SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tu hi nahin gardish mein murakh gardish mein sansaar bhi hai rogon se bharpur hai duniyaa rogon ki bhar-maar bhi hai maah-vashon ki ulfat mein kuchh jiit bhi hai kuchh haar bhi hai dil ki baatein dil hi jaane dil ko hi aazaar bhi hai mashq-e-sitam kiije dil bhar kar haazir huun har tarah se main chaahe jis se ghaayal kiije abru bhi talvaar bhi hai ishq-e-haqiqi mein marnaa to ain-saaadat hai be-shak kashti-e-dil Duube yaa ubhre saahil bhi manjdhaar bhi hai husn-e-talab hai apnaa apnaa chaahe jise apnaa liije gulshan-e-hasti mein sab kuchh hai phuul bhi hai aur khaar bhi hai ye duniyaa aani-jaani hai pyaare kaun hai kis kaa miit sab ko tu apnaa samjhaa hai koi tiraa gham-khvaar bhi hai jaaez hai mazhab mein us ke fikr-e-sukhan ke saath mein vaaz 'khaavar' ki baabat mat puchho zaahid bhi fan-kaar bhi hai"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"aaj jo itni sargiraani hai is mein poshida ik kahaani hai kyaa yaqin ho ki aaj maanegaa pahle kab us ne baat maani hai saaya Dhalne lagaa hai peDon kaa piiri ab haasil-e-javaani hai hai ragon mein to khuun hai lekin aankh mein aae to vo paani hai surkh tan surkh-ru jo aaya huun shahr vaalon ki mehrbaani hai tanz hi vo kare kare to sahi us ki to ye bhi mehrbaani hai mamlikat teri jism-o-jaan mere meraa dil teri raajdhaani hai kis ki aamad hai aaj gulshan mein kis ki khaatir ye gul-fishaani hai sar pe chaDh aaya hai jo yuun suraj ye tanazzul ki ik nishaani hai hai aTal sab ke vaaste 'khaavar' vo jo ik marg-e-naa-gahaani hai"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"ghazab mein shishagar hai aur main huun miraa shishe kaa ghar hai aur main huun nigaah-e-tez-tar hai aur main huun mohabbat kaa asar hai aur main huun sukun mujh ko mayassar kis tarah ho ki aabaadi mein ghar hai aur main huun kab aae manzil-e-maqsud dekho takhayyul kaa safar hai aur main huun bataaun kyaa mashaaghil zindagi ke kisi kaa sang-e-dar hai aur main huun na kuchh zaad-e-safar hai aur na tosha safar be-baal-o-par hai aur main huun bahut hai kaar-haa-e-zist lekin hayaat-e-mukhtasar hai aur main huun takhayyul mein talaatum saa bapaa hai ye dariyaa zor par hai aur main huun huzuri ki ho kyaa tadbir 'khaavar' vahi darbaan-e-dar hai aur main huun"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"ba-faiz-e-ishq har jaa sainkaDon divaane milte hain jahaan bhi shama raushan ho vahin parvaane milte hain nahin mauquf kuchh sahraa-navardi par hi ai hamdam jahaan hote hain farzaane vahin divaane milte hain ye dil ki bastiyaan aabaad hain jo husn-e-fitrat se inhi aabaadiyon ke qalb mein viraane milte hain bataa de kaash ye koi haram ke jaane vaalon ko haram ki raah mein bhi anginat but-khaane milte hain hudud-e-ishq mein hi aafiyat hai ye samajh liije hudud-e-ishq ke us paar to viraane milte hain nahin laataa huun andeshon ko khaatir mein kabhi hargiz vahin jaataa huun uD kar main jahaan kuchh daane milte hain jahaan ziddain yakjaa hon vahi duniyaa hai ai 'khaavar' jahaan hon jaane-pahchaane vahin begaane milte hain"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"raat kyon mukhtasar nahin hoti hijr ki kyon sahar nahin hoti jo guzarti hai hijr mein mujh par kyaa unhein kuchh khabar nahin hoti zindagi kyon vabaal hai yaaro chain se kyon basar nahin hoti hasratein dil mein hain bahut lekin koi bhi baar-var nahin hoti laag se jo paDe kisi shai par vo nazar be-asar nahin hoti kab kiyaa hai use nazar-andaaz us ko ye kyon khabar nahin hoti kuchh duaa mein asar na ho to na ho badduaa be-asar nahin hoti khaaliq-e-juzv-o-kul idhar bhi dekh kyon tavajjoh idhar nahin hoti tum se aashufta-sar ki ai 'khaavar' baat kuchh mo'atabar nahin