SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMadhu Madhuman(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"the kabhi ham ko bhi hangaame 'aziz ab magar lagte hain sannaaTe 'aziz jo hamein hain jaan ke jaise 'aziz kaash hote ham bhi yuun un ke 'aziz zindagi mahfuz ho jin ke tale kis qadar hote hain vo saae 'aziz jin se hain mansub yaadein aap ki ham ko hain vo sab gali kuche 'aziz zindagi kaTti nahin un ke binaa log kuchh hote hain kyon itne 'aziz dil ko chhu jaate the jo bhitar talak aaj bhi hain ham ko vo naghme 'aziz jaam khushiyon ke mubaarak aap ko ham ko to hain gham ke paimaane 'aziz ahl-e-duniyaa ko hain pyaari manzilein aur 'madhuman' ham ko hain raste 'aziz"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"bazm-e-farhat raas aai hi nahin jag se nisbat raas aai hi nahin ham nibhaanaa chaahte to the magar rasm-e-ulfat raas aai hi nahin shauq se ham bhi manaate jashn par koi saa'at raas aai hi nahin ham ne to qurbaan kar di jaan tak un ko shafqat raas aai hi nahin chal paDi duniyaa badi ki raah par is ko jaudat raas aai hi nahin phuul ham ne bhi khilaae the magar ham ko nikhat raas aai hi nahin aisi qismat thi ki ham ko zindagi taa-qayaamat raas aai hi nahin aakhirash khalvat mein 'madhuman' ram gae ham ko jalvat raas aai hi nahin"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"ham pe kuchh yuun hai zindagi kaa qarz jaise lamhe pe ho sadi kaa qarz vaqt mahdud aur saansein kam kaise chuktaa karein sabhi kaa qarz ye jo hain vus'atein samundar ki us ke sar par hai har nadi kaa qarz do gunaa kar ke sab ko lauTaayaa ham ne rakkhaa nahin kisi kaa qarz aansuon se adaa kiyaa ham ne ek chhoTi si bhi khushi kaa qarz daur-e-nau ke sukhanvaron par hai 'mir'-o-'ghaalib' ki shaa'iri kaa qarz chaah kar bhi nahin utar saktaa ham pe 'madhuman' jo hai nabi kaa qarz"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"chaman se khushbuon kaa isti'aara le gayaa koi hamaare gulsitaan se rang saaraa le gayaa koi hamein jo raah dikhlaataa thaa jivan ke andheron mein hamaare aasmaan se vo sitaara le gayaa koi bahut viraan rahtaa hai falak aankhon kaa ye jab se churaa kar us se us kaa maah-paara le gayaa koi bhalaa ab zindagi mein dekhne ko kyaa rahaa baaqi jo bhaataa thaa hamein vo har nazaara le gayaa koi lagegi paar kaise naav ab ye khudaa jaane use manjdhaar mein rakh kar kinaara le gayaa koi badal detaa thaa jo meinDak ko ik raaja ki surat mein jahaan se ab vo jaadu kaa piTaaraa le gayaa koi dil-e-betaab ko 'madhuman' qaraar aae bhi to kaise sukun to chhin kar ham se hamaaraa le gayaa koi"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"maazi ke gulsitaan mein jab le chaleingi aankhein lamhon ki khushbuon se mahkaa kareingi aankhein yaadon ke abr jab bhi chhaaeinge zehn-o-dil par be-saakhta jhamaa-jham bahne lageingi aankhein alfaaz jab na honge honTon pe honge taale aise mein dil ki saari baatein kaheingi aankhein maa'lum hai ki us ne aanaa nahin hai vaapas har-vaqt phir bhi us kaa rasta takeingi aankhein kitne bhi hon samundar ashkon ke un mein chaahe duniyaa ke saamne par hansti raheingi aankhein divaar taakte hi guzregi raat shaayad nindein hi ruuTh jaaein to kyaa kareingi aankhein ziddi hain is qadar ye sunti nahin hai kahnaa bojhal hon chaahe palkein phir bhi jageingi aankhein majbur hain ye shaayad fitrat se apni 'madhuman' maayusiyon mein bhi kuchh sapne buneingi aankhein"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"pal khushi ke to kabhi aankh mein paani degaa vaqt har roz nai ek kahaani degaa dil mire chheD na tu phir vo puraane qisse zikr-e-maazi mujhe bas ashk-fishaani degaa peD kikar ke bhi aaeinge kahin raahon mein har jagah to vo nahin raat ki raani degaa zindagi ek jagah par hi ruki hai kab se jaane ab kab vo use aa ke ravaani degaa bas isi aas