SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJafar Abbas(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"apne lail-o-nahaar ki baatein jabr ki ikhtiyaar ki baatein har taraf kab se ho rahi hain yahaan gardish-e-rozgaar ki baatein chaar-su yaan pe maujzan hain saraab ziist ke regzaar ki baatein ik zamaana guzar gayaa yunhi ham hain aur dasht-e-khaar ki baatein is kaDi dhuup mein mazaahib mein shajar-e-saaya-daar ki baatein hai zamin sakht aasmaan chup hai vaah re parvar-digaar ki baatein jis ki ik bhi jhalak na dekhi kabhi kyaa hon us parda-daar ki baatein mat karo be-hisaar ki baatein mat karo be-kanaar ki baatein ye jo pyaari zamin mili hai tumhein bas karo is dayaar ki baatein gar karo apne dil ki baat karo haan isi sogvaar ki baatein"
Jafar AbbasJafar Abbas
Quote
"ab firaaq-o-visaal baar hue 'umr guzri hai be-qaraar hue is ki be-e'tibaariyon ke tufail kitne hi gul yahaan pe khaar hue khvaab do ek hi bache zinda qatl baaqi to be-shumaar hue kyuun rahaa ghairiyat kaa saa ehsaas jab bhi ham us se kam kanaar hue mere us ke mu'aamle ab to saare 'aalam pe aashkaar hue kuchh nai ye malaamatein to nahin aise taa'ne to baar baar hue jurm kyaa hai pata nahin ab tak haan magar roz sangsaar hue kitne hi trahdaar ham jaise is kharaabe mein khaaksaar hue kis qadar mubtalaa the ham khud mein khud se nikle to be-kanaar hue 'mir'-o-'ghaalib' ki khaak-e-paa ke tufail ham bhi kis darja aab-daar hue"
Jafar AbbasJafar Abbas
Quote
"abhi to mahv-e-tajalli hain sab dukaanon par palaT ke dekhiye aate hain kab makaanon par khayaal-e-khaam mein guzri hai zindagi saari haqiqaton kaa gumaan hai abhi fasaanon par qadam qadam pe tazaadon se saabiqa hai jahaan yaqin kaise kare koi in gumaanon par vo jis ki chaah mein mar mar ke ji rahe hain yahaan na jaane kaun si basti hai aasmaanon par jahaan bhi tiir lagaa bas vahi hadaf Thahraa hai phir bhi zoam bahut un ko in kamaanon par main un ki baat ko kis taur mo'atabar jaanun madaar-e-zist hi jin kaa hai kuchh bahaanon par kaDi hai dhuup jhulasti hain ab dalilein sabhi yaqin hai phir bhi unhein kitnaa saaebaanon par nazar mein zehn mein dil mein kushaadgi laao havaa ke rukh kaa taqaazaa hai baadbaanon par na jaane kitni hi sadiyaan lageingi aur abhi dilon ki baat jab aa paaegi zabaanon par ajiib un ko saliqa hai khul ke jiine kaa nai hai kaun si tohmat ye ham divaanon par hamaari zaat se aabaad kuchh kharaabe hain hai apne dam se ujaalaa kai maqaamon par khirad-navaaz junun aur junun-navaaz khirad hain ab bhi nuur tariqe ye kuchh Thikaanon par use jagaao Dase tum ko maar Daale tumhein tumhaari zaat mein baiThaa hai jo khazaanon par"
Jafar AbbasJafar Abbas
Quote
"ham hi ne siikh liyaa rahguzar ko ghar karnaa vagarna us ki to aadat hai dar-ba-dar karnaa na apni raah thi koi na koi manzil thi tabhi to chaahaa thaa tujh ko hi ham-safar karnaa thiin garche gird mire khaamushi ki divaarein tumhaare vaaste mushkil nahin thaa dar karnaa tumhaari tark-o-talab jism-o-ruh ki uljhan hamein bhi aa na sakaa khud ko mo'atabar karnaa tiri nigaah-e-taghaaful-shiaar ke sadqe hamein bhi aa hi gayaa hai guzar-basar karnaa jo ab ke dard uThaa dil mein aakhiri hogaa jo ho sake to use meraa chaaragar karnaa main chuur chuur huun dekho bikhar na jaaun kahin miri duaaon ko itnaa na be-asar karnaa bahaar aai hai is baar kuchh likhein ham bhi sikhaao ham ko bhi is dard ko shajar karnaa"
Jafar AbbasJafar Abbas
Quote
"vaah kyaa daur hai kyaa log hain kyaa hotaa hai ye bhi mat kah ki jo kahiye to gilaa hotaa hai kyaa bataaein tumhein ab kyaa nahin hotaa hai yahaan bas ye jaano ki jo hotaa hai buraa hotaa hai de ke dukh auron ko vo kaun saa sukh paaegaa aisi baaton se bhalaa kis kaa bhalaa hotaa hai ab vo din duur nahin dekhnaa tum bhi yaaro amn ke naam pe kyaa fitna bapaa hotaa hai phir saf-aaraa huiin faujein lab-e-dariyaa-e-furaat ham ko maalum hai is jang mein kyaa hotaa hai aaj phir dil mein uThaa hai vahi derina savaal aise mazlumon kaa kyaa koi khudaa hotaa hai ik zaraa haal to dekho miraa ai dost mire tum hi socho koi aise mein khafaa hotaa hai yuun to har raat hi rahti hai ajab bechaini aaj kuchh dard mire dil mein sivaa hotaa hai"
