rahe the ehtijaaj ho gae gunge sabhi jab aae qaatil ke qarib un ki yaadon se na ham ghaafil rahe 'saabir' kabhi vo nazar se duur rah kar bhi rahe dil ke qarib"
Haleem SabirHaleem Sabir
Quote
"shohratein auron ne paain naam auron ko milaa kaam to ham ne kiyaa inaam auron ko milaa fasl jo main ne ugaai kar ke mehnat raat din jab biki vo fasl meri daam auron ko milaa mere purkhon ne lagaae peD jo mere liye un ki ThanDi chhaanv mein aaraam auron ko milaa mere hisse mein sulagti dopahar ki dhuup thi zindagi kaa lutf subh-o-shaam auron ko milaa thi hamaari haisiyat is shahr mein meamaar ki ham ne chhat taamir ki aaraam auron ko milaa ham bhi pyaase the magar munh dekhte hi rah gae dast-e-saaqi se chhalaktaa jaam auron ko milaa mujh ko 'saabir' har qadam par raah mein kaanTe mile phulon se aaraasta har-gaam auron ko milaa"
Haleem SabirHaleem Sabir
Quote
"ye log hain kaise ki jinhein gham nahin hotaa mar jaae agar koi to maatam nahin hotaa har dard ki qismat mein davaa bhi nahin hoti har zakhm ki taqdir mein marham nahin hotaa ho jaataa hai shaadaabi-e-rukhsaar se mahrum vo phuul jo aasuda-e-shabnam nahin hotaa izhaar-e-tamannaa ki koi rut nahin hoti iqraar-e-vafaa kaa koi mausam nahin hotaa har dar pe jo jhuk jaae use sar nahin kahte sar vo hai ki jo vaar pe bhi kham nahin hotaa ye dard-e-mohabbat bhi ajab dard hai 'saabir' baDhtaa hai to baDhtaa hai kabhi kam nahin hotaa"
Haleem SabirHaleem Sabir
Quote
"main badalte hue haalaat pe aksar royaa dekh kar shahr kaa badlaa huaa manzar royaa chup huaa ro ke jo phir royaa mukarrar royaa ro ke jab ji na bharaa meraa to ji bhar royaa jaise-taise mujhe ronaa kabhi aayaa hi nahin jab bhi royaa main bahut soch samajh kar royaa munhasir thaa miraa ronaa bhi miri marzi par chand lamhe kabhi royaa kabhi din bhar royaa mujh ko rone kaa hunar aa gayaa rote rote rone vaalon se ba-har-taur main behtar royaa mere rone kaa bhi andaaz ajab thaa 'saabir' rote rote jo hansi aai to hans kar royaa"
Haleem SabirHaleem Sabir
Quote
"phir ham ko ehtiyaat se chalnaa bhi aa gayaa Thokar lagi gire to sambhalnaa bhi aa gayaa sahme hue hain kachche makaanon ke baam-o-dar ab gaanv ki nadi ko ubalnaa bhi aa gayaa angDaai li chaman mein jo fasl-e-bahaar ne sukhe shajar ko phulnaa-phalnaa bhi aa gayaa Daalaa gayaa jo tel to lau tez ho gai bujhte hue charaagh ko jalnaa bhi aa gayaa ghar lauTe ham safar se khilaune liye hue bachchon ko ab khushi se uchhalnaa bhi aa gayaa thi muddaton jo chhaai hui mujh pe be-hisi dekhaa tumhein to dil ko machalnaa bhi aa gayaa 'saabir' mire liye the jo dushvaar raaste un raaston pe ab mujhe chalnaa bhi aa gayaa"
Haleem SabirHaleem Sabir