SHAWORDS

jo luT chukaa hai ab vo sammaan DhunDhti hai — Meena Bhatt

HomeMeena BhattGhazal
"jo luT chukaa hai ab vo sammaan DhunDhti hai nannhi kali chaman mein muskaan DhunDhti hai kaanTon ke vaaste vo gul-daan DhunDhti hai naadaan hai jahaan mein insaan DhunDhti hai bebas hai zindagi aur gardish mein bhi sitaare ab maut kaa vo apne parvaan DhunDhti hai DhunDhe nahin vo hiiraa DhunDhe nahin vo moti jiine kaa bas jahaan mein saamaan DhunDhti hai jazbaat hi nahin kuchh jab shaa'iri mein teri 'minaa' kalaam mein kyaa arkaan DhunDhti hai"
Urdu

جو لٹ چکا ہے اب وہ سمان ڈھونڈھتی ہے ننھی کلی چمن میں مسکان ڈھونڈھتی ہے کانٹوں کے واسطے وہ گلدان ڈھونڈھتی ہے نادان ہے جہاں میں انسان ڈھونڈھتی ہے بے بس ہے زندگی اور گردش میں بھی ستارے اب موت کا وہ اپنے پروان ڈھونڈھتی ہے ڈھونڈھے نہیں وہ ہیرا ڈھونڈھے نہیں وہ موتی جینے کا بس جہاں میں سامان ڈھونڈھتی ہے جذبات ہی نہیں کچھ جب شاعری میں تیری میناؔ کلام میں کیا ارکان ڈھونڈھتی ہے

Hindi

जो लुट चुका है अब वो सम्मान ढूँढती है नन्ही कली चमन में मुस्कान ढूँढती है काँटों के वास्ते वो गुल-दान ढूँढती है नादान है जहाँ में इंसान ढूँढती है बेबस है ज़िंदगी और गर्दिश में भी सितारे अब मौत का वो अपने परवान ढूँढती है ढूँढे नहीं वो हीरा ढूँढे नहीं वो मोती जीने का बस जहाँ में सामान ढूँढती है जज़्बात ही नहीं कुछ जब शा'इरी में तेरी 'मीना' कलाम में क्या अरकान ढूँढती है

jo luT chukā hai ab vo sammān DhūñDhtī hai
Meena Bhatt
Meena Bhatt
Meena Bhatt
poet8 quotes

