SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIftikhar Mughal(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"savaad-e-hijr mein rakkhaa huaa diyaa huun main tujhe khabar nahin kis aag mein jalaa huun main main qarya qarya phiraa gard-baad ban ke jahaan usi zamin pe parcham-sifat uThaa huun main abhi chhuTi nahin jannat ki dhuul paanv se hanuz farsh-e-zamin par nayaa nayaa huun main hazaar shukr hai ki khud pe ustuvaar thaa main hazaar shukr ki buniyaad par giraa huun main miri shaguft ke mausam abhi nahin aae kahin kahin pe magar phir bhi khil gayaa huun main miri shikast bhi hai rekht 'iftikhaar-mughal' ki yunhi banne bigaDne mein hi banaa huun main"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal
Quote
"jamaal-gaah-e-taghazzul ki taab-o-tab tiri yaad pa tangnaae-ghazal mein samaae kab tiri yaad kisi khanDar se guzarti havaa kaa nam! tiraa gham!! shajar pe girti hui barf kaa tarab tiri yaad tu mujh se mere zamaanon kaa puchhti hai to sun! tiraa junun, tiraa saudaa, tiri talab, tiri yaad guzar-gahon ko ujaDne nahin diyaa tu ne kabhi yahaan se guzarti thi tuu, aur ab tiri yaad ye qaid-e-umr to kaTti nazar nahin aati! bas ik qarina! tiraa dhyaan, ek Dhab! tiri yaad ba-faiz-e-dard-e-mohabbat main khush nasab, main najib! miraa qabila tiraa gham, miraa nasab tiri yaad ba-juz hikaayat-e-tu iin vajud-e-chiz-e-nist main kul kaa kul tiraa qissa main sab kaa sab tiri yaad darin gumaan-kada kullo-man-alaihaa-faan bas ik chhalaavaa miraa ishq, ek chhab tiri yaad bahar sabil-e-hunar kaa safar to jaari hai kabhi kuchh aur bahaana, kabhu sabab tiri yaad"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal
Quote
"kabhi kabhi to ye haalat bhi ki mohabbat ne niDhaal kar diyaa mujh ko tiri mohabbat ne tiri ye pahli mohabbat hai tujh ko kyaa maalum ghulaa diyaa mujhe is aakhiri mohabbat ne vo yuun bhi khair se sarmaa kaa chaand thi lekin use ujaal diyaa aur bhi mohabbat ne mujhe khudaa ne adhuraa hi chhoDnaa thaa magar mujhe banaa diyaa ik shakhs ki mohabbat ne ye tum jo mere liye khvaab chhoD aai ho tumhein jagaayaa to hogaa miri mohabbat ne main jis ko pahle pahal dil-lagi samajhtaa thaa mujhe to maar diyaa is nai mohabbat ne ye apne apne nasibon ki baat hai varna kisi ko 'mir' banaayaa isi mohabbat ne ye jism-o-jaan ye naam-o-numud hasb-o-nasab ye saare vahm the izzat to di mohabbat ne mohabbat aur ibaadat mein farq to hai naan so chhin li hai tiri dosti mohabbat ne"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal
Quote
"koi vajud hai duniyaa mein koi parchhaain so har koi nahin hotaa kisi ki parchhaain mire vajud ko maano to saath chaltaa huun ki main to ban na sakungaa tumhaari parchhaain yahi charaagh hai sab kuchh ki dil kahein jis ko agar ye bujh gayaa to aadmi bhi parchhaain kai dinon se mire saath saath chalti hai koi udaas si ThanDi si koi parchhaain main apnaa-aap samajhtaa rahaa jise taa-umr vo mere jaisaa hayulaa thaa meri parchhaain na khush ho koi bhi tezi se baDhti qaamat par pas-e-ghurub na hogi bichaari parchhaain gumaan-e-hast hai hasti kaa aaina-khaana so apne-aap ko bhi jaan apni parchhaain main nisf sach ki tarah huun bhi aur nahin bhi huun ki aadhaa jism hai meraa to aadhi parchhaain phir us se us ke taghaaful kaa kyaa gila karnaa ki 'iftikhaar-mughal' vo to thi hi parchhaain"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal
Quote
