SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJamal Owaisi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"masjud meraa raah-numaa kyuun nahin huaa teraa khudaa bhi meraa khudaa kyuun nahin huaa mujh ko zamir Toktaa rahtaa hai har ghaDi logon kaa dil bhi shisha-numaa kyuun nahin huaa main be-dimaagh dost banaataa rahaa sadaa mujh par asar khushunaton kaa kyuun nahin huaa zaahir-parast log mire aas-paas hain main bhi unhin ke jaisaa bhalaa kyuun nahin huaa marte hain sab talaash-e-hayaat-e-davaam mein teraa sahifa aab-e-baqaa kyuun nahin huaa basti ke saare log jise pujte rahe mere liye vo fard khudaa kyuun nahin huaa phirtaa rahaa gali gali teri talaash mein maalum tere ghar kaa pataa kyuun nahin huaa"
Jamal OwaisiJamal Owaisi
Quote
"har lamha dil-doz khamoshi chikh rahi hai main huun jahaan tanhaai meri chikh rahi hai ghar ke sab darvaaze kyuun divaar hue hain ghar se baahar duniyaa saari chikh rahi hai khaali aankhein sulag rahi hain khushk hain aansu andar andar dil ki udaasi chikh rahi hai tufaanon ne saare kheme toD diye hain yuun lagtaa hai saari khudaai chikh rahi hai raat ki chikhon se aabaad huaa har khitta kab se naved-e-subh bechaari chikh rahi hai kaarobaar na karnaa logo dekho dil hai ik muddat se ruuh hamaari chikh rahi hai"
Jamal OwaisiJamal Owaisi
Quote
"jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke baa'd 'aib saare khul gae marhum kahlaane ke baa'd chaand kaa haala miri aankhon kaa jaalaa ban gayaa kuchh nazar aayaa na phir tere nazar aane ke baa'd aadmiyyat ke sabhi paimaane ho jaate hain paash bhuuk aisi jaagti hai peT bhar jaane ke baa'd us ne ik ik lafz kaa paisa kiyaa mujh se vasul kal ki shab milaad mein taqrir farmaane ke baa'd main ne taa-hadd-e-nazar dekhaa koi monis na thaa dopahar ke vaqt barqi-mauj lahraane ke baa'd"
Jamal OwaisiJamal Owaisi
Quote
"patthar se mukaalima hai jaari donon hi taraf hai hoshiyaari vahshat se main bhaagtaa rahaa huun phir mujh pe junun huaa hai taari darvesh ko rakh ke khaak-e-paa mein kartaa hai zamaana shahryaari patthar se mujhe na choT pahunchi ik gul ne diyaa hai zakhm kaari shahri vatan-e-aziz kaa huun lekin hai shiaar ashk-baari mazhab hai miraa tariq-e-hindi derina buton se apni yaari paayaa hai farogh-e-secularism talvaar hui hai ab do dhaari guzre hue din kaa istiaara ye maulvi aur ye bhikaari"
Jamal OwaisiJamal Owaisi
Quote
"gurez-paa hai nayaa raasta kidhar jaaein chalo ki lauT ke ham apne apne ghar jaaein na mauj-e-tund hai kuchh aisi jis se khelein ham chaDhe hue hain jo dariyaa kaho utar jaaein ajab qarine ke majnun hain ham ki rahte hain chup na khaak-e-dasht uDaaein na apne ghar jaaein jabin hai khaak se aisi lagi ki uThti nahin junun-e-sajda agar ho chukaa to mar jaaein zamaana tujh se ye kahnaa hai mar chuke ham log ab apni laash tire baazuon mein dhar jaaein hamin bache hain yahaan aakhiruz-zamaan lekin sabhon ko apnaa taaaruf dein dar-ba-dar jaaein"
Jamal OwaisiJamal Owaisi
Quote
"jo meri aah se niklaa dhuaan hai meri miTTi kaa mire andar nihaan aatish-fishaan hai meri miTTi kaa diye hain taaq par raushan magar zau mere andar hai jo kuchh kuchh tirgi hai vo samaan hai meri miTTi kaa mire jalvon ki paamaali na dekhi jaaegi mujh se hunar kuchh is tarah se raaegaan hai meri miTTi kaa zarur us ki shabaahat meri sochon se alag hogi tasavvur mein jo dekhaa hai gumaan hai meri miTTi kaa samundar aur dariyaa hain puraane aashnaa mere barastaa hai jo paani mehrbaan hai meri miTTi kaa mire ashaar mein aafaaq-o-anfus ki kahaani hai miraa har lafz-e-shirin tarjumaan hai meri miTTi kaa 'ovaisi' qalb-o-jaan karte rahe sher-o-adab ko ham agarche ye bhi jins-e-raaegaan hai meri miTTi kaa"
Jamal OwaisiJamal Owaisi
Quote
"dauDtaa rahtaa huun naa-maalum samton ki taraf dekhtaa hargiz nahin pairon ke chhaalon ki taraf bastiyon ke log sach sun kar bahut barham hue ab miraa uglaa nishaana khaanqaahon ki taraf ab mire daaman se uljhi hain kaTili jhaaDiyaan kyuun nikal aayaa thaa ghar se khaar-zaaron ki taraf sakht tanhaai ki vahshat se mujhe marnaa nahin ghar se ghabraa kar nikal paDtaa huun raahon ki taraf dekhnaa khurshid-e-aalam-taab kaa aalam ki phir DhunDne niklaa hai khud ko maah-paaron ki taraf"
Jamal OwaisiJamal Owaisi
Quote
"dekhtaa huun tujh ko aksar ai samundar ai samundar jaise ho tu mere andar ai samundar ai samundar tere tufaanon ne ki yalghaar chaTTaanon pe shab bhar shor thaa baam-e-falak par ai samundar ai samundar DhunDhti hai aankh sath-e-aab par chehra kisi kaa tu banaa de us kaa paikar ai samundar ai samundar be-karaani mein tu apni meri viraani samo le main huaa huun phir se be-ghar ai samundar ai samundar tirgi ki phailti chaadar hai ham donon hi chup kyon guunj uTh manzar-ba-manzar ai samundar ai samundar dekhne aayaa hai tujh mein duur se chal kar 'ovaisi' Dubte suraj kaa manzar ai samundar ai samundar"
Jamal OwaisiJamal Owaisi
Quote
"ghubaar kis kaa hai istiaara ye gard kis vaaste uDi hai yahaan vahaan ek ek zarre mein sar-kashi kis ne Daal di hai bikhar gai hai puraani tartib saare unsur alag hue hain har ek apne mein ik mukammal vajudiyat kaa alaamati hai jahaan pe zarraat ki sulag thi vahaan pe idraak tham gayaa thaa basirat apni bhi us ke aage hazaar chaahaa na jaa saki hai nafas pe ghaalib hai nafs takiya haraam se sochnaa samajhnaa zamir jaage to aah bhar lo ki ab qayaamat hi aa rahi hai mujhe pukaaro mujhe sadaa do main ek khoyaa huaa bashar huun shuur mein laa-shuur ki tarah ek aavaaz gunjti hai khaDaa huun main das hazaar saala qadim duniyaa ke biich 'ovaisi' ulaT ke taarikh ke varaq zindagi mujhe kuchh sunaa rahi hai tilism kaisaa hai us ne mere havaas qaabu mein kar liye hain main us ko pahchaantaa nahin huun jo meri chaukhaT pe aa chuki hai"
Jamal OwaisiJamal Owaisi