SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"judaai ke alam sahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa kisi ko alvidaaa kahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa mohabbat ke maraahil hon yaa maidaan-e-adaavat ho kabhi jazbaat mein bahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa vo itnaa khubsurat hai ki us ke jism par saj kar koi zevar koi gahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa suno manzur hain ab to mujhe naa-haq sazaaein bhi sadaa mulzim bane rahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa rifaaqat ke maaani jis ne samjhaae mujhe barson ab us ko bevafaa kahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa miraa to silsila hai khirqa-poshon ke qabile se mujhe mat khilatein pahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa kinaaron ki alag hi baat hoti hai 'naim' apni jaziron par sadaa rahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa judaai ke alam sahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa kisi ko alvidaaa kahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa mohabbat ke maraahil hon yaa maidaan-e-adaavat ho kabhi jazbaat mein bahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa vo itnaa khubsurat hai ki us ke jism par saj kar koi zevar koi gahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa suno manzur hain ab to mujhe naa-haq sazaaein bhi sadaa mulzim bane rahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa rifaaqat ke maaani jis ne samjhaae mujhe barson ab us ko bevafaa kahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa miraa to silsila hai khirqa-poshon ke qabile se mujhe mat khilatein pahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa kinaaron ki alag hi baat hoti hai 'naim' apni jaziron par sadaa rahnaa mujhe achchhaa nahin lagtaa"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"sach zabaanon par ho to shaanon pe sar rahte nahin pattharon ke shahr mein shishe ke ghar rahte nahin chhoD kar mujh ko chalaa hai to pataa hogaa use reg-zaaron mein kabhi naazuk shajar rahte nahin chand lamhon ke liye milnaa hai bas un kaa nasib der tak shab aur suraj ham-safar rahte nahin koi kitnaa bhi ho pyaaraa ho hi jaataa hai judaa zakhm jitne bhi hon gahre 'umr bhar rahte nahin us ki aandhi ki tarah fitrat baDi pur-josh thi aise mausam mein diye hon yaa sharar rahte nahin yaa to ho jaao mire yaa chhoD do meraa khayaal darmiyaane se maraasim mo'atabar rahte nahin toD lenaa shaakh se khud un ko behtar hai 'na'im' der tak pak kar darakhton par samar rahte nahin"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"be-khabar hone se pahle ki khabar to dekhte Dubte suraj ki jaanib ik nazar to dekhte chheD kar zikr-e-judaai saamne us ke kabhi us ke chehre se huvaidaa us kaa Dar to dekhte dekhne us ko gali ki samt gar jaane ko the auj par betaabi-e-divaar-o-dar to dekhte jis ne milnaa hi nahin hai us ko paane ki talaash be-vajah kar ke kabhi koi safar to dekhte haath se chhu kar nahin to paas hi jaa kar use shahr mein utraa hai ik rashk-e-qamar to dekhte garmiyon mein dasht-e-hijraan kaa safar rakhnaa kabhi dhuup mein jal kar samar dete shajar to dekhte raat ki taarikiyon mein ghar se niklo to 'na'im' dekhte hain kis tarah se be-basar to dekhte"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"naaravaa thaa naa-munaasib thaa magar achchhaa lagaa bevafaa ik dushmanon ki pusht par achchhaa lagaa vo achaanak lauT aayaa toD kar rasm-e-firaaq garmiyon mein sard mausam kaa samar achchhaa lagaa lag gai shaayad mujhe aavaargi ki bad-duaa lauT kar ab ke main aayaa huun to ghar achchhaa lagaa har kisi se hans ke milnaa khush-dili se bolnaa meraa dushman hai magar us kaa hunar achchhaa lagaa ye mohabbat hai miri yaa us kaa hai koi kamaal jis qadar parkhaa use vo us qadar achchhaa lagaa aane vaale mausamon ki sakhtiyon ke zikr par us ke chehre par akele-pan kaa Dar achchhaa lagaa ab ke us ke qurb ki jannat bhi dekhi paas se ab ke mujh ko khvaab-zaaron kaa safar achchhaa lagaa mere baare mein mujhi se