"tumhein bhi chaahaa, zamaane se bhi vafaa ki thi ye nigh-daari junun ne judaa judaa ki thi vo saaraa qissa faqat rakh-rakhaav kaa to na thaa us ek naam se nisbat bhi intihaa ki thi kisi chhabile mein vo chhab nazar nahin aai vo ek chhab ki jo us aaina-qabaa ki thi khudaa! sila de duaa kaa, mohabbaton ke khudaa khudaa! kisi ne kisi ke liye duaa ki thi main apnaa chehra kahaan DhunDhtaa phirungaa ab ki main ne teri jabin apnaa aainaa ki thi hamein tabaah to honaa thaa apni apni jagah! tavil jang thi aur jang bhi anaa ki thi sabaa-nafas thaa vo aur main thaa gard-baad-mizaaj hamaare biich thi jo qadr so havaa ki thi"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal
Quote
"rukhsat-e-yaar kaa mazmun ba-mushkil baandhaa dil na bandhtaa thaa kisi taur baDaa dil baandhaa ham ne bhi baandh liyaa ziist kaa asbaab vahin jab sunaa yaar-e-safar-daar ne mahmil baandhaa ham ne us chehre ko baandhaa nahin mahtaab-misaal ham ne mahtaab ko us rukh ke mumaasil baandhaa aur kyaa baandhte saamaan mein ba-hangaam-e-safar sirf daaman mein khas-e-kucha-e-qaatil baandhaa ham jo har gaam se paimaan-e-vafaa baandhte the aakhirash ham ne bhi azm-e-sar-e-manzil baandhaa"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal
Quote
"rakh-rakhaav mein koi khvaar nahin hotaa yaar dost hote hain, har ik yaar nahin hotaa yaar do ghaDi baiTho mire paas, kaho kaisi ho do ghaDi baiThne se pyaar nahin hotaa yaar yaar! ye hijr kaa gham! is se to maut achchhi hai jaan se yuun hi koi bezaar nahin hotaa yaar ruuh sunti hai mohabbat mein badan bolte hain lafz pairaaya-e-izhaar nahin hotaa yaar naukri, shaairi, ghar-baar, zamaana, qadrein ik mohabbat hi kaa aazaar nahin hotaa yaar khush-dili aur hai aur ishq kaa aazaar kuchh aur pyaar ho jaae to iqraar nahin hotaa yaar laDkiyaan lafz ki tasvir chhupaa leti hain un kaa izhaar bhi izhaar nahin hotaa yaar aadmi ishq mein bhi khud se nahin ghaT saktaa aadmi saaya-e-divaar nahin hotaa yaar!! gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan jaan kar koi giraftaar nahin hotaa yaar yahi ham aap hain hasti ki kahaani, is mein koi afsaanvi kirdaar nahin hotaa yaar"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal
Quote
"kisi sabab se agar boltaa nahin huun main to yuun nahin ki tujhe sochtaa nahin huun main main tum ko khud se judaa kar ke kis tarah dekhun ki main bhi tum huun, koi dusraa nahin huun main to ye bhi tai! ki bichhaD kar bhi log jiite hain main ji rahaa huun agarche jiyaa nahin huun main kisi mein koi baDaa-pan mujhe dikhaai na de khudaa kaa shukr ki itnaa baDaa nahin huun main miri uThaan ki har iinT main ne rakkhi hai main khud banaa huun banaayaa huaa nahin huun main yahaan jo aaegaa vo khud ko haar jaaegaa qimaar-khaana-e-jaan mein nayaa nahin huun main mire vajud ke andar mujhe talaash na kar ki is makaan mein aksar rahaa nahin huun main main ek umr se khud ko talaashtaa huun magar mujhe yaqin nahin, huun bhi yaa nahin huun main main ik gumaan kaa imkaan huun 'iftikhaar'-mughal ki ho to saktaa huun lekin huaa nahin huun main"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal
Quote
"ik khalaa, ek laa-intihaa aur main kitne tanhaa hain meraa khudaa aur main kitne nazdik aur kis qadar ajnabi!! mujh mein mujh saa koi dusraa aur main log bhi so gae, rog bhi so gae jaagte hain miraa rat-jagaa aur main raat aur raat mein gunjti ek baat ek khauf, ik munDer, ik diyaa aur main shahr taaraaj hai, jabr kaa raaj hai phir bhi saabit hain meri anaa aur main tere mausam, tiri guftugu aur tu meri aankhon mein ik an-kahaa, aur main ab to is jang kaa faisla ho koi laD rahe hain azal se havaa aur main rang, khushbu, shafaq, chaandni, shaaeri likh rahaa thaa main, us ne kahaa ''aur main!'' us ki baat aur hai, varna ai 'iftikhaar' us ko maalum hai, iltijaa aur main"
Iftikhar MughalIftikhar Mughal