SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKokab Muradabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jhijak kaisi hai tum bedaad par bedaad kar lenaa sitam-ijaad ho taaza sitam ijaad kar lenaa tumhein mashq-e-jafaa manzur agar hai dil bhi haazir hai abhi barbaad kar do phir ise aabaad kar lenaa rihaai ho ki paabandi asiir un ke unhin ke hain abhi paaband kar denaa abhi aazaad kar lenaa ba-juz is ke karun to kyaa karun ai bebasi meri kabhi khaamosh rah jaanaa kabhi fariyaad kar lenaa ye zaahir hai ki ham majbur hain kuchh kar nahin sakte sitam tujh se jahaan tak ho sake sayyaad kar lenaa agar shohrat tumhein manzur hai ahl-e-mohabbat mein sabaq mehr-o-vafaa kaa dil lagaa kar yaad kar lenaa khudaa naa-karda tum kyon paas aao naa-muraadon ke jo mumkin ho to un bhule huon ko yaad kar lenaa jafaaon par bhi shaadaan huun vafaaon par bhi qurbaan huun mujhe tum aazmaa kar apne dil ko shaad kar lenaa karo 'kaukab' vatan ki qadr kyaa baiThe ho tum ghaafil kabhi to khidmat-e-ahl-e-muraadaabaad kar lenaa"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"le liyaa dil ye dil-lagi kyaa hai tum rulaate ho ye hansi kyaa hai ishq baad-e-fanaa bhi miT na sakaa maut kyaa shai hai zindagi kyaa hai roz-o-shab hain itaab-o-jaur-o-sitam un ke altaaf mein kami kyaa hai ai buto ye ghurur surat par tum khudaa ban gae khudi kyaa hai dil-e-be-maaya hai khazina-e-gham muflisi mein mujhe kami kyaa hai khaak ko aasmaan se kyaa nisbat meri aur un ki dosti kyaa hai nashsha-e-did mein jo ho be-khud phir use lutf-e-mai-kashi kyaa hai chaaraagar vaqf-e-chaarasaazi hain ik musibat hai dosti kyaa hai nur-e-ulfat ki hai ye jalvagari varna 'kaukab' mein raushni kyaa hai"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"ai khudaa ishq mein mehnat miri barbaad na ho dil giraftaar-e-vafaa hai kahin aazaad na ho vaada-e-vasl unhein yaad dilaaun to kahein baat tum aisi kaho kyon jo mujhe yaad na ho dil-e-aafat-zada ab dekh chukaa aish ke din ye vo viraana hai jo phir kabhi aabaad na ho dar qafas kaa hai khulaa kuchh sar-e-parvaaz nahin is qadar bhi asar-e-ulfat-e-sayyaad na ho jis ko tu lutf samajhtaa hai sitam niklegaa ai dil aaghaaz-e-mohabbat hai abhi shaad na ho vasl ke zikr se kyaa kaam samajh jaaungaa ik ishaaraa hi sahi munh se kuchh irshaad na ho zulm-e-be-jaa se to khud baaz nahin aate hain aur mujh par hai ye taakid ki fariyaad na ho tere qaamat ne uThaai hai qayaamat kaisi mujh ko Dar hai ye koi misra-e-ustaad na ho aaj kyon naghma-e-lai mein hai fughaan kaa andaaz teri mahfil mein kahin 'kaukab'-e-naashaad na ho"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"zabt-e-fughaan bajaa sahi gham ke asar ko kyaa karun naala-e-shab ko kyaa karun aah-e-sahar ko kyaa karun subh-e-shab-e-firaaq bhi shaam-e-alam se kam nahin jis mein na koi nuur ho aisi sahar ko kyaa karun fitrat-e-ishq ne mujhe daulat-e-dard bakhsh di taaat-e-shab se kaam kyaa zikr-e-sahar ko kyaa karun subh-e-azal ki raushni meri nazar mein hai abhi nur-e-sahar to aap hain nur-e-sahar ko kyaa karun shaam-e-alam ki zulmatein kaafi hain mere vaaste main to balaa-nasib huun le ke sahar ko kyaa karun subh mein ab kahaan vo husn shaam mein ab kahaan vo kaif aalam-e-intizaar ke shaam-o-sahar ko kyaa karun aish mein bhi khayaal-e-gham maane-e-zauq-o-shauq hai ai shab-e-vasl-e-dil-navaaz vahm-e-sahar ko kyaa karun mere nasib mein nahin jalva-e-subh-e-aarzu 'kaukab'-e-shaam-e-gham huun main najm-e-sahar ko kyaa karun"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"ishq-e-saadiq un ko bhi kar de na divaana kahin shama jalte jalte ban jaae na parvaana kahin kah na de rind-e-subu-kash raaz-e-mai-khaana kahin mohtasib bhi sun ke ho jaae na mastaana kahin mastiyaan chhaai hui hain mai-kada mein chaar-su jalva-e-saaqi kahin hai daur-e-paimaana kahin josh-e-vahshat baDhte baDhte ho na jaae parda-dar khalq mein mashhur ho meraa na afsaana kahin chashm-e-mast-e-saaqi-e-makhmur hai mai-kash-navaaz bhar na jaae umr-e-do-roza kaa paimaana kahin mai-parasti kaa mazaa aae nasha baDhtaa rahe aaj saaqi de jo paimaane pe paimaana kahin kaan us aavaaz-e-dilkash se hon kyunkar aashnaa gham-kada meraa kahin un kaa tarab-khaana kahin sun ke mere jazba-e-vahshat ko vo kahne lage nazr-e-shauq-e-did ho jaae na divaana kahin zabt laazim