SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dukh hai kai vabaal mujhe nochte rahe vahshat mein maah-o-saal mujhe nochte rahe main ehtijaaj kar na sakaa ehtiraam mein aur us ke khadd-o-khaal mujhe nochte rahe zakhmi huaa huun husn ke haathon tamaam umr kuchh log be-misaal mujhe nochte rahe un ko bhi de rahaa huun duaaein mire aziiz jo kar ke paaemaal mujhe nochte rahe yaa shahr mein hasin rulaate the raat-din yaa dasht mein ghazaal mujhe nochte rahe 'mannaan' jo milaataa rahaa meri haan mein haan us shakhs ke savaal mujhe nochte rahe"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"inkaar ke pahlu mein hai inkaar kam-o-besh divaar ke aage bhi hai divaar kam-o-besh dushman se rahaa barsar-e-paikaar main tanhaa sab apni bachaate rahe dastaar kam-o-besh ye mulk hunar vaalon ke haq mein nahin saahib ghurbat mein yahaan marte hain fankaar kam-o-besh mahke hue ajsaam mein rahtaa huun hamesha rahti hai mire chaar-su mahkaar kam-o-besh ye shahr kisi khauf mein rahtaa hai musalsal is shahr ke khulte nahin baazaar kam-o-besh main dekhne mein dost parindon ki tarah huun ab mujh se gale milte hain ashjaar kam-o-besh ab subh se 'mannaan' nahin milnaa milaanaa ab der se hotaa huun main bedaar kam-o-besh"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"judaaiyon se jo paimaan kar rahaa huun main ye mushkilein tiri aasaan kar rahaa huun main bilaa-javaaz lagaai nahin hai khud ko aag bujhe charaagh pe ehsaan kar rahaa huun main zaraa bhi khaak uDaai nahin hai vahshat mein guzarne vaalon ko hairaan kar rahaa huun main lagaa rahaa huun jo main baar baar dil se tujhe ye apne jism ko gul-daan kar rahaa huun mein mujhe khabar thi judaai mein faaeda hai magar sabhi ne samjhaa ki nuqsaan kar rahaa huun main hai mere paas ik achchhi khabar baraa-e-junun zaraa ruko koi elaan kar rahaa huun main javaaz koi nahin dusri mohabbat kaa ye aur baat ki 'mannaan' kar rahaa huun main"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"aa baiTh to mere saamne o dildaar planning karte hain duniyaa se bachaanaa hai kaise ab pyaar planning karte hain har ek pe kab khulte hain ye ai dost tumhein maalum to hai kuchh khaas parindon se mil kar ashjaar planning karte hain so shak ki koi gunjaaish naiin ye baat ayaan to sab par hai jab mil baiThein to zaahir hai phir yaar planning karte hain lagtaa hai asar nahin karti ab koi bhi davaa un par saahib har roz masihaa se mil kar bimaar planning karte hain ye dasht hai itnaa sahl nahin is viraane mein rah jaanaa kuchh soch ke hi ham vahshat mein har baar planning karte hain jo sochte hain vo hotaa naiin jo naiin hotaa vo sochte hain yuun lagtaa hai 'mannaan' ki ham be-kaar planning karte hain"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"saare nahin junun mein aise paDe hue ham log hain zamin pe jaise paDe hue aap aae hain to uTThaa huun itnaa rahe khayaal ik umr ho gai mujhe vaise paDe hue shohrat ne kar diyaa miraa jiinaa bhi ab muhaal ye log mere pichhe hain kaise paDe hue khvaabon ki rezgaari liye phir rahaa huun mein hain meri jeb mein yahi paise paDe hue mumkin agar ho koi kiyaa jaae intizaam khaali subu hain dosto mai se paDe hue koshish ke baavajud bhi khultaa nahin ki hain jazbaat lag ke kaun si shai se paDe hue"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"hai mujh ko andaaza khul bhi saktaa hai dastak par darvaaza khul bhi saktaa hai hijr mein tum mohtaat raho to behtar hai kyunki zakhm hai taaza khul bhi saktaa hai sone vaalon ko maalum nahin shaayad khvaabon kaa khamyaaza khul bhi saktaa hai itnaa bhi mohtaat nahin hotaa ye dost rukhsaaron par ghaaza khul bhi saktaa hai sannaaTaa ab itnaa bhi be-dard nahin chup par ye aavaaza khul bhi saktaa hai kaise ishq kaa har jaanib ‘mannaan-qaadir’ bikhraa hai shiraaza khul bhi saktaa hai"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"duur rah kar qarin jaisi hai be-yaqini yaqin jaisi hai meraa koi makaan nahin lekin meri haalat makin jaisi hai naql hoti hai asl kaa hissa behtari behtarin jaisi hai hijr se vasl ki mohabbat bhi saanp aur aastin jaisi hai ye kaDhaai hai us ke haath ki or dekhne mein machine jaisi hai jis jagah chaahein aap ruk jaaein dil ki vusat