Quote
"zarurat niinv ki hoti hai dar se baam se pahle mohabbat ruuh karti hai sadaa ajsaam se pahle mukammal ho ye chaahat bhi na ho kohraam bhi koi khudaa ham ko mile manzil yahaan ayyaam se pahle dayaar-e-ghair mein ham ko sataati yaad maazi ki taDaptaa dil miraa kunj-e-qafas mein shaam se pahle na kaanTon ki hukumat ho na khanjar ho kisi ke haath tamanna hai nazaaraa ho yahi anjaam se pahle taraashaa thaa rubaa'i ko bahut logon ne pahle bhi na thi is mein kabhi zinat magar khayyaam se pahle nikal kar jab chali vo to use maan ne hidaayat di ki vaapas lauTnaa beTi to ghar par shaam se pahle huun nasl-e-'mir' se mujh ko sukhan ke hain adab maa'lum sadaa luun naam 'ghaalib' kaa kisi bhi naam se pahle dhaDaktaa dil hamaaraa hai na qaasid ab talak aaya mohabbat miT na jaae ye tire paighaam se pahle mujhe dushman na samjho tum main sachchaa dost huun 'minaa' zaraa kuchh puchh to lete khayaal-e-khaam se pahle"







