Quote
"aap ko gardish-e-ayyaam se Dar lagtaa hai aur hamein 'ishq ke anjaam se Dar lagtaa hai chashm-e-saaqi ke ishaare mein nihaan kyaa shai thi hasrat-e-baada-e-gulfaam se Dar lagtaa hai zer-e-lab un ke tabassum se sukun maang to luun apni hi jurat-e-naakaam se Dar lagtaa hai naam jo aaTh-pahr vird-e-zabaan rahtaa thaa ab ye vahshat hai usi naam se Dar lagtaa hai hazrat-e-khizar se thi raahbari ki khvaahish ab usi khvaahish-e-naakaam se Dar lagtaa hai manzilein 'ishq ki be-khauf-o-khatar tai kiin hain ab ye 'aalam hai ki har gaam se Dar lagtaa hai kyuun vazifa sahar-o-shaam kiyaa tark 'safir' kyuun khyaal-e-sahr-o-shaam se Dar lagtaa hai"
M
Mohammad Abbas Safiir