Jafar AbbasJafar Abbas
Quote
"ajiib baat thi har sher pur-asar Thahraa main is ki bazm mein kal raat baa-hunar Thahraa huaa jo aa ke vo mehmaan baad muddat ke lahun mein raqs huaa baam par qamar Thahraa mumaanaat kaa taqaazaa thaa jis se duur rahein chaman mein vo hi shajar sab se baa-samar Thahraa junun ki bhiik kahin bhi na mil saki us ko gadaa-e-hosh yahaan garche dar-ba-dar Thahraa ajiib raqs thaa bismil kaa har tamaashaai taDap ke dard se yaksar hi be-khabar Thahraa aqidaton ke dhundlakon mein aur kyaa hotaa har ek fiqra yahaan us kaa mo'atabar Thahraa mujhe na qatl karein bas payaam laayaa huun miri haqiqat hi kyaa main to naama-bar Thahraa safina garche kinaare pe jaa lagaa lekin savaal ye hai idhar Thahraa yaa udhar Thahraa na jaane kitni hi samtein bulaa rahi hain mujhe har ik qadam pe hai mujh ko nayaa safar Thahraa na dekh paayaa koi aankh-bhar ke aaina khud apnaa chehra yahaan baais-e-mafar Thahraa Thahar ke jis ne bhi kuchh der khud ko dekh liyaa vo apni vahshat-e-be-jaa kaa chaaragar Thahraa hai jaane kitne hi pardon mein mahv-e-aaraaish jhalak bhi dekh li jis ne vo dida-var Thahraa har ek shai se mohabbat hai bas ilaaj yahaan bas ek nuskha yahi hai jo kaargar Thahraa shurua huaa thaa abhi aur qarib khatm hai ab ye zindagi kaa safar kitnaa mukhtasar Thahraa"
Jafar AbbasJafar Abbas
Quote
"ik ik kar ke ho gae rukhsat ab koi armaan nahin dil mein gahraa sannaaTaa hai ab koi mehmaan nahin tum ne bhi sun rakkhaa hogaa ham bhi sunte aae hain jis ke dil mein dard na ho vo patthar hai insaan nahin dard kaDaa ho to bhi aksar patthar ban jaate hain log marne ki ummid nahin hai jiine kaa saamaan nahin kuchh mat bolo chup ho jaao baaton mein kyaa rakkhaa hai kyuun karte ho aisi baatein jin baaton mein jaan nahin auron jaisi baatein mujh ko bhi karni paDti hain roz ye to meri majburi hai ye meri pahchaan nahin meri baatein sidhi sachchi un mein koi pech nahin in ko 'mir' ki ghazlein jaano 'ghaalib' kaa divaan nahin dil ko bahlaane ki khaatir ham bhi kyaa kyaa karte hain khuub samajhtaa hai vo bhi sab aisaa bhi naadaan nahin raat gae aksar yuun hi kyuun phuuT phuuT kar rote ho khaak tale sone vaalon se milne kaa imkaan nahin vo thaa mere dukh kaa saathi aur tumhein kyaa batlaaein us kaa meraa jo rishta thaa us rishte kaa naam nahin vo hotaa to phir bhi shaayad dard pe kuchh qaabu rahtaa tanhaai se tanhaa laDnaa kuchh aisaa aasaan nahin"
Jafar AbbasJafar Abbas
Quote
"ham ne to sochaa bhi nahin thaa aisaa din bhi aaegaa apnon kaa yuun rukh badlegaa sab se ji bhar jaaegaa dil mein jo hai sab kah Daalo vaqt bahut kam baaqi hai kaun yahaan hai dost tumhaaraa jo dushman ho jaaegaa kaise kaise pyaare saathi kaisi kaisi baatein thiin kis ko kyaa maalum thaa yaaro kaun kahaan chhuT jaaegaa pyaar ke badle nafrat paai nafrat bhi itni gahri aisaa kyuun hai kyuun hai aisaa koi samajh na paaegaa mat puchho ham ko apnon ne kaise kaise zakhm diye gar ye qissa chheD diyaa to sab kaa ji bhar aaegaa aankhon mein ab ashk nahin hain siine mein ab aah nahin us ki baat karo mat mujh se dard bahut baDh jaaegaa apnaa bhi ik yaar thaa aisaa jis se kuchh kah lete the ab jo dil kaa bojh baDhegaa kis ke dar par jaaegaa pyaar mohabbat laag lagaao ke baare mein mat socho rahaa-sahaa jo bharam bachaa hai yuun vo bhi uTh jaaegaa ghar se be-ghar ho kar ham to maare maare phirte hain ye banjaaraa dil dekho ab ham ko kidhar le jaaegaa ham ne to apni kah Daali tum bhi to kuchh apni kaho dil ki baat karo kuchh yaaro dil halkaa ho jaaegaa"
Jafar AbbasJafar Abbas