More by Meena Bhatt

View all →
Quote
"zarurat niinv ki hoti hai dar se baam se pahle mohabbat ruuh karti hai sadaa ajsaam se pahle mukammal ho ye chaahat bhi na ho kohraam bhi koi khudaa ham ko mile manzil yahaan ayyaam se pahle dayaar-e-ghair mein ham ko sataati yaad maazi ki taDaptaa dil miraa kunj-e-qafas mein shaam se pahle na kaanTon ki hukumat ho na khanjar ho kisi ke haath tamanna hai nazaaraa ho yahi anjaam se pahle taraashaa thaa rubaa'i ko bahut logon ne pahle bhi na thi is mein kabhi zinat magar khayyaam se pahle nikal kar jab chali vo to use maan ne hidaayat di ki vaapas lauTnaa beTi to ghar par shaam se pahle huun nasl-e-'mir' se mujh ko sukhan ke hain adab maa'lum sadaa luun naam 'ghaalib' kaa kisi bhi naam se pahle dhaDaktaa dil hamaaraa hai na qaasid ab talak aaya mohabbat miT na jaae ye tire paighaam se pahle mujhe dushman na samjho tum main sachchaa dost huun 'minaa' zaraa kuchh puchh to lete khayaal-e-khaam se pahle"
Meena BhattMeena Bhatt
Quote
"raah-e-ulfat se pareshaan kidhar jaataa hai apni manzil se bhi anjaan kidhar jaataa hai jhuuT se haar ke naadaan kidhar jaataa hai maar ke apnaa tu imaan kidhar jaataa hai bik rahaa huun sar-e-baazaar tiri sharton par de ke mujh ko tu ye nuqsaan kidhar jaataa hai teri yaadon kaa uThaa thaa jo mire siine se dekhnaa hai ki vo tufaan kidhar jaataa hai main isi soch mein uljhi huun baDi muddat se baa'd marne ke ye insaan kidhar jaataa hai mai-kada bhi hai teraa ghar bhi sanam-khaane bhi aazmaanaa hai ki ab dhyaan kidhar jaataa hai nekiyaan chhoD ke jis ne jo kamaayaa 'minaa' dekhiye le ke vo saamaan kidhar jaataa hai"
Meena BhattMeena Bhatt
Quote
"mohabbat mein milaa mujh ko hamesha gham kaa nazraana kahein kyaa gham hi detaa hai mire hamdam kaa nazraana chhanTi jo tirgi aai sahar qudrat bhi muskaai diyaa hai bhor ne har phuul ko shabnam kaa nazraana bahaaron ke kahaan din hain hamaari zindagi mein ab hamein haasil huaa hai dard ke mausam kaa nazraana hamaari har ghazal mein nuur phailaa hai tumhaaraa hi khushi kaa yaa kaho is ko gham-e-pur-nam kaa nazraana kisi se puchh kar dekho yahi 'minaa' kahegaa vo hamesha baanTte rahte hain ham marham kaa nazraana"
Meena BhattMeena Bhatt
Quote
"aashiqon ki bhiiD mein bhi saaf pahchaane gae sham' jab raushan hui marne ko parvaane gae shodh karne ke liye jab log pahunche chaand par ham bhi mangal tak tirangaa yaar lahraane gae 'ishq mein is hausle ki daad ham ko aap dein jab unhon ne chaand maangaa aasmaan laane gae yuun shahidon vaalaa jazba bhi hamaare dil mein thaa vaqt jab aaya khud apnaa shish kaTvaane gae khvaab ham ne yuun to dekhe aasmaan se bhi baDe par hamesha hi zamin ke naam se jaane gae dil se apne thaa vo muflis ham samajh paae nahin khud tamaasha hi bane jo haath phailaane gae 'ishq mein naakaam honaa hi faqat taqdir thi ham jahaan pahunche hamaare saath viraane gae dard hai 'minaa' milaa aisaa davaa jis ki nahin DhunDhne phir bhi davaa ham roz maikhaane gae"
Meena BhattMeena Bhatt
Quote
"tumhaare husn mein ab chaand si cham-cham nahin hoti tumhaari paayalon mein pahle si chham-chham nahin hoti kabhi bhi dard ke sur mein hasin sargam hai naa-mumkin kabhi sho'lon ki zad mein makhmali shabnam nahin hoti na jaane kitne mujh ko zakhm ulfat mein mile lekin kisi bhi ranj-o-gham se aankh meri nam nahin hoti siyaasi pech-o-kham toDo banaa lo desh ko jannat vijay haasil kabhi shamshir se jaanam nahin hoti ham un ki yaad ke dipak jalaate roz hain 'minaa' hamaare dil mein un ke pyaar ki lau kam nahin hoti"
Meena BhattMeena Bhatt
Quote
"khojtaa phirtaa huun par miltaa nahin dil kaa pata koi aa kar to bataa de mujh ko manzil kaa pata roz-o-shab chalti havaa dekho mukhaalif hai magar bhuul sakti hi nahin ghazlein to mahfil kaa pata zindagi kaa bhi safar aasaan to hotaa hi nahin hausle mere hi deinge mujh ko manzil kaa pata hasratein dil mein machalne lag gaiin didaar ki teri aankhon se milaa ulfat ke haasil kaa pata us ki majburi to koi bhi samajhtaa hi nahin ab to rakhtaa hi nahin koi bhi saail kaa pata ziist ke majdhaar mein 'minaa' ki kashti hai abhi kyaa kareinge DhunDh kar ab ham bhi saahil kaa pata"
Meena BhattMeena Bhatt

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar