Quote
"junun shauq yaqin zaabte se aai hai uDaan mujh mein mire hausle se aai hai mujhe bhi to kabhi bainassutur mein rakhtaa phir aaj ek sadaa haashiye se aai hai bhulaanaa jab kabhi chaahaa hai main ne maazi ko nikal ke yaad tiri haafize se aai hai jise khayaal kaa markaz kabhi banaayaa thaa sunahri dhuup usi daaere se aai hai yaqin kar lo to aaeinge sab nazar apne tumhaare dil mein kaji vaahime se aai hai kiyaa hai main ne khud apnaa muhaasba aksar tamiz mujh mein isi tajrabe se aai hai jo main ne soch kaa badlaa hai zaaviya 'naayaab' har ek chiiz nazar qaaede se aai hai"







