Quote
"musalsal ro rahaa huun phir bhi kyon rone se Dartaa huun jise paayaa nahin ab tak use khone se Dartaa huun bahut zarkhez hai dil ki zamin maalum hai lekin vafaa ke biij is miTTi mein phir bone se Dartaa huun sunahraa khvaab ban kar ik azaab aankhon pe utraa thaa zamaana ho gayaa par aaj bhi sone se Dartaa huun main jis kashti mein baiThaa us ko saahil ne Duboyaa hai kisi shaane pe apnaa bojh ab Dhone se Dartaa huun mujhe jis ne bhi apnaayaa vo mujh se kho gayaa 'kaashif' tire nazdik rah kar bhi tiraa hone se Dartaa huun"







