SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMazhar Imam(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tujhe bhi jaanchte apnaa bhi imtihaan karte kahin charaagh jalaate kahin dhuaan karte kai the jalva-e-naayaab tujh se pahle bhi kis aasre pe tiraa naqsh jaavedaan karte safina Duub rahaa thaa to kyuun na yaad aayaa tiri talab tire armaan ko baadbaan karte mohabbatein bhi tiri hain shikaayatein bhi tiri yaqin tujh pe na hotaa to kyuun gumaan karte havaa thi tez jalaate rahe dilon mein charaagh kaTi hai umr lahu apnaa raaegaan karte vo be-jhahat kaa safar thaa savaad-e-shaam na subh kahaan pe rukte kahaan yaad-e-raftagaan karte dayaar-e-khvaab mein Thahre hisaar-e-gul mein rahe magar ye gham hi rahaa khud ko shaadmaan karte"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"fusun-e-harf le gayaa tilism-e-khvaab le gayaa varaq-varaq usi kaa thaa vahi kitaab le gayaa abhi nigah jhuki na thi ki main ne honT rakh diye savaal vo na kar sakaa magar javaab le gayaa mujhe pata thaa raah mein charaagh jal na paaegaa vahaan gayaa to apne saath maahtaab le gayaa miri azal ki tishnagi bujhaa gayaa vo narm-dil nashaat-e-aab de gayaa gham-e-saraab le gayaa thaa dekhne mein saada-ru magar baDaa zahin thaa mujhe gunaahgaar kar ke vo savaab le gayaa nigaah-e-imtiyaaz kaa shikaar main huaa 'imaam' yahaan vo khaar de gayaa vahaan gulaab le gayaa"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"koson duur kinaaraa hogaa kashti hogi dariyaa hogaa paas tumhein ho tum hi bataao koi mujh saa tanhaa hogaa aao aur qarib aa jaao vaqt bhi rasta taktaa hogaa tum se hasin to aur bhi honge lekin koi tum saa hogaa ab to kuchh bhi yaad nahin hai ham ne tum ko chaahaa hogaa ham ne garebaan chaak kiyaa thaa ham ko hi khud siinaa hogaa jab ham teraa naam na leinge vo bhi ek zamaanaa hogaa vo bhi ek haqiqat hogi jis kaa naam fasaana hogaa kal ki fikr kahaan tak kiije aur buraa ab kitnaa hogaa haan vo 'imaam' ik rusvaa shaaer tum ne us ko dekhaa hogaa"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"pas-ghubaar-e-havas raat Dhalti rahti hai nashe mein chuur pighalti machalti rahti hai khabar yahi hai ki aaghosh-e-hijr mein pahron tumhaari yaad bhi pahlu badalti rahti hai ye main ne dekhaa hai aksar phaTi puraani hayaat sar-e-daricha-e-shab haath malti rahti hai qafas se ham bhi nikalne ko kab se hain be-taab magar vo saaat-e-aakhir jo Talti rahti hai vo rang rang bahaaraan hai khultaa rahtaa hai vo shaakh shaakh samar-var hai phalti rahti hai hai ek kaar-e-ziyaan shahr shahr dar-badari magar yahi ki tabi'at bahalti rahti hai"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"taaron se bhari raahguzar le ke gai hai ye subh charaaghon kaa nagar le ke gai hai tum ko to pata hogaa ki hamraah tumhin the duniyaa mire khvaabon ko kidhar le ke gai hai pyaase the to paani ko pukaaraa thaa hamin ne naddi idhar aai hai to ghar le ke gai hai ik manzil-e-be-maqsad o be-naam ki khvaahish kaanTon ki savaari pe safar le ke gai hai be-baal-o-pari ab bhi sar-e-dasht hai mahfuz aandhi to faqat barg o samar le ke gai hai shaayad ki ab aae tiri qurbat ki nai fasl is baar duaa baab-e-asar le ke gai hai chamkegaa abhi zevar-e-shahzaadi-e-mahtaab us tak vo mire shab ki khabar le ke gai hai"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"harf-e-dil naa-rasaa hai tire shahr mein har sadaa be-sadaa hai tire shahr mein koi khushbu ki jhankaar suntaa nahin kaun saa gul khilaa hai tire shahr mein