SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJaved Jamil(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hayaat dauDti hai umr bhar qazaa ki taraf jazaa-e-khair ki jaanib ki phir sazaa ki taraf maqaam-e-fikr hai ye samt-e-fikr Thiik nahin safar hai tez magar hai kahaan khudaa ki taraf rahe miyaana-ravi hai yahi tariqa-e-adl jhukein na sifr ki jaanib na intihaa ki taraf na jaane kaisaa hai ye irtiqaa zamaane kaa ki lauT lauT ke jaataa hai ibtidaa ki taraf ye kaisi jaa hai jahaan hai havaa bhi masnui nikal ke bhaag chalo qudrati fazaa ki taraf maraz shifaa ki taDap mein qadam uThaataa hai kabhi davaa ki taraf aur kabhi duaa ki taraf pukaarnaa hai tiraa kaam kaam kar 'jaaved' palaT ke aaegi duniyaa tiri sadaa ki taraf"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"yaqin shart hai aur laazmi hain tadbirein har ek lamha badalti raheingi taqdirein sabhi charaagh bujhaa do huaa hai dil raushan dikhaai dene lagi hain tamaam tahrirein zaraa saa vaqt lagegaa qadam uThaane mein abhi abhi to kaTi hain saqil zanjirein vo khvaab kuchh bhi nahin hain faqat tamaashaa hain vo khvaab jin ki nahin jaantaa main taabirein mire qalam kaa safar le gayaa sitaaron tak mire buzurg ki ab bhi vahi hain tahrirein hamaari jang mein 'jaaved' khuun nahin bahtaa hamaare paas hain fikr-o-nazar ki shamshirein"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"chupke se qarib aanaa phir duur nikal jaanaa har pal kaa muqaddar hai maazi mein badal jaanaa kar kar ke tiri baatein paDh paDh ke tiraa chehra har sinf-e-sukhan sikhi har rang-e-ghazal jaanaa ik farz hai hasti par har pal ki paziraai taarikh kaa sheva hai sadiyon ko nigal jaanaa paDti hain pahaaDon par suraj ki shuaaein jab mushkil kahaan rahtaa hai phir barf pighal jaanaa kirdaar adaa karnaa har shakhs ko paDtaa hai aasaan nahin qaumon ki taqdir badal jaanaa 'jaaved' zaruri hai duniyaa mein andheraa bhi hai maslahat-e-yazdaan ye shaam kaa Dhal jaanaa"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"hain mire vajud mein maujzan miri ulfaton ki nishaaniyaan na huiin nasib jo qurbatein unhin qurbaton ki nishaaniyaan thaki haari shakl niDhaal si kisi imtihaan ke savaal si mire jism-o-jaan pe sabt hain tiri furqaton ki nishaaniyaan kabhi aankhein ghaiz se tar-ba-tar kabhi laan-taan zabaan par mujhe meri jaan se aziiz hain tiri nafraton ki nishaaniyaan ho vo bu-e-gul ki ho raagni ho vo aabshaar ki chaandni hain qadam qadam pe saji huiin tiri nuzhaton ki nishaaniyaan kai baar roz kai jagah miri ruuh paDhti hai faatiha mire puure jism mein dafn hain miri hasraton ki nishaaniyaan kahin naachti huiin mastiyaan kahin bhuuk se hain laDaaiyaan kahin daulaton ke muzaahire kahin ghurbaton ki nishaaniyaan vo zamin ho ki ho aasmaan vo pahaaD hon ki hon vaadiyaan hain chahaar samt mire khudaa tiri rahmaton ki nishaaniyaan"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"vo chaandni mein kuchh aisaa thaa tar-ba-tar tanhaa main dekhtaa rahaa manzar ye raat bhar tanhaa hui hai jaise abhi tak guzar-basar tanhaa guzaar Daaleinge baaqi kaa bhi safar tanhaa pukaartaa huun tiraa naam jaise sahraa mein hamesha aati hai aavaaz lauT kar tanhaa uqaab uDtaa hai jis tarah aasmaanon mein bulandiyon mein kiyaa kartaa huun safar tanhaa hamesha rahtaa hai hamraah qaafila us ke musibat aati nahin hai kisi ke ghar tanhaa vo muntazir hai koi us ke saae mein aae khaDaa hai duur rah-e-haq pe ik shajar