SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHasan Abbasi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"raat-din pur-shor saahil jaisaa manzar mujh mein thaa tum se pahle maujzan koi samundar mujh mein thaa aaj teri yaad se Takraa ke TukDe ho gayaa vo jo sadiyon se luDhaktaa ek patthar mujh mein thaa jite-ji sahn-e-mazaar-e-dost thaa meraa vajud ik shikasta saa piyaala aur kabutar mujh mein thaa main kahaan jaataa dikhaane apne andar kaa kamaal jo kabhi mujh par na khul paayaa vo jauhar mujh mein thaa DhunDhtaa phirtaa huun us ko raat din khud mein 'hasan' vo jo kal tak mujh se bhi ik shakhs behtar mujh mein thaa"
Hasan AbbasiHasan Abbasi
Quote
"kabhi jo aankhon ke aa gayaa aaftaab aage tire tasavvur mein ham ne kar li kitaab aage vo baad-e-muddat milaa to rone ki aarzu mein nikal ke aankhon se gir paDe chand khvaab aage dil-o-nazar mein hi apne kheme lagaa liye hain hamein khabar hai ki raasta hai kharaab aage nazar ke hairat-kade mein kab kaa khaDaa huaa huun ik aaine mein khilaa huaa hai gulaab aage guzarne vaalaa thaa rah-guzaar-e-hayaat se main vo ek lamha ki aa gae phir janaab aage 'hasan' jo maazi kaa safha ulTaa to aa gae hain khajur ke peD Tiile aur maahtaab aage"
Hasan AbbasiHasan Abbasi
Quote
"khvaab mein nuur barasne kaa samaan hotaa hai aankh khulti hai to kamre mein dhuaan hotaa hai dhuup aisi dar-o-divaar pe Thahri aa kar ghar pe aaseb ke saae kaa gumaan hotaa hai khvaab mein jaa ke use dekh to aauun lekin ab vo aankhon ke darichon mein kahaan hotaa hai din ko hoti hai jo logon ke guzarne ki jagah shaam ke baad vahaan meraa makaan hotaa hai khauf an-jaanaa koi pichhe paDaa hai aise jis jagah jaataa huun kam-bakht vahaan hotaa hai yuun mire aage ubhar aataa hai vo shakhs 'hasan' mere andar hi kahin jaise nihaan hotaa hai"
Hasan AbbasiHasan Abbasi
Quote
"raat ye kaun mire khvaab mein aayaa huaa thaa subh mein vaadi-e-shaadaab mein aayaa huaa thaa ik parinde ki tarah uD gayaa kuchh der hui aks us shakhs kaa taalaab mein aayaa huaa thaa main bhi us ke liye baiThaa rahaa chhat par shab bhar vo bhi mere liye mahtaab mein aayaa huaa thaa sard khitte mein sulagtaa huaa jangal thaa badan aag se niklaa to barfaab mein aayaa huaa thaa ye to sad-shukr khayaalon ne tire khinch liyaa main to haalaat ke girdaab mein aayaa huaa thaa yaad hain dil ko mohabbat ke shab-o-roz 'hasan' gaanv jaise koi sailaab mein aayaa huaa thaa"
Hasan AbbasiHasan Abbasi
Quote
"khvaab apne miri aankhon ke havaale kar ke tu kahaan hai mujhe nindon ke havaale kar ke meraa aangan to ba-juz tere mahaktaa hi nahin! baarhaa dekhaa hai phulon ke havaale kar ke ek gumnaam jazire mein utar jaaungaa apni kashti kabhi lahron ke havaale kar ke kaisaa suraj thaa ki phir lauT ke aayaa hi nahin chaand taare miri raaton ke havaale kar ke mujh ko maa'lum thaa ik roz chalaa jaaegaa! vo miri 'umr ko yaadon ke havaale kar ke ghar ki viraani badal Daali hai raunaq mein 'hasan' sahn kaa peD parindon ke havaale kar ke"
Hasan AbbasiHasan Abbasi
Quote
"udaas shaamon bujhe darichon mein lauT aayaa bichhaD ke us se main apni galiyon mein lauT aayaa chamakti saDkon pe koi meraa nahin thaa so main malul peDon ujaaD raston mein lauT aayaa khizaan ke aaghaaz mein ye achchhaa huaa ki main bhi khud apne jaise fasurda logon mein lauT aayaa hasin yaadon ke chaand ko alvidaaa kah kar main apne ghar ke andhere kamron mein lauT aayaa main khul ke royaa nahin thaa pichhle kai baras se 'hasan' vo sailaab phir se aankhon mein lauT aayaa"
Hasan AbbasiHasan Abbasi
Quote
"sunahre khvaab aankhon mein bunaa karte the ham donon parindon ki tarah din bhar uDaa karte the ham donon ilaahi zindagi yunhi mohabbat mein guzar jaae namaaz-e-fajr paDh kar ye duaa karte the ham donon hamesha ThanDi ho jaati thi chaae baaton baaton mein vo baatein jo in aankhon se kiyaa karte the ham donon guzar jaataa thaa saaraa din ikaTThe sipiyaan chunte samundar ke kinaare par rahaa karte the ham donon havaa ke ek jhonke se laraz jaate darichon mein charaaghon ki tarah shab bhar jalaa karte the ham donon mohabbat mein kaThin raste bahut aasaan lagte the pahaaDon par suhulat se chaDhaa karte the ham donon 'hasan' rusvaai kaa khadsha kabhi dil mein nahin aayaa khayaalon aur khvaabon mein milaa karte the ham donon"
Hasan AbbasiHasan Abbasi