Quote
"matla ghazal kaa ghair zaruri kyaa kyuun kab kaa hissa hai zindagi chokleT cake hai thoDaa thoDaa sab kaa hissa hai ab jo bar mein tanhaa piitaa huun coffē ke naam pe zahr us ki talkh si shirini mein us ke lab kaa hissa hai lok kahaaniyon mein maa-baad-e-jadid ki pesh-aamad jaise fiction ki re-cell value mein mazhab kaa hissa hai ke-pi-ke afghanistan hai aur balochistan iraan sindh hai chiin mein aur pyaaraa punjab arab kaa hissa hai sohni yaa sohne se pahle haq hai ghaDe par paani kaa kab se ghaDi mein jab aur tab se zyaada ab kaa hissa hai maanaa hijr ki raat hai ye par kitni khushi ki baat hai ye gham ki rim-rim-jhim ki hamdam bazm-e-tarab kaa hissa hai cab chalaane vaale daaji tab chalaane vaalaa saaji vo jo adab kaa hissa the to ye bhi adab kaa hissa hai tai huaa nazm hi mustaqbil hai paan-sau bil hai bhai pyaaro aankh na maaro ghazal hamaare hasab-nasab kaa hissa hai ik din jab buDhe painter ke paas sharaab ke paise nahin the chhat par ye ghanghor ghaTaa tab se is pub kaa hissa hai sex jo pahle saakhtiyaati roz-o-shab kaa hissa thi ab maabaad-e-saakhtiyaati roz-o-shab kaa hissa hai qaafiya bahr radif vaghaira jaise harif zarif vaghaira in ko ThanDaa soDa pilaao bhaai ye kab kaa qissa hai"