kab dhanak so gai kab sitaare bujhe koi kab sochtaa hai tire shahr mein ab chanaaron pe bhi aag khilne lagi zakhm lau de rahaa hai tire shahr mein jitne patte the sab hi havaa de gae kis pe takiya rahaa hai tire shahr mein ek dard-e-judaai kaa gham kyaa karein kis maraz ki davaa hai tire shahr mein ab kisi shahr ki chaah baaqi nahin dil kuchh aisaa dukhaa hai tire shahr mein"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"sar-e-ihaata-e-gham raat bhar sanvarnaa thaa tiri judaai mein kaar-e-hunar bhi karnaa thaa ufuq qarib thaa himmat ki surkh-rui kaa lahu mein Duub ke dariyaa ko paar utarnaa thaa hamein thi kaun si sajde ki aarzu tum se magar duaa mein kabhi ham ko yaad karnaa thaa agar main barg-e-sahar huun to tum ko thoDi der misaal-e-qatra-e-shabnam yahaan Thaharnaa thaa javaab kaa to pata thaa hamein magar phir bhi lab-e-savaal milaa thaa savaal karnaa thaa vo log saahil-e-shab par bikhar gae kaise unhein to aaina-e-subh mein sanvarnaa thaa"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"us ki aankhon mein tamannaa-e-sahar rakh denaa sina-e-shab mein kisi baat kaa Dar rakh denaa aaj guzregaa isi samt se vo mahr-e-badan dil ke raste mein zaraa chand shajar rakh denaa ye na kahnaa ki andheraa hai bahut raahon mein us se milnaa to hatheli pe qamar rakh denaa us ko ashaar sunaanaa to karaamaat ke saath apne TuuTe hue lafzon mein asar rakh denaa vaardaatein to kai shahr mein guzri hongi aaj akhbaar mein meri bhi khabar rakh denaa jis varaq par hai hadis-e-lab-o-rukhsaar raqam us varaq par koi barg-e-gul-e-tar rakh denaa ek mahtaab darakhshaan hai sar-e-baam-e-khayaal meri aankhon mein bhi nairang-e-nazar rakh denaa laala-e-sang se taraashe vo koi paikar-e-sang dast-e-sannaa mein ik ye bhi hunar rakh denaa"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"chupke chupke ye kaam kartaa jaa kaam sab kaa tamaam kartaa jaa ham ko badnaam kar zamaane mein kuchh zamaane mein naam kartaa jaa yaad ki shaah-raah-e-simin par ai saman-bar khiraam kartaa jaa ai ki teraa mizaaj shabnam saa barg-e-dil par qayaam kartaa jaa ashk aankhon mein le ke rukhsat ho meraa marnaa haraam kartaa jaa bastiyon kaa ujaDnaa basnaa kyaa be-jhijak qatl-e-aam kartaa jaa daastaan-go tiri kahaani mein ramz kiyaa hai kalaam kartaa jaa chaar chhai sher kaam ke kah le kuchh to 'mazhar--imaam' kartaa jaa"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"ham yahi soch rahe the ki samandar na rahe mauja-e-dil ne kahaa uTh ke shanaavar na rahe us ne himmat jo baDhaai to rakhaa ye bhi lihaaz koi buzdil na bane koi dilaavar na rahe us ne is tarh utaari mire gham ki tasvir rang mahfuz to rah jaaein pa manzar na rahe us ne kis naaz se bakhshi hai mujhe jaa-e-panaah yuun ki divaar salaamat ho magar ghar na rahe ab ye saazish hai ki likkhe na koi qissa-e-dil lafz rah jaaein magar koi sukhanvar na rahe apne bigDe hue chehron ko bhulaa dein sab log jashn-e-aaina mane haathon mein patthar na rahe ab ke aandhi bhi chali jab to saliqe se chali yuun ki rah jaae shajar shaakh-e-samar-var na rahe"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"ajiib vaaqia thaa us ko apne ghar laanaa kabhi charaagh uThaanaa kabhi qamar laanaa bayaan-e-ijz mein alfaaz-e-mo'atabar laanaa baDaa kamaal duaaon mein hai asar laanaa bahut hai aaj tamannaa uDaan bharne ki qafas se jaa ke hamaare shikasta par laanaa thake hue hain sabhi paaemaal raahon par kahin se DhunD ke phir taaza rah-guzar laanaa vo shokh rang kaa shaidaa