Quote
"kyuun yaad ye sab qaht ke asbaab na aae jab ham ne duaa ki thi ki sailaab na aae ham ko to utarnaa hai samundar ki tahon mein haath aae ki ab gauhar-e-naayaab na aae tadbir ke mehvar pe rahaa mein yunhi raqsaan taabir ke markaz pe mire khvaab na aae baahar jo uThe shor to khiDki se na jhaanko aankhon pe tumhaari kahin tezaab na aae elaan kiyaa uDti hui khaak ne har samt manzar pe koi khitta-e-shaadaab na aae main ne jo kahaa tukhm-e-vafaa hain mire aansu kahne lage miTTi mein unhein daab na aae nikle hain sar-e-shaam liye mashal-e-fan ham nazdik koi kaaghzi mahtaab na aae"







