SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHamid(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"chaman mein jab bahaar aai to divaane machal uTThe huaa jab zikr-e-chashm-e-mast paimaane machal uTThe havaa-e-fasl-e-gul aai ghaTaa ghanghor jab chhaai chalaa yuun daur-e-paimaana ki maikhaane machal uTThe yaqinan rabt-e-baaham koi husn-o-'ishq mein hogaa jali jab sham' mahfil mein to parvaane machal uTThe pilaae jaa are saaqi agar kuchh bhi hai mai baaqi tiri dariyaa-dili dekhi to mastaane machal uTThe kisi jaan-e-vafaa kaa tazkira unvaan-e-mahfil hai bahaarein jhuum uTThin aur afsaane machal uTThe kuchh is andaaz se zindaan mein paighaam-e-bahaar aayaa ki divaane to divaane the farzaane machal uTThe chale ahl-e-junun josh-e-junun mein jab bayaabaan ko kiyaa kaanTon ne istiqbaal viraane machal uTThe barahman mast hotaa hai faqat naaqus ki lai par suni baang-e-azaan tasbih ke daane machal uTThe mire ikhlaas-o-jazb-e-dil ki ye taasir hai 'anjum' yagaanon kaa to kyaa kahnaa hai begaane machal uTThe"
HamidHamid
Quote
"bekasi kaa ajiib aalam hai ham-navaa hai na koi ham-dam hai haal-e-dil apnaa main kahun kis se raaz-daan hai na koi mahram hai jism hai chur-chur zakhmon se jis kaa darmaan na koi marham hai kuchh bataao to maajraa kyaa hai honT hanste hain aankh pur-nam hai ham bhi pahuncheinge apni manzil par azm-e-raasikh hai sai-e-paiham hai gulsitaan kaa maaal kyaa hogaa baaghbaan kaa mizaaj barham hai koi samjhe agar to kyaa samjhe un ki har ek baat mubham hai zindagi kahti hai jise duniyaa yaa to shoala hai yaa vo shabnam hai tirgi baDh rahi hai ai 'anjum' sab charaaghon ki lau jo maddham hai"
HamidHamid
Quote
"dard-e-furqat se jo bhi ghabraae ishq us ko kabhi na raas aae baat hi ham-nafas kuchh aisi thi jaa ke mahfil se ham jo lauT aae us nasheman ki shaan kyaa hogi barq rah rah ke jis pe lahraae raushni kaa nishaan nahin miltaa har taraf zulmaton ke hain saae teraa dar chhoD kar ai jaan-e-vafaa koi jaae to phir kahaan jaae yaa-khudaa umr ho daraaz us ki dushmani ki jo aag bhaDkaae khvaab mein un ke aastaane par sajda-e-shauq ham guzaar aae jaane kyaa ho gayaa mujhe 'anjum' aankh bhar aai jab vo yaad aae"
HamidHamid
Quote
"bazm-e-jaanaan se lauT kar aae phuul daaman mein apne bhar laae baat hi ham-nafas kuchh aisi thi un ki mahfil mein jaa ke lauT aae aashiyaan to banaa ke dam lungaa barq-e-khaatif hazaar lahraae raushni hai na kuchh ujaalaa hai har taraf zulmaton ke hain saae teraa dar chhoD ke ai jaan-e-vafaa koi jaae to phir kahaan jaae kyaa vo aae mire tasavvur mein mujh ko biite zamaane yaad aae zakhm hi dil kaa bhar gayaa shaayad varna honTon pe yuun hansi aae jaantaa hai savaab-e-taaat-o-zohd koi dil ko mire na samjhaae dard-e-dil kahte hain jise 'anjum' un ki mushaf se le ke ham aae"
HamidHamid
Quote
"hosh-o-khirad se aap hi begaana ho gayaa uTThi nigaah-e-naaz main divaana ho gayaa duniyaa mein rah ke kis kaa kare koi eatibaar jab apnaa dil hi aap se begaana ho gayaa un ki nazar kaa faiz hai bas aur kuchh nahin farzaangi mein koi jo divaana ho gayaa sar un ke aastaane pe jhuktaa nahin hai ab andaaz-e-bandagi bhi gadaayaana ho gayaa un ki navaazishon kaa ujaalaa kaho use jo anjuman mein jalva-e-jaanaana ho gayaa saaqi ki chashm-e-naaz kaa allah re ehtiraam nazron mein saaraa mai-kada paimaana ho gayaa 'anjum' nahin thaa kuchh bhi sivaa dil ke mere paas ab dekhiye use bhi to divaana ho gayaa"
HamidHamid
Quote
"kyaa khataa thi miri vo khafaa ho gae main ne samjhaa thaa kyaa aur kyaa ho gae jo mohabbat pe qurbaan hote rahe safha-e-dahr par laa-fanaa ho gae jis ki fitrat mein hi thi sirisht-e-vafaa haif hai vo bhi ab bevafaa ho gae naa-khudaai bhi aati nahin thi jinhein kyaa zamaana hai vo bhi khudaa ho gae kal bhi fitnon se khaali na thaa ye jahaan aaj bhi kitne fitne bapaa ho gae yuun gham-e-zindagi ne nikhaaraa hamein ham khazaf se dur-e-be-bahaa ho gae paikar-e-naaz ki naazuki dekhiye ham bhi 'anjum' ghazal-aashnaa ho gae"
HamidHamid