hai tumhein 'kaukab' farogh-e-ishq mein har-kas-o-naa-kas se kah denaa na afsaana kahin"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"us pe kuchh bhi asar nahin hotaa be-khabar baa-khabar nahin hotaa dil mein kab jalva-gar nahin hotaa kab vo pesh-e-nazar nahin hotaa tujh se dil be-khabar nahin hotaa nahin hotaa magar nahin hotaa kyaa kaThin manzil-e-mohabbat hai khizr bhi ham-safar nahin hotaa haal-e-mahjur puchhte kyaa ho hosh do-do pahar nahin hotaa kyaa kahun bad-gumaaniyaan dil ki etibaar-e-nazar nahin hotaa us pe rahmat ko naaz hotaa hai jis duaa mein asar nahin hotaa phir dobaara nazar nahin uThti ishq baar-e-digar nahin hotaa nur-e-'kaukab' ne vo ziyaa paai ki muqaabil qamar nahin hotaa"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"zabt-e-alam ne dard ko darmaan banaa diyaa mushkil thi zindagi magar aasaan banaa diyaa siine ko manzil-e-gham-e-jaanaan banaa diyaa yuun maut ko hayaat kaa saamaan banaa diyaa duniyaa-e-ishq shokhi-e-fitrat ki daad de har ik nigaah-e-husn ko paikaan banaa diyaa ai josh-e-girya-e-gham-e-jaanaan tire nisaar aansu ke ek qatre ko tufaan banaa diyaa ik nur-bakhsh mahfil-e-jaan ke firaaq ne dil ko jalaa ke sham-e-shabistaan banaa diyaa qurbaan aap ki nigah-e-dil-navaaz ke hairaan banaa diyaa mujhe hairaan banaa diyaa rag rag mein iztiraab-e-mohabbat hai maujzan ehsaas-e-dil ne qatre ko tufaan banaa diyaa allah re jazb-e-husn ki kaif-aafriniyaan har aaine ko shauq mein hairaan banaa diyaa 'kaukab' tumhaare nuur se vo raushni baDhi har zarra-e-khayaal ko taabaan banaa diyaa"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"kisi tarah se na bahlaa firaaq-e-yaar mein dil khizaan ki tarah fasurda rahaa bahaar mein dil nahin hai chain muqaddar mein be-qaraaron ke hamaare saath taDaptaa rahaa mazaar mein dil tafakkuraat-e-jahaan se hai yak-qalam aazaad phansaa huaa tire gesu-e-taabdaar mein dil agar tu aa nahin saktaa to kaash ajal aae hai be-qaraar bahut tere intizaar mein dil kamaal-e-husn-e-tasavvur ye hai ki rahtaa hai shagufta gul ki tarah yaad-e-ru-e-yaar mein dil kahaan hai ishq jo aa kar ise chhuDaa jaae ghiraa huaa hai balaa-haa-e-rozgaar mein dil bas apni apni jagah laa-javaab hain donon ghurur mein nigah-e-yaar inkisaar mein dil natija hasrat-o-hirmaan hai shauq-e-behad kaa kharaab hogaa bahut aarzu-e-yaar mein dil bigaD rahe hain abas aap apne 'kaukab' par vo kyaa kare jo na ho us ke ikhtiyaar mein dil"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"dard-e-dil hi mein nihaan hai dard-e-dil kaa raaz bhi saaz hi mein mustatar hai saaz ki aavaaz bhi ho gaiin raushan miri aankhein zah-e-nur-e-jamaal didani hai vo aur us ke husn kaa eajaaz bhi allah allah vahdat-e-jazbaat-o-kaifiyyaat-e-ishq ek surat mein huaa anjaam bhi aaghaaz bhi arsa-e-hasti mujhe kyon arsa-e-mahshar na ho fitna-parvarda bhi aur us kaa khiraam-e-naaz bhi khud nigaah-e-shauq kar deti hai ifshaa raaz-e-dil ishq hai kambakht apnaa aap hi ghammaaz bhi sunne vaale kaa zaraa husn-e-samaaat dekhiye aa gai pardon ke baahar saaz ki aavaaz bhi kar chuke gor-e-gharibaan ki ziyaarat kar chuke dekh liije ab zaraa qabr-e-shahid-e-naaz bhi ruuh nikle tan se naghme kaif ke gaati hui main dam-e-aakhir agar sun luun tiri aavaaz bhi dida-e-bedaar 'kaukab' faizyaab-e-nur hai uTh gae yaani nigaahon se hijaab-e-raaz bhi"
K
Kokab Muradabadi
Quote
"mohabbat chaara-saaz-e-dard-e-furqat hoti jaati hai miri vahshat mujhe saamaan-e-raahat hoti jaati hai udhar vo munfail nazrein idhar ye muztarib naale nadaamat hoti jaati hai shikaayat hoti jaati hai nazar aate hain vo aamaada-e-lutf-o-karam khud hi mujhe bhi aaj arz-e-gham ki himmat hoti jaati hai jabin khud aastaan-e-bandagi ko DhunDh leti hai mohabbat khud nahin hoti mohabbat hoti jaati hai nahin khultaa ye uqda josh-e-vahshat mein nahin khultaa ki kyon bezaar manzil se tabiat hoti jaati hai kisi ne yaad farmaayaa hai kyaa phir apni mahfil mein ki az-khud baiThe baiThe ghair haalat hoti jaati hai chali aati hain paiham hichkiyaan bimaar-e-ulfat ko murattab khud-bakhud gham ki hikaayat hoti jaati hai shikaayat ishq ko hai husn ke paiham taghaaful ki qayaamat mein ye ik taaza qayaamat hoti jaati hai murattab ho gai fard-e-amal yuun khud-bakhud 'kaukab' mire divaan-e-sheri ki kitaabat hoti jaati he"
K
Kokab Muradabadi