tanhaa sharik qaafila hotaa to jashn ho jaataa mile the khizr safar thaa miraa magar tanhaa chali gai hai tire saath zindagi 'jaaved' main ho gayaa huun tire baad kis qadar tanhaa"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"har chehra na jaane kyuun ghabraayaa huaa saa hai bechain saa lagtaa hai taDpaayaa huaa saa hai kyaa dhoka nayaa koi khaayaa hai mohabbat mein har uzv-e-badan us kaa tharraayaa huaa saa hai aankhon mein chamak si hai rukhsaar mein surkhi si aaghosh mein ulfat ki sharmaayaa huaa saa hai khilne ki tamannaa thi zulfon ke gulistaan mein dil TuuT gayaa gul kaa murjhaayaa huaa saa hai khulne mein qabaahat hai gesu-e-mohabbat ko chehra shab-e-hasrat kaa pathraayaa huaa saa hai alfaaz ki aankhon se barsaat hai ashkon ki lahja gham-e-jaanaan se bharraayaa huaa saa hai nafrat ki shu'aa'on ki yalghaar hai har jaan par jis qalb mein bhi jhaanko kumhlaayaa huaa saa hai ilhaad kaa hamla hai 'jaaved' har ik jaanib 'aalam kaa ye 'aalam hai paglaayaa huaa saa hai"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"badnaam kaa jahaan mein sahaaraa nahin koi patthar har ek haath mein iisaa nahin koi kuchh der meri khaaT pe baiTho mire aziiz is khaaT mein chhupaa huaa kaanTaa nahin koi kamzoriyon kaa meri jahaan bhar mein shor hai meri khususiyaat kaa charchaa nahin koi khairaat chaar TukDon ki nikle the baanTne aisaa lagaa zamin pe bhukaa nahin koi ham bhi maaashre ko chale the sanvaarne dushman hazaar ho gae sudhraa nahin koi gamlon mein qaid ho gayaa 'jaaved' phuul kyon ghar ki hadon ke paar to mahkaa nahin koi"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"zakhm par zakhm muhibbaan-e-sitam dete gae tah-ba-tah jam gae gham phir bhi vo gham dete gae ham unhein kashf ki surat nazar aae har vaqt vo magar ham ko faqat khvaab-e-adam dete gae gul the maqsud hamaaraa thaa samar ho jaanaa toD kar shaakh se kyon ranj-o-alam dete gae ahl-e-baatil ki ye saazish thi ki mafluj ho fikr naam le le ke haqiqat kaa bharam dete gae ahl-e-quvvat ke ishaaron pe qalam chaltaa gayaa vo 'evaz mein use ik khaas raqam dete gae lagtaa hai ruk si gai valiyon ki afzaaish-e-nasl aur shaitaanon ko shaitaan janam dete gae Thahre mahbub unhein Thagne kaa haq thaa 'jaaved' hukm dete rahe jis chiiz kaa ham dete gae"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"vahi din hai khauf-o-hiraas kaa vahi haal abhi bhi hai pyaas kaa vahi shaam bistar-e-marg si vahi silsila shab-e-yaas kaa vahi aasmaan hai vahi fazaa vahi nashsha shaam pe hai bapaa vahi duur shahr se hai jagah vahi sabz farsh hai ghaas kaa na rahe bashir-o-nazir ham na rahe fahim-o-basir ham na dikhaai detaa hai duur kaa na nazar hi aataa hai paas kaa tujhe chaahiye jo koi khabar miri kaavishon mein talaash kar miraa e'tibaar hai aql par main asiir kab huun qayaas kaa jo ghinaa ke suut se ho banaa jo razaa ki suui se ho silaa jo rangaa ho shukr ke rang se mujhe shauq aise libaas kaa"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"jaisi hai badan mein gul-rukh ke vaisi hi nazaakat baaton mein honTon mein hai jitni shirini utni hi halaavat baaton mein kyaa khuub tavaazun chalne mein kyaa khuub lataafat hansne mein kyaa khuub adaaon mein shokhi kyaa khuub sharaarat baaton mein aankhon mein hai nashsha saa chhaayaa rukhsaar hue surkhi maail honTon pe larazte hain armaan pur-kaif haraarat baaton mein zinat kaa tariqa kyaa kahne fashion kaa saliqa kyaa kahne