pe aTki hai miri jaan ab tak koi to rut vo kabhi mujh ko suhaani degaa lauT aaegaa vo mausam hai bharosa ye mujhe phir mire baagh ko vo rang-fishaani degaa dil se kahne ki to koshish to zaraa kar 'madhuman' tere alfaaz ko phir khud vo maaani degaa"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"pairahan jism pe aur munh mein nivaalaa hotaa kaash har shakhs ke aangan mein ujaalaa hotaa chhoD kar shaakh na jaate ye parinde shaayad pyaar se ham ne agar un ko sanbhaalaa hotaa raabta toD diyaa ek hi jhaTke mein kyon guftugu kar ke koi hal to nikaalaa hotaa itne rishton ko bikharne se bachaa sakte the kaash is pal ko kisi tarah to Taalaa hotaa mil ke rahte jo mohabbat se sabhi gul is mein phir to gulshan kaa nazaara hi niraalaa hotaa kho chuke hote udaasi ke samundar mein ham khud ko gar vaqt ke saanche mein na Dhaalaa hotaa ham bhi auron ki tarah vaqt pe sote 'madhuman' rog ham ne jo sukhan kaa nahin paalaa hotaa"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"ham ne khud ko kabhi bezaar nahin hone diyaa apni ummid ko mismaar nahin hone diyaa apne jazbaat kaa izhaar nahin hone diyaa zindagi ko kabhi akhbaar nahin hone diyaa mushkilein laakh milin raah mein ham ko lekin apne kirdaar ko laachaar nahin hone diyaa ham ne nuqsaan uThaa kar bhi nibhaae rishte pyaar ke jazbe ko byopaar nahin hone diyaa ham jo bistar pe paDe kaun sanbhaalegaa hamein bas isi fikr ne bimaar nahin hone diyaa apne bachchon ko suhulat ki har ik shai de kar ham ne khud un ko samajhdaar nahin hone diyaa khvaab dekhaa thaa kabhi ham ne bhi 'madhuman' koi par muqaddar ne vo saakaar nahin hone diyaa"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"kuchh is qadar tavil thaa vo daur intizaar kaa ki rafta rafta bujh gayaa charaagh dil mein pyaar kaa chaman mein mustaqil rahaa khizaan kaa daur yuun ki phir ye dil hi muntazir nahin rahaa kisi bahaar kaa na ab vo rahguzar rahi na vo safar na ham-safar magar hai dil pe aaj bhi asar usi khumaar kaa yaqin kar liyaa thaa main ne us pe aankh muund kar bas ik yahi to thaa qusur mujh gunaahgaar kaa na khushbuein gulon ki ab na saaebaan kaa pata na jaane kab talak chale safar ye regzaar kaa thi zindagi chaDhaav par to mukhtasar lagaa safar magar lagaa tavil khuub raasta utaar kaa na de sakegaa kuchh tumhein sivaae dard-e-dil ke ye to kyon uThaa ke chal rahe ho bojh ye ghubaar kaa"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"kisi ki khaamiyon kaa tazkira nahin karte yuun apne aap ko chhoTaa kiyaa nahin karte safar mein kitne hi logon se ham yuun milte hain sabhi se hi to magar dil milaa nahin karte hamein bhi dard to hotaa hai be-rukhi se tiri ye aur baat hai ki ham gila nahin karte isi mein behtari hai saadh lijiye chuppi nadi mein rah ke magar se laDaa nahin karte kabhi to maan liyaa kijiye hamaaraa bhi har ek baat pe itnaa uDaa nahin karte zarur koi to hoti hai khaasiyat un mein yunhi to log dilon mein basaa nahin karte ye mushkilein bhi zaruri hain raah mein 'madhuman' baghair dhuup ke to gul khilaa nahin karte"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman
Quote
"pahaaDon se raah-e-safar par akele nikalte hain dariyaa saraasar akele guzarti hai kyaa kyaa aziyyat kisi par koi chal ke dekhe ghaDi bhar akele ho kitnaa bhi mushkil safar par ye dariyaa to chaltaa hi rahtaa hai hans kar akele mile un se aakar na dariyaa agar to bhareinge kabhi kyaa samundar akele jo karte hain chintaa sabhi ki khushi ki vo rahte hain duniyaa mein aksar akele ye duniyaa bhalaa raas aai kab un ko sadaa se rahe hain payambar akele sikhaataa hai suraj ye ham ko ki kaise kare koi jag ko munavvar akele na sangi na saathi na rupya na paisa gayaa is jahaan se sikandar akele unhein yaad rakhti hai duniyaa ye 'madhuman' jo lete hain duniyaa se Takkar akele"
Madhu MadhumanMadhu Madhuman