SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mire vajud ki qaaem asaas rahne de zamin ke jism pe koi libaas rahne de miri tamaam khushi khush-dili se le jaa tu jo tere gham hain vo sab mere paas rahne de mujhe to piinaa hai aankhon se teri ji-bhar kar tu mere saamne khaali gilaas rahne de kabhi kabhi mujhe tanhaaiyon mein chhoD bhi de kabhi kabhi to mujhe bhi udaas rahne de ye talkh lahja tiraa dil ko kar na de ghaayal zabaan-o-lab pe zaraa si miThaas rahne de main tujh se duur bahut ho ke ji na paaungaa tujhe qasam hai mujhe apne paas rahne de tu meri pyaas ki shiddat bujhaa nahin sakti ai chashm-e-mast mire lab ki pyaas rahne de ta'alluqaat na kar tark apne 'shaadaan' se kabhi-kabhaar to milne ki aas rahne de"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"mansub un se aaj miri zaat ho gai yaa'ni hayaat-e-nau ki shuruaat ho gai naakaami-e-mohabbat-e-jaanaan ke saath saath khud zindagi bhi nazr-e-kharaabaat ho gai un ki taraf se jo bhi mujhe gham 'ataa huaa mere liye khushi ki vo saughaat ho gai phir dil mein us ki yaad ke baadal umaD paDe phir aansuon ki aankh se barsaat ho gai mahrum ho gayaa huun payaam-e-visaal se kyaa jaane kyaa khataa hui kyaa baat ho gai 'shaadaan' miri hayaat bhi pur-nur thi magar kyaa jaane kab ye paikar-e-zulmaat ho gai"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"baar-e-gham-e-hayaat ko sar par sameT kar ai dost pheink aaya huun yaksar sameT kar bezaar zindagi se ye kar degi ek din rakhnaa zaruriyaat ki chaadar sameT kar maange hai buund buund samandar se ab vahi rakhtaa thaa kal talak jo samandar sameT kar baad-e-khizaan ne baagh ko taaraaj kar diyaa sab le gai bahaar kaa manzar sameT kar ji chaahtaa hai aap ke daaman mein Daal duun laayaa huun jo chaman se gul-e-tar sameT kar sarmaaya-e-hayaat hai 'shaadaan' mire liye rakkhaa hai us ki yaad ko andar sameT kar"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"pal mein karti hain be-khabar aankhein hain 'ajab teri jaadugar aankhein mere bin tum bhi rah na paaoge jaao mujh se na pher kar aankhein jaane kyaa kyaa bayaan karti hain aansuon se ye tar-ba-tar aankhein aap tashrif to kabhi laaein ham bichhaaein zamin par aankhein dil ki tah mein utar gayaa hai vo meri aankhon mein Daal kar aankhein band aankhon mein khvaab aate hain khvaab dekho na khol kar aankhein ab kahaan aansuon ki aamad hai ab to 'shaadaan' hain khuun se tar aankhein"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"mujhe in sang-rezon ko guhar karnaa bhi aataa hai shab-e-taarik ko nur-e-sahar karnaa bhi aataa hai hamaari khaamushi bhi maslahat ke taht hai varna zamaane ko hamein zer-o-zabar karnaa bhi aataa hai zamaana chhin le ye aish-e-duniyaa bhi to kyaa gham hai mujhe to be-sar-o-saamaan guzar karnaa bhi aataa hai vo apni manzil-e-maqsud ik din paa hi jaate hain jinhein dushvaar raahon mein safar karnaa bhi aataa hai khushi ki chhaanv mein rahne ke ham aadi to hain lekin ghamon ki dhuup mein 'shaadaan' basar karnaa bhi aataa hai"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"ilzaam be-sabab na kisi par dharaa karein tahqiq apne taur pe bhi kar liyaa karein khud hi ghubaar-e-raah dikhaaeinge raasta paidaa to aap dil mein zaraa hausla karein rukhsaar-o-lab ki