SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKHanjar Ajmerii(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kuchh ek main hi nahin teraa jaan-e-jaan mushtaaq hai teri diid kaa muddat se ik jahaan mushtaaq sagaan-e-kucha-e-dilbar kaa ai humaa kab se hai jism mein mire har ek ustukhvaan mushtaaq tum ishtiyaaq mein us ko paDaa hi rahne do tumhaaraa chhoD ke dar jaave ye kahaan mushtaaq khudaa ke vaaste rukh se naqaab ko ulTo ki kar rahe hain bahut der se fughaan mushtaaq haram mein dair mein dasht-o-chaman mein milte nahin karein talaash bataao tumhein kahaan mushtaaq kunein jhukaao na un ko zaraa dikhaao jamaal tumhaaraa ghairat-e-yusuf hai kaarvaan mushtaaq dikhaaoge tum agar kaakul-e-musalsal ko hamaare paanv ki hoveingi beDiyaan mushtaaq ravish pe baagh mein tan ke to chal zaraa lab-e-ju hui hain sarv-e-ravaan teri qumriyaan mushtaaq ishaaron se hai tire abru-o-mizha ke ayaan shikaar ke liye hain tiir aur kamaan mushtaaq dil-e-visaal mein ho kyon na intizaar-e-firaaq bahaar ki bhi sadaa rahti hai khizaan mushtaaq hamaaraa sar tire 'khanjar' ke vaar kaa qaatil hai aarzu-e-shahaadat mein har-zamaan mushtaaq"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"khun-e-dil hai sharaab ke maanind aur jigar hai kabaab ke maanind saaqi ye bhi hai teraa faiz-e-aam piite hain mai jo aab ke maanind mai-e-gulgun ko saaqi-e-gulfaam piite hain ham gulaab ke maanind barg-e-gul lab dahan gul-e-sausan gaal hain bas gulaab ke maanind hijr-e-saaqi mein khun-e-dil apnaa piite hain ham sharaab ke maanind hain barasne mein vaqt-e-girya mire dida-e-tar sahaab ke maanind ye bahaar aur ye chaman bulbul honge ik roz khvaab ke maanind be-dilaaraam raahat-o-aaraam ho gae hain azaab ke maanind koi shai tishna-e-shahaadat ko nahin 'khanjar' ki aab ke maanind"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"kisi din ghar mire aaya to hotaa talattuf mujh pe farmaayaa to hotaa zaraa zulfon ko dikhlaayaa to hotaa balaa sar par mire laayaa to hotaa ayaadat ko agar aaya nahin vo janaaze par mire aaya to hotaa gul-e-khubi chaman mein muskuraa kar zaraa ghunche ko sharmaayaa to hotaa bulaa kar kaan ki bijli ko apne kabhi bijli ko chamkaayaa to hotaa vafaa par bhi jafaaein kar rahaa hai are zaalim tu pachhtaayaa to hotaa gulistaan mein kisi din dil pe bulbul mire maanind gul khaayaa to hotaa mire laashe ko ai rashk-e-masihaa zaraa qum kah ke Thukraayaa to hotaa tire ‘khanjar’ se qaatil mere maanind kisi ne sar ko kaTvaayaa to hotaa"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"zulf suljhaai un ki shaane se mujh se bigDe isi bahaane se dil hi qaabu se mere jaataa hai baaz aaya main dil lagaane se likkhaa taqdir kaa are naadaan kahin miTtaa bhi hai miTaane se mil gae dil ko daagh-haa-e-diram khusrav-e-ishq ke khazaane se shab ko mahfil mein dekh kar mujh ko uTh gayaa niind ke bahaane se kyaa milegaa falak tujhe batlaa bekason ke are sataane se dekh kar raat-din ki nairangi aa gayaa tang main zamaane se dar-ba-dar phirte kis liye lekin sab hain naa-chaar aab-o-daane se apne qaatil ke ru-ba-ru 'khanjar' moDnaa munh na sar jhukaane se"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"diyaa hai dil tumhein apnaa samajh kar amaanat hai ise rakhnaa samajh kar chaDhaai tegh-e-abru kyaa samajh kar ham aae qatl ki iimaa samajh kar na bal khaae kahin dast-e-nazaakat uThaaiye zaraa pardaa samajh kar sharaab-e-shauq se saaqi-e-madhosh hamaare zakhm ko bharnaa samajh kar mujhe mehraab-e-abru bas hai teri karun sajda tujhe kaaba samajh kar nahin matlab hamein dair-o-haram se jahaan jaate hain ghar teraa samajh kar chaman mein chahchahaa ab shaakh-e-gul par tu karnaa bulbul-e-shaidaa samajh kar har ik kuche mein mere vaaste tifl liye patthar hain divaanaa samajh kar mah-e-gardun pe shab ko chaandni mein nazar kartaa huun rukh teraa samajh kar gale par qaatil-e-be-rahm mere chalaayaa tu ne 'khanjar' kyaa samajh kar"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"jo surat dekh li us mah-laqaa ki nazar aai mujhe qudrat khudaa ki abhi qabron se murde uTh khaDe hon sunein aavaaz gar raftaar-e-paa ki miraa dil le ke mujh se phir gayaa hai vafaa ke badle zaalim ne daghaa ki kiye jaate ho mujh se be-vafaai zabaan meri nahin ab tak hai shaaki hazaaron ghair ko dete ho bose