aadaab ki rangat kaamon mein ashaar ki nikhat baaton mein betaab hain jis ko sunne ko vo baat na laaeinge lab par mashur vo rakkheinge phir bhi aisi hai nafaasat baaton mein parvaaz mein hasti ki ham ko kitni hi bulandi ho haasil aae na mizaajon mein shekhi aae na raunat baaton mein hal saare masaail ho jaaein aapas ki kudurat miT jaae ho jhuuT se sab ko be-zaari ho rang-e-sadaaqat baaton mein is daur ke shaaer mein logo tahzib o shuur o soz kahaan meaar vahi hai sheron kaa jaisi hai jihaalat baaton mein 'jaaved' ajab ahbaab tire karte hain ye zaaea vaqt tiraa hain ilm se koson duur magar phir bhi hai tavaalat baaton mein"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"kaisaa saamaan kaisi manzil kaisi rah kaisaa safar ham-safar hi jab nahin hai kaise phir hogaa safar nafs-e-ammaara se nafs-e-mutmainna tak ki rah aatishin mausam zamin pur-khaar aur tanhaa safar hasrat-e-didaar aisi faisla-kun thi miri lamhe bhar mein ho gayaa ik umr saa lambaa safar pahle manzil saamne thi ab nazar se duur hai jaane kaise kyaa huaa kis moD par bhaTkaa safar in chaTaanon mein kahaan ye hausla rokein mujhe kartaa huun 'jaaved' main bhi surat-e-dariyaa safar"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"hosh us kaa hai be-khudi us ki zindagi ki har ik ghaDi us ki duur tak malgajaa saa sannaaTaa aur aahaT kabhi kabhi us ki ishq meraa hai sufiyon jaisaa sirf matlub hai khushi us ki dil ko honTon se duur rakhtaa hai maar Daalegi khaamushi us ki tirgi chhaa rahi hai har jaanib bevafaai hai shaam si us ki dekh kar khush-gumaan huaa hai dil garm-joshi kamaal ki us ki ham-safar jis kaa khub-sirat ho khub-surat hai zindagi us ki khvaab mein dil-navaaziyaan 'jaaved' aur haqiqat hai be-rukhi us ki"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"ba-sad khulus ba-tarz-e-nisaab paDh Daalein kitaab-e-ishq kaa har ek baab paDh Daalein andheraa aane pe ye ilm raushni degaa charaagh bujhne se pahle kitaab paDh Daalein pas-e-hijaab rukh-e-maahnaaz paDh na sake ho aaj izn agar be-hijaab paDh Daalein ajab nahin ki nayaa azm dil mein paidaa ho hamaari kyaa thi kabhi aab-o-taab paDh Daalein zamin pe bhi isi mizaan ko karein qaaem falak pe darj khudaa kaa khitaab paDh Daalein qayaas kijiye kyaa kyaa savaal aaeinge savaal aane se pahle javaab paDh Daalein shurua god se ho gor tak rahe jaari hisaab rakhiyegaa kyaa be-hisaab paDh Daalein mutaalea ho maqaale kaa hai ye haq 'jaaved' mile na vaqt to lubb-e-lubaab paDh Daalein"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"miri chaah mein mire ishq mein tu kabhi kisi se laDaa nahin isi bhuul kaa ye azaab hai tu miraa nahin main tiraa nahin thaa gulaab main thi ye aarzu tire gesuon mein khilun kabhi nahin khil sakaa to ye jaan le ye tiri hai meri khataa nahin tiri yaad mujh se bahut laDi mire ang ang mein zakhm hai main taDaptaa rahtaa huun dard se tujhe fikr meri zaraa nahin miraa dil to tere hi paas hai tu ise khangaal ke dekh le vahaan tu hi tu hai har ik taraf vahaan kuchh bhi tere sivaa nahin tire ishq se mujhe kyaa milaa miri zindagi hui maut si mujhe ab talaash sukun ki hai mujhe ab junun-e-hinaa nahin mujhe aisi zaat se ishq hai jo ho mehrbaan to maut kab hai fanaaiyat mein nihaan baqaa hai baqaa agar to fanaa nahin"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"sab the manzur-e-nazar ek main rusvaa thaa faqat the tamaashaai sabhi main hi tamaashaa thaa faqat saamne hadd-e-nazar