baat bahut ho chuki hai ab haalaat-e-haazira pe koi tabsira karein ye baat doston ko bhi guzregi naagavaar izhaar-e-dushmani na kabhi barmalaa karein Tal jaati hain musibatein is kaar-e-khair se mohtaajon be-navaaon ko sadqa diyaa karein nafrat ki tirgi ko miTaane ke vaaste har chaar samt pyaar kaa raushan diyaa karein dil mein na ho khulus to be-sud hai miyaan din-raat aap laakh ibaadat kiyaa karein 'shaadaan' qadam qadam pe ye deti rahi fareb ham zindagi ke saath kahaan tak vafaa karein"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"ThanDi havaa chali to ghuTan aur baDh gai suraj ke Dubte hi tapan aur baDh gai tark-e-taalluqaat se dil muztarib to thaa tum ghair se mile to jalan aur baDh gai dil ko na kuchh malaal thaa kaanTon ke zakhm se phulon ke tazkire se chubhan aur baDh gai jab rutba-e-buland milaa aap ke tufail maathe ke tazkire se chubhan aur baDh gai tausif teri sun ke zabaan-e-raqib se milne ki tujh se dil mein lagan aur baDh gai barson safar ke baad bhi manzil na jab mili himmat gai badan ki thakan aur baDh gai phulon ke saath dekh kar us kaa buraa suluk 'shaadaan' ke dil mein fikr-e-chaman aur baDh gai"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"vo ik shajar jise ajdaad ne lagaayaa thaa usi ko kaaT diyaa jis kaa sar pe saaya thaa vo baat baat mein phir aaj mujh se ruuTh gayaa baDe hi pyaar se jis ko manaa ke laayaa thaa vo ham-navaa thaa hamaaraa vo koi ghair na thaa jo ghar mein aag hamaare lagaane aaya thaa vahi to aaj hamaare paDaa huaa hai gale baDe khulus se jis ko gale lagaayaa thaa hamaare sher ko aksar vo paDhtaa rahtaa hai jo be-khudi mein kabhi ham ne gungunaayaa thaa hamein vo yaad hai ab tak sabaq mohabbat kaa ki harf harf jise aap ne paDhaayaa thaa agar qusur nahin thaa koi havaaon kaa to phir charaag ko kis ne mire bujhaayaa thaa vo aaj haath se mere nikal gayaa 'shaadaan' ki jis ko main ne mashaqqat ke baad paayaa thaa"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"hai jis ke dil mein khudaa ki dahshat use kahaan hai qazaa ki dahshat mire charaaghon mein hausla hai Daraaegi kyaa havaa ki dahshat vo zaabta koi zaabta hai chhupi ho jis mein anaa ki dahshat ham haq ko apne zarur leinge nahin hai teri sazaa ki dahshat qadam qadam tum sanbhal ke chalnaa hai is nagar mein balaa ki dahshat azaab jaisaa hai zard mausam gulon mein phir hai fanaa ki dahshat chhupaae phirte hain munh andhere hai un mein kitni ziyaa ki dahshat khamosh ab bhi hain mere dushman hai un pe taari sadaa ki dahshat yazidiyon ke dilon mein 'shaadaan' hai aaj bhi karbalaa ki dahshat"
M
Mohammad Ismail Shadan
Quote
"sachchaa banaa diyaa kabhi jhuTaa banaa diyaa us bevafaa ne mujh ko jo chaahaa banaa diyaa us kohkan ko ahl-e-junun mein karo shumaar jis ne pahaaD kaaT ke rasta banaa diyaa zaalim ne har maqaam pe rusvaa kiyaa mujhe meri vafaa ko us ne tamaashaa banaa diyaa bas dekhte hi dekhte baad-e-sumum ne shabnam ko ret phuul ko kaanTaa banaa diyaa husn-e-karishma-saaz kaa ye bhi kamaal dekh patthar ko chhu ke haath se laala banaa diyaa qadd-aavari pe naaz jo kartaa thaa kal talak dekh aaj us ko vaqt ne baunaa banaa diyaa 'shaadaan' ye us ki zaat se shikva fuzul hai aisaa banaa diyaa mujhe vaisaa banaa diyaa"
M
Mohammad Ismail Shadan