hoti"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"milaa mujh se vo itni be-rukhi se ki jaise ajnabi ik ajnabi se mazammat sirf vo karte hain us ki nahin vaaqif jo ramz-e-aashiqi se sar-e-fihrist hain ahl-e-khirad ki jinhein nisbat nahin kuchh aagahi se jo thaa taqdir mein vo pesh aaya shikaayat kyaa karun ab main kisi se sunaanaa chaahtaa huun dil ki baatein magar Dartaa huun un ki barhami se ghubaar-e-raah se kah do ki chhaT jaae nahin vaaqif ye qais-e-aamiri se yahaan jab sair ko bhi ho sivaayaa to phir kam khud ko kyon samjhun kisi se samajhtaa hai vahi rozi-rasaan hai tavaqqo aur kyaa ho aadmi se musibat mein nahin koi kisi kaa milaa 'khaavar' sabaq ye dosti se"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"kis ko sunaaun haal dil-e-be-qaraar kaa miltaa nahin hai koi bashar eatibaar kaa kaise guzar vahaan ho sukun-o-qaraar kaa jhagDaa paDaa huaa ho jahaan nur-o-naar kaa naqd-e-hayaat un ki hai be-masraf-o-fuzul jin ko khayaal hi nahin apne vaqaar kaa ujDaa hai jab se meraa nasheman huun mutmain khatra hi khatm ho gayaa barq-o-sharaar kaa hai din ki raushni to kabhi raat kaa samaan jaari hai silsila yunhi lail-o-nahaar kaa tausif us ki meri zabaan se ho kyaa bayaan yakjaa huaa hai husn urus-e-bahaar kaa be-baal-o-par hai phir bhi banaayaa hai aashiyaan maqdur aur kyaa thaa gharib-ud-dayaar kaa jaan-e-bahaar ban ke tasavvur mein aa gae jab bhi chhiDaa hai tazkira fasl-e-bahaar kaa takhliq-e-kaaenaat ke asbaab kuchh bhi hon 'khaavar' ye ek shaghl hai parvardigaar kaa"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"us ke dil mein ye kyaa samaai baat ghair se meri jaa lagaai baat us ko kis ne ye jaa sunaai baat ghair ke haath kaise aai baat kuchh kahaa us ne jab to phuul jhaDe vaah kyaa rukh pe rang laai baat ye buri baat hai bachaa khud ko chhup ke suntaa hai kyon paraai baat us se kyaa kahnaa chaahtaa thaa main bhuul kar bhi na yaad aai baat kyon huaa mujh pe mehrbaan itnaa kaun si us ko meri bhaai baat main hamesha rahaa huun mohar-ba-lab main ne kab ki hai jag-hansaai baat kar diyaa raaz khud hi tasht-az-baam kyon zabaan par ye teri aai baat ab taassuf fuzul hai 'khaavar' tu ne khud hi kahaan chhupaai baat"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"tamaam aish-o-tarab hain faqat usi ke liye khirad se kaam liyaa jis ne zindagi ke liye ye irtiqaa-e-khirad hai ki intihaa-e-junun junun-navaaz bane hain jo aagahi ke liye chamak rahe hain jo qatraat-e-khun sar-e-mizhgaan ye ehtimaam-e-charaaghaan hai aap hi ke liye jahaan gumaan bhi ho aap ke guzarne kaa vahin jhukaa diyaa sar main ne bandagi ke liye mah-o-nujum pe Daali gai kamand-e-shuur ye iltizaam hai do din ki zindagi ke liye ye jashn-e-aish-o-tarab aap hi ke dam se hai hue hain aap to paidaa hi dilbari ke liye lahu se apne jalaa kar charaagh aankhon mein harim-e-dil ko sajaayaa hai aap hi ke liye usi ke vaaste chamke hain kaukab-e-taqdir charaagh-e-hosh bhi raushan hai aadmi ke liye samajh sakaa na anal-haq ke raaz ko 'khaavar' ye ek khel thaa irfaan ke muntahi ke liye"
K
Khurshid Khawar Amrohvi
Quote
"kisi ke chehre ki taabindagi ko kyaa kahiye phir us pe zulf ki us barhami ko kyaa kahiye ye kyaa jagah hai ki pursaan-e-haal koi nahin yahaan ke logon ki is be-rukhi ko kyaa kahiye nuqush-e-husn ubharte rahe hain zehn mein kyon tasavvuraat ki is aazari ko kyaa kahiye na ho sukun to phir lutf-e-zindagi kyaa hai jahaan sukun ho us zindagi ko kyaa kahiye nahin hai meri nigaahon ko taab-e-nazzaara kisi ke husn ki us khirgi ko kyaa kahiye khud apne des mein paamaal ho gayaa hai koi chaman mein phuul ki be-hurmati ko kyaa kahiye kali ko kar hi diyaa be-hijaab ai 'khaavar' nasim-e-subh ki be-rah-ravi ko kyaa kahiye"
K
Khurshid Khawar Amrohvi