SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHamza Bilal(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"is ta'alluq ko nibhaao to koi she'r kahun tum agar saamne aao to koi she'r kahun Duub jaane pe hi gahraai pata chalti hai aankh se aankh milaao to koi she'r kahun main kisi monalisa kaa nahin qaail jaanaan apni tasvir dikhaao to koi she'r kahun aap ki chup se hain khaamosh fazaaein saari aap honTon ko hilaao to koi she'r kahun tum sitaaron ko gino aur main dekhun tum ko saath ik raat bitaao to koi she'r kahun hazrat-e-qais ko kal shahr mein dekhaa to kahaa dasht mein khaak uDaao to koi she'r kahun vasl ke daur mein kab she'r huaa karte hain tum mujhe chhoD ke jaao to koi she'r kahun"
Hamza BilalHamza Bilal
Quote
"girya-o-zaari kaa saamaan uThaa lete hain hijr mein 'mir' kaa divaan uThaa lete hain koi lailaa bhi nahin apni kahaani mein magar sar pe ham dasht-o-bayaabaan uThaa lete hain ham ko talvaar se raghbat to nahin hai saain haan magar ho ke pareshaan uThaa lete hain aise taajir ki jinhein suud gavaaraa ho faqat raah-e-ulfat mein vo nuqsaan uThaa lete hain main mukhaatib huun kisi aur munaafiq se miyaan aap kyon haath mein quraan uThaa lete hain be-jhijhak aap mohabbat ko jataayaa kiije ham hasinon ke to ehsaan uThaa lete hain"
Hamza BilalHamza Bilal
Quote
"bad-qismati pe zor miraa chal nahin rahaa ye haadisa kisi bhi tarah Tal nahin rahaa aaseb ke vo saae musallat hain in dinon aankhon mein ek khvaab talak pal nahin rahaa jaan-e-bahaar ab ye takalluf bhi chhoD de jab main tiri nigaah mein avval nahin rahaa kyaa khuub mo'jiza hai ki sho'la-badan ke main pahlu mein aa gayaa huun magar jal nahin rahaa is masale kaa hal to faqat aap the huzur ab aap kah rahe hain koi hal nahin rahaa she'r-o-sukhan bhi band hai pichhle baras se aur is dil kaa kaarobaar bhi ab chal nahin rahaa 'hamza-bilaal’ sakht hai aisaa balaa kaa sakht sab kuchh ganvaa ke haath talak mal nahin rahaa"
Hamza BilalHamza Bilal
Quote
"ashk aankhon mein bahaane ke liye rakkhe hain qimti moti luTaane ke liye rakkhe hain TukDe TukDe tiri tasvir nahin ki hai faqat sun le ye khat bhi jalaane ke liye rakkhe hain ghair ke saath rifaaqat hai magar ham jaise bazm mein she'r sunaane ke liye rakkhe hain in piyaadon se mohabbat hi nahin hai tum ko ye to bas jaan ganvaane ke liye rakkhe hain mujh ko maa'lum hai ye honT mire gaalon par tu ne ehsaan jataane ke liye rakkhe hain kuchh munaafiq to khudaa tu ne hamaari saf mein sirf ehsaas dilaane ke liye rakkhe hain chand bose jo mire naam ke hote 'hamza' us ne mahfuz zamaane ke liye rakkhe hain"
Hamza BilalHamza Bilal
Quote
"hamaari chhat pe bhi suraj kaa intizaam huaa ye aur baat ki ye kaam vaqt-e-shaam huaa uThe raqib to phir mujh se baiThne ko kahaa tumhaari bazm mein yuun meraa ehtiraam huaa safar mein tum se kinaara kiyaa tumhaare liye magar bichhaDne kaa afsos gaam gaam huaa ki jaise DaanT de koi yatim bachche ko hamaari hasrat-e-dil kaa yuun ikhtitaam huaa hamaare dil ko dikhaai gai nai duniyaa kuchh is tarah ye parinda bhi zer-e-daam huaa bichhaD ke tujh se hunar shaa'iri kaa siikh liyaa yuun ahl-e-dard ke jiine kaa intizaam huaa"
Hamza BilalHamza Bilal
Quote
"ye samjhaayaa hai is dil ne khudaa hi par yaqin rakkho tumhaaraa jo bhi sarmaaya ho saahab vo tumhin rakkho hamaari baadshaahi ke sune honge kai qisse ki ham har chiiz de deinge magar kaasa vahin rakkho labon ko kar diyaa hai naam us ne in raqibon ke hamein ye kah diyaa aap lo meri jabin rakho khudaa jaane bahaana thaa dilaasa thaa ki vaada thaa mujhe ik baar phir zulmat ne samjhaayaa yaqin rakkho banaae yaar hain tum ne baDi taadaad mein 'hamza' miraa ik mashvara hai ab silaa kar aastin rakkho"
Hamza BilalHamza Bilal
Quote
"sab ke ghar mein ye charaaghaan nahin dekhaa jaataa juz tire koi bhi shaadaan nahin dekhaa jaataa kyaa kahein ye gham-e-dauraan nahin dekhaa jaataa hijr kaa chaand farozaan nahin dekhaa jaataa ham hain majnun ke parastaar miyaan ham se to suunaa suunaa ye bayaabaan nahin dekhaa jaataa ham vafaaon kaa taqaaza nahin karte us se ham se vo shakhs pashemaan nahin dekhaa jaataa main to saabir huun kabhi uf nahin kartaa lekin yaar hamraah-e-raqibaan nahin dekhaa jaataa dil mein raunaq to rahe tu na sahi aur sahi ab to khaali ye khumistaan nahin dekhaa jaataa aa tire haq mein du'aa kar duun ai dushman mere mujh se ab tu bhi pareshaan nahin dekhaa jaataa shahr vaale to ye kah kah ke taras khaate hain aisaa barbaad sukhan-daan nahin dekhaa jaataa itnaa taarik hai ye daur hamaaraa 'hamza' ab koi saahib-e-‘irfaan nahin dekhaa jaataa"
Hamza BilalHamza Bilal
Quote
"hamein ab hijr us kaa khal rahaa hai kyaa kiyaa jaae jo vaa'da vasl kaa thaa Tal rahaa hai kyaa kiyaa jaae kabhi jis ki badaulat ham ko sab aadaab karte the bulandi kaa vo suraj Dhal rahaa hai kyaa kiyaa jaae tiri pyaari si surat ko basaate dil ke mandir mein magar tu aankh se ojhal rahaa hai kyaa kiyaa jaae main saari hasraton ko dafn to kar aayaa huun lekin tumhaaraa khvaab dil mein pal rahaa hai kyaa kiyaa jaae na raavan hai kahaani mein na siitaa zindagaani mein magar banvaas phir bhi chal rahaa hai kyaa kiyaa jaae"
Hamza BilalHamza Bilal