liyaa gar ek main ne kyaa khataa ki kiye jaataa hai jaur-o-zulm mujh par kuchh aakhir intihaa bhi hai jafaa ki mujhe kaafi hai teraa saaya-e-zulf nahin khvaahish hai kuchh zill-e-humaa ki na aaya par na aaya vo sitamgar khushaamad ki bahut kuchh iltijaa ki tumhaare aab-e-‘khanjar’ kaa huun pyaasaa nahin hai aarzu aab-e-baqaa ki"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"kiye jaataa jo vo jaur-o-jafaa hai jafaa ki bhi kuchh aakhir intihaa hai usi ne de ke dam dil le liyaa hai qusur is mein bataao meraa kyaa hai faqiron kaa pataa kyaa puchhte ho jahaan Thahre vahi rahne ki jaa hai zaraa dekho to chashm-e-ghaur se tum yahi aaina-e-dil haq-numaa hai hue daagh-e-junun taaza hamaare bahaar aai chaman phulaa-phalaa hai tiri khaak-e-qadam ai rashk aisi mariz-e-hijr ko khaak-e-shifaa hai hai ye daur-e-shabaab ai saaqi-e-dahr pilaa de mai uThi kaali ghaTaa hai nahin daavaa hai qaatil se kuchh apnaa mujhe to zabh 'khanjar' ne kiyaa hai"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"us ko tanhaa jis ghaDi paate hain ham muztarib ho kar palaT jaate hain ham yaad kar ke tere lab ghuncha-dahan zindagi se tang aa jaate hain ham be-sabab baiThe-biThaae apnaa dil de ke us dilbar ko pachhtaate hain ham manaa karne par bhi dil ko de diyaa dil ke dene ki sazaa paate hain ham dekh kar ghairon ko us ke ird-gird khud-bakhud mahfil se Tal jaate hain ham kahte hain maqtal mein mujh se ho ke shaad raqs-e-bismil aaj dikhlaate hain ham 'khanjar'-e-abru ko teri dekh kar ai sitamgar qatl ho jaate hain ham"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"main na ik saa'at rahaa aaraam mein gar qafas se chhuT aayaa daam mein sab pe baalaa hi rahi boli miri main jo pahunchaa husn ke nilaam mein til tah-e-gesu nahin sayyaad ne aaj daana rakh diyaa hai daam mein hazrat-e-dil ne kiye jurm-o-khataa be-sabab ham aa gae ilzaam mein aazim-e-mulk-e-adam hai ai masih teraa bimaar ab to subh-o-shaam mein zulf chhu kar ham ne li sar par balaa aae naahaq kashmakash ke daam mein chashm-o-lab ke bose mein jo hai maza vo kahaan hai pista-o-baadaam mein un ke ghar jaataa huun kah dete hain ye koi kah do vo to hain aaraam mein chaaTte hain honTh sab 'aashiq tire hai 'ajab lazzat tire dushnaam mein zulf-o-rukh kaa hai tasavvur raat-din jab se ham daakhil hue is laam mein murgh-e-bismil hain jo ye sayyaad aaj tu ne kyaa 'khanjar' rakhaa hai daam mein"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"is tarah gesu-e-shab-gun hain rukh-e-jaanaan ke paas jaise chhaai ho ghaTaa kaali mah-e-taabaan ke paas is tarah hai aankh ki gardish tire mizhgaan ke paas phirte hain jis tarah aahu tiir ke paikaan ke paas raat din rahti hain zulfein is tarah rukh ke qarib jis tarah rahte hain kaafir saahab-e-imaan ke paas aa gayaa hai kyaa abhi se mausam-e-fasl-e-bahaar kis liye jaane lagaa dast-e-junun daamaan ke paas paas aankhon ke tire rukhsaar kab hain gul-badan hain gul-e-laala shagufta nargis-e-hairaan ke paas rashk-e-yusuf khat hai yuun tere zanakhdaan ke qarin kaarvaan jis tarah utraa ho chah-e-kanaan ke paas kyon adu ke paas le jaate ho mujh ko dosto kaam kyaa insaan kaa batlaao to hai shaitaan ke paas ghar ko dushman ke lagaanaa aag kaa ai shoala-ru kuchh nahin mushkil hamaare sozish-e-pinhaan ke paas kis liye 'khanjar' ko paas aane se tum karte ho mana aakhir insaan hi to aataa jaataa hai insaan ke paas"
K
KHanjar Ajmerii
Quote
"jis vaqt se khafaa vo miraa yaar ho gayaa karnaa sahar bhi shaam ko dushvaar ho gayaa mujh zaar se vo turk jo do-chaar ho gayaa tir-e-nigaah dil ke mire paar ho gayaa jab se lagi hai aankh se us ki hamaari aankh har-dam khayaal-e-nargis-e-bimaar ho gayaa do dil ko mil ke baiThne detaa nahin hai tu kyaa sheva teraa gumbad-e-davvaar ho gayaa shikva bhalaa raqib kaa kis se karun ki jab dil saa rafiq dar-pae-aazaar ho gayaa baaton pe tu vilaayat-e-be-pir ki na jaa iifaa buton kaa bhi kahin iqraar ho gayaa kaisi bahaar kaisaa chaman kaisaa naach rang apni baghal se jabki judaa yaar ho gayaa us ne kiyaa ishaara jo mahfil mein ghair se ik tir-e-rashk dil ke mire paar ho gayaa us shama-ru ne mujh ko jo bulvaayaa bazm mein jal kar adu miraa vahin finnaar ho gayaa qaatil nahin rahi mujhe ummid-e-zindagi 'khanjar' kaa tere sar pe mire vaar ho gayaa"
K
KHanjar Ajmerii