tak mire sahraa thaa faqat aur ye nazzaara hi jiine kaa sahaaraa thaa faqat us ki daulat ki tamannaa miri dushman nikli mere qabze mein mohabbat kaa khazaana thaa faqat aisaa mahsus huaa jaise ki tu aayaa thaa dar-haqiqat tire saae kaa bhi saayaa thaa faqat main ye samjhaa thaa hain aflaak miri muTThi mein qabr boli ki tu ik khaak kaa putlaa thaa faqat rutba saaqi kaa thaa tere hi to dam se 'jaaved' ek tu hi to bhari bazm mein pyaasaa thaa faqat"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"kyaa nigaahon ne koi khvaab sajaayaa na kabhi kyaa kisi ko bhi qarib apne bulaayaa na kabhi aate rahne ke liye shukriya ai yaad ki dost main hi mujrim huun tiri yaad mein aayaa na kabhi us ki album mein to tasvir miri hai maujud us ne tasvir ko siine se lagaayaa na kabhi main tujhe kaise bataa detaa dil-e-naaz kaa haal haal-e-dil main ne to khud ko bhi bataayaa na kabhi dil churaa kar miraa kahtaa hai mujhe chor ye ab khud hi chori huaa us ne to churaayaa na kabhi qahqahe auron ki khushiyon mein rahe hain shaamil mere haalaat ne khud mujh ko hansaayaa na kabhi main ne auron se sunaa hai ki nasim aati hai kyuun mujhe vaqt-e-sahar us ne jagaayaa na kabhi teri 'jaaved' ye aadat hai khudaa ko bhi pasand tu ne nazron se kisi ko bhi giraayaa na kabhi"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"kartaa hai bekaar ki baatein kaam ki koi baat nahin ghairon jaisi baat hai teri apnon jaisi baat nahin jaam sabhi ke haathon mein hai haath hamaare khaali hain khullam-khullaa naa-insaafi saaqi achchhi baat nahin mahfil mein jis ko bhi dekho ruThaa ruThaa lagtaa hai kaDvaahaT hai aavaazon mein koi miThi baat nahin kalima teraa sapnaa teraa fikr tiri aur teraa khayaal sirf tiri hi baat zabaan par aur kisi ki baat nahin kahne ko to kah di tu ne apne dil ki saari baat sachchaai hai lekin ye ki ye bhi saari baat nahin kaise milein ham tum se yaaro kaise bulaaein ghar apne gham hi gham hain paas hamaare koi khushi ki baat nahin naa-insaafi har jaanib hai har su zulmat hi zulmat dekh ke ye sab kyuun sab chup hain kahte haq ki baat nahin pahle kyaa kyaa kuchh kah Daalaa phir ye kah kar saaf gae kar Daali hai bhuul zabaan ne sochi-samjhi baat nahin tere liye hi jiitaa huun aur tere liye hi martaa huun munh dekhi 'jaaved' hain baatein dil se nikli baat nahin"
Javed JamilJaved Jamil
Quote
"daaim ho us ke husn ki nuzhat khudaa kare aur mujh mein ye junun ki lazzat khudaa kare sanjidgi kaa rang ho thoDaa saa pyaar mein baaqi magar ho rang-e-sharaarat khudaa kare muddat se koi tiir na khanjar na sang-o-khisht dushman ho meraa zinda salaamat khudaa kare ghamgin huun latife hain phir bhi zabaan par qaaem rahe ye zauq-e-zaraafat khudaa kare poshida hain gunaahon mein barbaadiyon ke raaz naazil ho dil pe harf-e-nadaamat khudaa kare majmea ki kaifiyaat kaa manzar ajiib thaa baDhtaa rahe ye zor-e-khitaabat khudaa kare kahte hain apni auron ki sunte nahin hain log ho jaae kaash shauq-e-samaaat khudaa kare kahte hain ahl-e-din ki taqvaa hi diin hai vo jaan jaaein kaash iqaamat khudaa kare meri duaa yahi hai sharik-e-safar ke saath aa jaae ham ko husn-e-nizaamat khudaa kare takhliq hai bulandi-e-afkaar ki ataa aae tire kalaam mein rifat khudaa kare har shakhs kaash siikh le aadaab pyaar ke dil mein na ho kisi ke kudurat khudaa kare 'jaaved' chhin saktaa hai kyaa koi us kaa rizq jis shakhs ki hamesha kifaalat khudaa kare"
Javed JamilJaved Jamil