SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"raah apni na raahbar apnaa kaamraan kaise ho safar apnaa naaz kyaa aarzi Thikaane par shahr apnaa na koi ghar apnaa ab jo hogaa vo dekhaa jaaegaa aap kaa dar hai aur sar apnaa ham ko jiine ki aarzu hai abhi kyon hai maayus chaaraagar apnaa phir nai manzilein talaashte hain khatm hotaa nahin safar apnaa log hote hain mustafid to hon ham nahin bechte hunar apnaa nau-e-insaan ke kaam aae adab hai yahi nuqta-e-nazar apnaa baat karte hain ham khudaa lagti aur lahja hai mo'atabar apnaa sher-goi mein naam hai 'maqbul' ye taaaruf hai mukhtasar apnaa"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool
Quote
"ye khazaf mere liye hain ye guhar mere liye main huun makhdum-e-jahaan hai khushk-o-tar mere liye jannat-o-dozakh bane hain arsh par mere liye aur zamin par ehtimaam-e-khair-o-shar mere liye arsh-e-aazam tak miri parvaaz hai ai be-khabar aur nahin hai ehtiyaaj-e-baal-o-par mere liye aarzu hai azm-o-himmat hai dil-e-pur-shauq hai dosto kaafi hai ye rakht-e-safar mere liye aaj mujh par hans rahe hain log is kaa gham nahin ek din hogi sabhi ki aankh tar mere liye rafta rafta ho gae naaraaz ai 'maqbul' sab zahr bhi ab ho gayaa hai be-asar mere liye"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool
Quote
"jaante ho tum ki kyaa hai zindagi masala-dar-masala hai zindagi sochiye to ik suhaanaa khvaab hai dekhiye to ik balaa hai zindagi khaar hon jis par ziyaada phuul kam ek aisaa raasta hai zindagi zahr hai haq mein kisi ke aur kahin chashma-e-aab-e-baqaa hai zindagi koi kuchh to koi kuchh samjhaa ise ek anokhaa falsafa hai zindagi kaun jaane ye kahaan par khatm ho ik niraalaa silsila hai zindagi maut kyaa hai mahfil-e-aish-o-nishaat mehnat-o-juhd-e-baqaa hai zindagi"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool
Quote
"hazaaron ranj-o-gham de kar khushi ki baat karte hain hai khanjar aastin mein dosti ki baat karte hain paDein chhaale zabaan par ghair kaa jo naam bhi le lein ki ham to aap ke hain aap hi ki baat karte hain samajh mein kuchh nahin aataa hain divaane ki farzaane khudi mein ji rahe hain be-khudi ki baat karte hain koi ham saa na hogaa pyaas kaa maaraa zamaane mein samundar pi chuke aur tishnagi ki baat karte hain jo khud vaaqif nahin hain zindagaani ki haqiqat se vahi ham se usul-e-zindagi ki baat karte hain junun-parvarda logon mein junun ki baat hoti hai khirad ke paasbaan to aagahi ki baat karte hain kiyaa karte hain murda-dil hamesha maut ki baatein jo zinda-dil hain vo to zindagi ki baat karte hain"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool
Quote
"guzrein phir ek haadsa-e-khun-chakaan se ham ai dost aisaa hausla laaein kahaan se ham har din hain mushkilaat o masaail nae nae shaayad guzar rahe hain kisi imtihaan se ham paidaa ho kaise jazba-e-taskhir-e-kaaenaat aazaad hi na ho sake vahm-o-gumaan se ham apne liye jo baais-e-sad-iftikhaar thi ab us ghaDi ko DhunD ke laaein kahaan se ham rahzan kaa khauf chhoDiye pahle ye sochiye khud ko bachaa ke kaise rakhein paasbaan se ham kaise alag kareingi zamaane ki gardishein hindostaan hai ham se to hindostaan se ham 'maqbul' kyaa karein ki tabiat hai haq-pasand mahzuz hone vaale nahin daastaan se ham"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool
Quote
"chhupaa har chand teraa dard-e-pinhaan ham samajhte hain ki sach hai ahl-e-gham hi dusron kaa gham samajhte hain koi ham saa na hogaa chaahne vaalaa tujhe hamdam namak-paashi ko teri zakhm kaa marham samajhte hain mufakkir falsafi sciencedaan jo bhi samajhte hon jahaan ko ham maaal-e-laghzish-e-aadam samajhte hain kabhi naazuk masaail par na karnaa guftugu un se nae fitne jagaayaa karte hain jo kam samajhte hain har afsaane mein hai pinhaan mire gham kaa koi pahlu tabhi to sab mire gham ko gham-e-aalam samajhte hain"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool
Quote
"kisi ne kah di koi baat haq maa'lum hotaa hai tabhi chehre kaa tere rang faq maa'lum hotaa hai sahifa zindagaani kaa bahut aasaan nazar aaya magar jab paDhne baiThun to adaq maa'lum hotaa hai jahaan ke daftar-e-gham ki haqiqat hi hai kyaa vo to hamaare dard-e-dil kaa ik ramaq maa'lum hotaa hai haqiqat mein lahu hai vo shahidaan-e-mohabbat kaa kanaar-e-charkh jo rang-e-shafaq maa'lum hotaa hai nami hai aansuon ki khun-chakaan alfaaz hain saare ye meri hi kahaani kaa varaq maa'lum hotaa hai"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool
Quote
"har lamha karb-o-dard-o-gham-o-iztiraab mein yaa'ni miri hayaat hai paiham 'azaab mein ab dil hamaaraa ban gayaa khushiyon kaa maqbara hai dafn har khushi isi khaana-kharaab mein sadqe hazaar jaan se lutf-e-sukun-o-aish us lutf par jo paa liyaa hai iztiraab mein gahraai-e-nazar ho to nazzaara sahl hai varna har ek chiiz chhupi hai naqaab mein is atomi zamaane ki saughaat hai yahi hai ek ik nafas zad-e-qahr-o-itaab mein 'maqbul' kyaa maqaam-e-shahid-e-vafaa hai dekh aab-e-hayaat paa liyaa hai zahr-e-naab mein"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool
Quote
"hazaaron ranj-o-gham de kar khushi ki baat karte hain hai khanjar aastin mein dosti ki baat karte hain paDein chhaale zabaan par ghair kaa jo naam bhi le lein ki ham to aap ke hain aap hi ki baat karte hain samajh mein kuchh nahin aataa hain divaane ki farzaane khudi mein ji rahe hain be-khudi ki baat karte hain koi ham saa na hogaa pyaar kaa maaraa zamaane mein samundar pi chuke aur tishnagi ki baat karte hain jo khud vaaqif nahin hain zindagaani ki haqiqat se vahi ham se usul-e-zindagi ki baat karte hain junun-parvarda logon mein junun ki baat hoti hai khirad ke paasbaan to aagahi ki baat karte hain kiyaa karte hain murda-dil hamesha maut ki baatein jo zinda-dil hain vo to zindagi ki baat karte hain"
Maqbool Ahmad MaqboolMaqbool Ahmad Maqbool