hai ye khayaal rahe qarib aanaa to khud ko lahu mein tar laanaa bas ek kaam huaa ham se zindagi mein 'imaam' ayaagh-e-umr sharaab-e-ziyaan se bhar laanaa"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"hamin hain vo ki jinhein baam-o-dar se raghbat thi ki dar-ba-dar bhi agar the to ghar se raghbat thi ham apne haal-e-digar-gun ki ab khabar kyaa dein khabar yahi hai ki ik be-khabar se raghbat thi jabin pe khaak-e-nadaamat sajaae phirte hain ki raqs-e-shoala-e-sarv-o-sharar se raghbat thi shikasta-paa hi nahin ham shikasta-khvaab bhi hain ki qaafile se fazaa-e-safar se raghbat thi ab ek manzil-e-aakhir ke muntazir hain ham vo din bhi the ki kisi rahguzar se raghbat thi dhuli dhulaai hui zindagi ko kyaa maalum ki ik chakor ko daagh-e-qamar se raghbat thi"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"kis samt jaa rahaa hai zamaana kahaa na jaae uktaa gae hain log fasaana kahaa na jaae apnaa makaan ujaaD ke sahraaon ki taraf vo shakhs kyuun huaa hai ravaana kahaa na jaae lamhon ki tarah guzri hain sadiyaan to baar-haa ik pal banaa hai kaise zamaana kahaa na jaae shoale bane hain lafz to kaanTaa hui zabaan ab kyaa karein jo teraa fasaana kahaa na jaae hai aankh ufuq pe barf ki surat jami hui shab hogi kab sahar kaa nishaana kahaa na jaae kahne ko ye ghazal hai magar kyaa ghazal jise nauha kahaa na jaae taraana kahaa na jaae"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"bharaa huaa tiri yaadon kaa jaam kitnaa thaa sahar ke vaqt taqaazaa-e-shaam kitnaa thaa rukh-e-zavaal pe rang-e-davaam kitnaa thaa ki ghaT ke bhi miraa maah-e-tamaam kitnaa thaa thaa tere naaz ko kitnaa miri anaa kaa khayaal miraa ghurur bhi teraa ghulaam kitnaa thaa jo pau phaTi to har ik daastaan tamaam hui ajab ki un ke liye ehtimaam kitnaa thaa unhin ko yaad kiyaa jab to kuchh na yaad aayaa vo log jin kaa zamaane mein naam kitnaa thaa abhi shajar se judaai ke din na aae the pakaa huaa thaa vo phal phir bhi khaam kitnaa thaa vahaan to koi na thaa ek apne gham ke sivaa mire makaan pe magar izhdihaam kitnaa thaa"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"haath uThte hi kaTaa chaliye yahaan se chaliye kyaa duaa kaisi duaa chaliye yahaan se chaliye baaz hai koi daricha na koi dar hai khulaa koi jalva na adaa chaliye yahaan se chalein us ke ghar par bhi vahi shahr-e-khamoshaan kaa samaan koi aahaT na sadaa chaliye yahaan se chaliye khvaab khushbu-e-talab rang-e-havas naaz-e-vafaa saaraa sarmaaya gayaa chaliye yahaan se chaliye koi saaya na shajar koi tamannaa na umang uD gai sar se ridaa chaliye yahaan se chaliye is chakaa-chaund mein sikkon ki parakh kyaa hogi koi khoTaa na kharaa chaliye yahaan se chaliye doston hi ke qabile mein ye kohraam nahin dushmanon ne bhi kahaa chaliye yahaan se chaliye"
Mazhar ImamMazhar Imam
Quote
"hai bhare darakhton ke baavajud ban tanhaa roz-o-shab ke hangaame phir bhi anjuman tanhaa ratjagon ke vo saathi kis jahaan mein baste hain kyaa hamin tak aaegi subh ki kiran tanhaa zulf ki hasin raatein kis pe saya-afgan hain mere ghar tak aai hai bu-e-yaasaman tanhaa teri yaad ne uTh kar mujh se kal ye puchhaa thaa apne gham ke sahraa mein jaa sakoge tan-tanhaa kuchh kami na thi dil ki kucha-e-mohabbat mein ek ham hi aae the le ke jaan-o-tan tanhaa haae ye shab-e-vaa'da dil kaa haal kyaa kahiye hajla-e-urusi mein jis tarah dulhan tanhaa thi khudaa ki shirkat bhi varna bojh nafrat kaa kis tarah uThaa paae shaikh-o-barhaman tanhaa"
Mazhar ImamMazhar Imam