SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMansoor Usmani(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"TuuT jaataa hai sitaaron kaa bharam raat gae jagmagaate hain tire naqsh-e-qadam raat gae kyaa bataaein jo guzarti hai hamaare dil par yaad aate hain jab apnon ke sitam raat gae gharq ho jaati hai jab niind mein saari duniyaa jaag uThte hain adibon ke qalam raat gae roz aate hain sadaa de ke chale jaate hain dil ke darvaaze pe kuchh ahl-e-karam raat gae rok leti hai tiri yaad sahaaraa ban kar Dagmagaate hain agar mere qadam raat gae jin ki ummid mein ham din ko jiyaa karte hain TuuT jaate hain vahi qaul-o-qasam raat gae jin ki qismat mein nahin din kaa ujaalaa 'mansur' un charaaghon mein jalaa karte hain ham raat gae"
Mansoor UsmaniMansoor Usmani
Quote
"is shahr mein chalti hai havaa aur tarah ki jurm aur tarah ke hain sazaa aur tarah ki is baar to paimaana uThaayaa bhi nahin thaa is baar thi rindon ki khataa aur tarah ki ham aankhon mein aansu nahin laate hain ki ham ne paai hai viraasat mein adaa aur tarah ki is baat pe naaraaz thaa saaqi ki sar-e-bazm kyuun aai piyaalon se sadaa aur tarah ki is daur mein mafhum-e-mohabbat hai tijaarat is daur mein hoti hai vafaa aur tarah ki shabnam ki jagah aag ki baarish ho magar ham 'mansur' na maangeinge duaa aur tarah ki"
Mansoor UsmaniMansoor Usmani
Quote
"bujhne na do charaagh-e-vafaa jaagte raho paagal hui hai ab ke havaa jaagte raho sajdon mein hai khulus to phir chaandni ke saath utregaa aanganon mein khudaa jaagte raho alfaaz so na jaaein kitaabon ko oDh kar daanishvaraan-e-qaum zaraa jaagte raho kaisaa ajiib shor hai basti mein aaj-kal har ghar se aa rahi hai sadaa jaagte raho pahle to us ki yaad ne sone nahin diyaa phir us ki aahaTon ne kahaa jaagte raho phulon mein khushbuon mein sitaaron mein chaand mein kholegaa koi band-e-qabaa jaagte raho tum bhi suno ki shahr-e-khamoshaan mein raat din sannaaTe de rahe hain sadaa jaagte raho jab bhi qalam ko mere kabhi aaiin jhapkiyaan aankhon ne aansuon se likhaa jaagte raho 'mansur' ratjage to muqaddar hain aap kaa jab tak jale sukhan kaa diyaa jaagte raho"
Mansoor UsmaniMansoor Usmani
Quote
"tishnagi dil ki bujhaanaa to khabar kar denaa ashk aankhon mein chhupaanaa to khabar kar denaa ham ne kuchh giit likhe hain jo sunaanaa hain tumhein tum kabhi bazm sajaanaa to khabar kar denaa haadse raah-e-mohabbat kaa muqaddar Thahre jab hamein dil se bhulaanaa to khabar kar denaa jin kitaabon mein chhupaae hain mire khat tum ne un kitaabon ko jalaanaa to khabar kar denaa aaj begaana samajhte ho to samjho lekin jab sataae ye zamaana to khabar kar denaa main zarur aaungaa 'mansur' tumhaari khaatir tum jo maqtal ko sajaanaa to khabar kar denaa"
Mansoor UsmaniMansoor Usmani
Quote
"main huun khaamosh magar bol rahaa hai mujh mein aisaa lagtaa hai koi aur chhupaa hai mujh mein mujh se dilli ki nahin dil ki kahaani suniye shahr to ye bhi kai baar luTaa hai mujh mein tujh ko chaahat hai vafaa ki to mujhe ghaur se paDh vo kitaabon mein kahaan hai jo likhaa hai mujh mein muskuraataa huaa maqtal se guzar aayaa huun zindagi teri koi khaas adaa hai mujh mein ye alag baat ki alfaaz hain mere lekin sach to bas ye hai ki teri hi sadaa hai mujh mein mere sheron se bikhar sakte hain us ke gesu teraa andaaz bhi ai baad-e-sabaa hai mujh mein laakh khaamosh sahi saari fazaaein 'mansur' bolne vaalaa magar bol rahaa hai mujh mein"
Mansoor UsmaniMansoor Usmani
Quote
"aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae barsaat ke mausam mein sitaare nikal aae thaa tujh se bichhaD jaane kaa ehsaas magar ab jiine ke liye aur sahaare nikal aae main ne to yunhi zikr-e-vafaa chheD diyaa thaa be-saakhta kyuun ashk tumhaare nikal aae jab main ne safine mein tiraa naam liyaa hai tufaan ki baahon se kinaare nikal aae ham jaan to bachaa laate magar apnaa muqaddar is bhiiD mein kuchh dost hamaare nikal aae jugnu inhein samjhaa thaa magar kyaa kahun 'mansur' muTThi ko jo kholaa to sharaare nikal aae"
Mansoor UsmaniMansoor Usmani