Quote
"ik gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin ham ye zoam hai goyaa ki hain vaali-e-zamin ham jaari hai dilon kaa to vahi rabt-e-nihaani har-chand kahin aur hain vo aur kahin ham kyaa hai ye makaan kyaa ye dayaar aur ye jahaan kyaa ye auj hai apnaa ki jahaan vo hain vahin ham ye moajaza-e-ishq hai ik zinda haqiqat aate hain nazar aaj jahaan bhar mein hamin ham vaan apni rasaai na sahi dar to hai us kaa hote nahin aghyaar se yuun chin-ba-jabin ham har ik mein nazar aati hain kuchh us ki adaaein ulfat na kisi aur se kar baiThe kahin ham jo chaahe kahe iizaa de yaa kuchh kare tazlil dar chhoD ke us kaa nahin jaa sakte kahin ham parvaana-e-jannat hamein dilvaate hain kyuun aap kah to diyaa sau baar ki jaaeinge nahin ham nazzaara-e-aalam hai bas ik khvaab-e-pareshaan bedaar hue gar nazar aaeinge hamin ham duniyaa mein hai nairangi-e-taqdir tamaashaa the aabla-paa kal to hain ab takht-nashin ham uff ik dil-e-'rahbar' pe hasinon ki ye takraar lalchaaein hamin ham ise paa jaaein hamin ham"