zamin jaisi hai farq zaahir ho kis tarah un kaa har amaanat amiin jaisi hai aasmaan se pare bhi dekhoge aankh gar durbin jaisi hai us kaa itnaa hi ehtiraam karo aarfi aarfin jaisi hai"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"main kah rahaa huun sab ko dobaara karakht hai us ne kiyaa hai jo vo ishaara karakht hai ye toDne lagaa hai mujhe bhi darun-e-ishq khvaahish kaa jaltaa bujhtaa sitaara karakht hai ik roz toD degaa tujhe hijr yaad rakh ye sang yaar saare kaa saaraa karakht hai sachchaai ke mizaaj se vo aashnaa nahin us ko lagaa hai lahja hamaaraa karakht hai kahtaa huun main durust miri baat maan le dariyaa nahin hai dost kinaara karakht hai 'mannaan' ne to raae abhi di nahin janaab ye aag kah rahi hai sharaara karakht hai"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"ghazal kaa partav nai zaminon se jaa milaa hai pataa chalaa hai sukhan khazinon se jaa milaa hai munaafiqon ko saraahtaa huun munaafiqat se sharif shaair bhi ab kaminon se jaa milaa hai isi liye to main ishq se pichhe haT rahaa huun ye silsila bhi tamaash-binon se jaa milaa hai saraahne lag gayaa junun har kisi ko saahab ye vo makaan hai jo khud makinon se jaa milaa hai visaal-rut ne sabhi ko khinchaa hai apni jaanib hamaaraa dil bhi kai hasinon se jaa milaa hai bachaa rahaa thaa main be-vafaaon se ishq 'mannaan' magar ye sajda unhin jabinon se jaa milaa hai"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"kyunkar aauun miyaan palaT kar main khush bahut huun use lipaT kar main dosto huun baDaa baDe ghar kaa is liye rah gayaa huun baT kar main mujh ko milnaa thaa har kisi se aur jaane kyon rah gayaa huun kaT kar main meraa uslub meraa apnaa hai sochtaa huun sabhi se haT kar main mere andar hai ishq kaa baarud so dikhaaungaa tujh ko phaT kar main niind se haathaa-paai karni thi gir paDaa khvaab par jhapaT kar main ishq thaa dard kaa sabaq 'mannaan' aur use aa gayaa huun raT kar main"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"inkaar bane yaa koi iqraar tamaasha main dekhtaa rahtaa huun lagaataar tamaasha main khud se jhagaDne mein huun masruf mire dost aur dekh rahe hain dar-o-divaar tamaasha hamdardiyaan laazim hain mire saath ki ab main bantaa huun mohabbat mein kai baar tamaasha har aadmi aataa nahin rusvaai ki zad mein baazaar mein bantaa hai kharidaar tamaasha dukh ye hai ki milne ko main bechain bahut huun aur dekh rahe hain miri sarkaar tamaasha ham dekhte rahte hain daraamaai mohabbat karte hain yahaan roz adaakaar tamaasha haalaat badal sakte hain 'mannaan' kisi vaqt ban jaaeinge ab saahab-e-dastaar tamaasha"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"aankh kahti hai hamein ab ashk-baari chhoD dein aansuon se dil ki kaise aabyaari chhoD dein hai muqaddar par yaqin ham ko rahe itnaa khayaal khaak hai qismat to kaise khaaksaari chhoD dein bad-lihaazi jis qadar meri tabi'at mein hai dost ye bhi mumkin hai mujhe sab baari baari chhoD dein dosto karnaa paDegaa ab hamein ye faisla duniyaa-daari chhoD dein yaa inkisaari chhoD dein ho rahi hai dosto tum ko ghalat-fahmi koi kaise mumkin hai parinde ko shikaari chhoD dein 'ishq ko matlub hain be-chainiyaan jazbaat ki zindagi kahti hai ham ko be-qaraari chhoD dein duur rah kar aadmi bechain rahtaa hai zarur aap mere hijr ki manzar-nigaari chhoD dein doston aur dushmanon kaa 'ilm honaa chaahiye kis liye 'mannaan' ham raae-shumaari chhoD dein"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan
Quote
"har samt dekhtaa huun lagaataar matlabi is paar matlabi miyaan us paar matlabi khud faaeda uThaayaa hamaare junun se aur kahne lage hain ab hamein sarkaar matlabi koshish ke baavajud jo khultaa nahin kabhi ik jaantaa huun aisaa pur-asraar matlabi hai us ki bevafaai bhi lazzat bhari janaab hai meraa ek dost mazedaar matlabi dar kar rahe the dhoka azizaan mere saath mujh ko ye lag rahaa thaa hai divaar matlabi ham hi nahin hain rang ke tahzib-aashnaa us shokh ke nahin lab-o-rukhsaar matlabi pahchaantaa huun dekhte hi un ko dosto milte hain mujh ko din mein kai baar matlabi 'mannaan' kar rahaa huun main ab doston ko kam har roz chhoDtaa huun main do-chaar matlabi"
Mannan Qdeer MannanMannan Qdeer Mannan