SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHasan Abidi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"pahle hi baar-e-dosh hain sar bhi gae to kyaa jaanaan ham apni jaan se guzar bhi gae to kyaa jiinaa mataaa-e-khvesh na marnaa ataa-e-ghair jiite rahe to kyaa hai jo mar bhi gae to kyaa dil khuun hai ek tark-e-mohabbat ke daagh se rusvaaiyon ke daagh utar bhi gae to kyaa miTTi mein eatibaar-e-numu DhunDhtaa huun main baadal havaa ke saath bikhar bhi gae to kyaa shabnam se apni pyaas bujhaati hain khetiyaan dariyaa samundaron mein utar bhi gae to kyaa tughyaaniyon ki zad mein Thikaane sabhi ke hain kashti Dubo ke paar utar bhi gae to kyaa ghar mein thaa ehtiyaaj kaa daftar khulaa huaa daftar ki khaak chhaan ke ghar bhi gae to kyaa"
Hasan AbidiHasan Abidi
Quote
"tishna-kaamon ko yahaan kaun subu detaa hai gul ko bhi haath lagaao to lahu detaa hai neshtar aur sahi kaar-e-digar aur sahi dil-e-sad-chaak agar izn-e-rafu detaa hai taab-e-fariyaad bhi de lazzat-e-bedaad bhi de dene vaale jo mujhe soz-e-gulu detaa hai ham to barbaad hue barg-e-khizaan ki surat shaakh-e-gul kaun tujhe zauq-e-numu detaa hai munsifo haath se ab dashna-o-khanjar rakh do kyaa buraa hai agar insaaf adu detaa hai ai khudaavand mire sher ki qimat kyaa hai ek roTi kaa nivaala jise tu detaa hai"
Hasan AbidiHasan Abidi
Quote
"ham tirgi mein sham' jalaae hue to hain haathon mein surkh jaam uThaae hue to hain us jaan-e-anjuman ke liye be-qaraar dil aankhon mein intizaar sajaae hue to hain milaad ho ki majlis-e-gham mubtalaa tire aangan mein dil ke farsh bichhaae hue to hain hizb-e-haram ne shauq-e-junun ko baDhaa diyaa siine se ham buton ko lagaae hue to hain duniyaa kahaan thi paas-e-viraasat ke zimn mein ik diin thaa so us pe luTaae hue to hain kab chobdaar par hon sar-afraaz dekhiye us shokh ki nigaah mein aae hue to hain"
Hasan AbidiHasan Abidi
Quote
"safar mein ek jag tamaam ho gayaa ab apne ghar kaa raasta bhi kho gayaa phir us ke pairahan ki bu na mil saki vo mere khuun mein aastin Dubo gayaa vo neshtar jo us ke haath mein na thaa gayaa to meri saans mein piro gayaa ab aansuon ki fasl kaaTte raho judaaiyon ke biij vo to bo gayaa na jaane kis nagar aaj shaam ho sahar hui to ji udaas ho gayaa guzar gai jo be-gharon pe kyaa kahein zamin ko abr-e-barshgaal dho gayaa miri to aankh nam na ho saki magar vo mujh pe mere aansuon se ro gayaa likhegaa kaun is sadi ki daastaan har ek pal hazaar saal ho gayaa"
Hasan AbidiHasan Abidi
Quote
"shahr-e-naa-pursaan mein kuchh apnaa pata miltaa nahin baam-o-dar raushan hain lekin raasta miltaa nahin fasl-e-gul aisi ki arzaan ho gae kaaghaz ke phuul ab koi gul-pairahan zarrin-qabaa miltaa nahin aashnaa chehron se rang-e-aashnaai uD gayaa ham-zabaan ab khushk patton ke sivaa miltaa nahin ek sannaaTaa hai shabnam se shuaa-e-nur tak ab koi aanchal pas-e-mauj-e-sabaa miltaa nahin haakimon ne shahr ke andar fasilein khinch diin din mein bhi ab koi darvaaza khulaa miltaa nahin itne be-parvaa iraade itne be-taufiq gham haath uThte hain magar harf-e-duaa miltaa nahin"
Hasan AbidiHasan Abidi
Quote
"kaun dekhe meri shaakhon ke samar TuuTe hue ghar se baahar raaston mein hain shajar TuuTe hue luT gayaa din kaa asaasa aur baaqi rah gae shaam ki dahliz par laal o guhar TuuTe hue yaad-e-yaaraan dil mein aai huuk ban kar rah gai jaise ik zakhmi parinda jis ke par TuuTe hue raat hai aur aati jaati saaatein aankhon mein hain jaise aaine bisaat-e-khvaab par TuuTe hue aabgine pattharon par sar-nigun hote gae aur ham bach kar nikal aae magar TuuTe hue mil gae miTTi mein kyaa kyaa muntazir aankhon ke khvaab kis ne dekhe hain sitaare khaak par TuuTe hue vo jo dil ki mamlikat thi baabari masjid hui bastiyaan sunsaan ghar viraan dar TuuTe hue"
Hasan AbidiHasan Abidi
Quote
"pal rahe hain kitne andeshe dilon ke darmiyaan raat ki parchhaaiyaan jaise diyon ke darmiyaan phir kisi ne ek khun-aalud khanjar rakh diyaa khauf ke zulmat-kade mein doston ke darmiyaan kyaa sunahri daur thaa ham zard patton ki tarah dar-ba-dar phirte rahe piili ruton ke darmiyaan ai khudaa insaan ki taqsim-dar-taqsim dekh paarsaaon devtaaon qaatilon ke darmiyaan aashti ke naam par itni saf-aaraai hui aa gai baarud ki khush-bu gulon ke darmiyaan meraa chehraa khud bhi aashob-e-safar mein kho gayaa main ye kis ko DhunDtaa huun manzilon ke darmiyaan"
Hasan AbidiHasan Abidi
Quote
"ab yahi saaya-e-divaar miraa ghar Thahraa use chhoDun bhi to kaise miraa paikar Thahraa ab kisi aur jazire kaa safar kyon kiije main bhi insaan huun aashob kaa khugar Thahraa vaqt kaa apnaa safar abr ki apni manzil ek pal ke liye saaya mire dar par Thahraa phir use pyaas ke sahraa se pukaaraa main ne main ki mavvaaj samundar kaa shanaavar Thahraa kyon na bargashta ho qismat kaa sitaara mujh se ki sitaara bhi vahi maah-e-munavvar Thahraa zabt laazim thaa magar aankh mein aansu bhar aae aa ke sailaab mere ghar ke baraabar Thahraa rifat-e-daar se insaan kaa bharam hai varna kaun be-minnat-e-sultaan sar-e-mimbar Thahraa"
Hasan AbidiHasan Abidi
Quote
"subh aankh khulti hai ek din nikaltaa hai phir ye ek din barson saath saath chaltaa hai kuchh na kuchh to hotaa hai ik tire na hone se varna aisi baaton par kaun haath maltaa hai qaafile to sahraa mein thak ke so bhi jaate hain chaand baadalon ke saath saari raat chaltaa hai dil charaagh-e-mahfil hai lekin us ke aane tak baar baar bujhtaa hai baar baar jaltaa hai kulfatein judaai ki umr bhar nahin jaatin ji bahal to jaataa hai par kahaan bahaltaa hai dil tapaan nahin rahtaa main ghazal nahin kahtaa ye sharaar apni hi aag se uchhaltaa hai main bisaat-e-daanish kaa duur se tamaashaai dekhtaa rahaa shaatir kaise chaal chaltaa hai"
Hasan AbidiHasan Abidi