puchhtaa hai vo 'naim' is khabar ke daur mein ik be-khabar achchhaa lagaa"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"harim-e-zaat ki har rut manaae mere liye vo roe mere liye muskuraae mere liye zamaana us ko hamesha lagaae zakhm pe zakhm zamaana us ko hamesha sataae mere liye main shahr chhoD ke jaane ki jab bhi baat karun vo haath joD ke mujh ko manaae mere liye use kaho hai mohabbat mein shirk kufr-e-azim vo apnaa aap bhi ab bhuul jaae mere liye qadam qadam pe jalaataa rahun lahu ke charaagh qadam qadam pe vo maqtal sajaae mere liye usi ko shauq thaa sab se mujhe milaane kaa ab apni aankh kaa kaajal bahaae mere liye 'naim' us ko zarurat miri kabhi na paDe vo milne aae mujhe to bas aae mere liye"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"mire bachche mujhe meri baqaa ke istiaare hain ye meri zindagi ke chaand suraj aur taare hain ye ham ne kab kahaa hai tum hamaare hi hamaare ho yaqinan ye kahaa hai ham tumhaare hi tumhaare hain ajab ik silsila hai aag paani kaa mire andar miri aankhein ki dariyaa hain miri saansein sharaare hain kahaa to hai khushi teri to gham saare mohabbat ke hamaare hain hamaare hain hamaare hain hamaare hain hamaare paas vo ujDaa huaa har baar hi aayaa lab-o-rukhsaar-o-aariz baarhaa us ke sanvaare hain hai qimat in dinon joban pe pindaar-e-maraasim ki so girvi rakh ke jism-o-jaan ko ye qarze utaare hain 'naim' us ko mubaarakbaad us ki jiit par dil se use ye kyaa pataa hai kis tarah ham us se haare hain"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"vo harf-o-naqsh se khaali kitaab maangtaa hai savaal kartaa nahin hai javaab maangtaa hai main saaraa saal hi rakhtaa huun apne zakhm hare vo saaraa saal hi taaza gulaab maangtaa hai main reza reza ise TuuT kar dikhaataa huun vo lamhe lamhe kaa mujh se hisaab maangtaa hai sunaa hai us ki mohabbat hai maavaraa-e-hayaat so saaraa shahr hi marne ke khvaab maangtaa hai vo is tarah bhi parakhtaa hai doston kaa khulus ki but hai mom kaa aur aaftaab maangtaa hai har ek shakhs hai us ki karaamaton kaa asiir usi se hosh usi se sharaab maangtaa hai vo pahron ghurtaa rahtaa hai aainon ko 'na'im' jo kho chukaa hai vo 'ahd-e-shabaab maangtaa hai"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"had-e-imkaan khalaaon se pare maangtaa hai lafz vo apne khayaalon se baDe maangtaa hai roz hotaa hai hamesha ke liye mujh se judaa roz uTh kar vo tahajjud mein mujhe maangtaa hai ek arsa huaa is tark-e-maraasim ko magar ab bhi vo mujh se mohabbat ke sile maangtaa hai zindagi ishq-e-butaan mein hai guzaari jis ne ab vo mandir bhi farishton se bhare maangtaa hai ek TuuTi hui kashti kaa musaafir hai magar qulzum-e-dard kinaaron pe chaDhe maangtaa hai jo duaaon ko samajhtaa thaa ziyaan harfon kaa log laakhon vo janaaze mein khaDe maangtaa hai apne dushman se vo chhupne ke liye mujh se 'naim' apne bichhDe hue yaaron ke pate maangtaa hai"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"meraa afsaana judaa teri kahaani aur hai gham kaa raaja aur hai khushiyon ki raani aur hai farq lahjon kaa huaa kartaa hai lafzon kaa nahin hai alag shoala-fishaani khush-bayaani aur hai main to us ke bas mein huun muddat se huun us kaa asiir jiit hai taaza koi ye kaamraani aur hai naam le kar jis tarah us ne pukaaraa hai mujhe us ke is lahje se mujh ko khush-gumaani aur hai ab ke shaayad us pe bhi mushkil rahaa hijr-o-firaaq ab ke mehmaanon se tarz-e-mezbaani aur hai jaane kis ke lams ki ab ke tamannaa hai unhein in bahaaron mein gulaabon par javaani aur hai muskuraanaa to hai us ki aam si aadat 'naim' us ke izhaar-e-mohabbat ki nishaani aur hai"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"zakhm bhar jaae to phir dard kahaan rahtaa hai ujDi basti mein koi fard kahaan rahtaa hai rang har shaam-e-judaai kaa judaa hotaa hai sard mausam bhi sadaa sard kahaan rahtaa hai jaan dene ki jagah jaan na de paae to apne paanv pe khaDaa mard kahaan rahtaa hai dushman-e-jaan hai to ik roz use khulnaa hai koi lashkar ho pas-e-gard kahaan rahtaa hai dil mein aai ho agar surkh gulaabon ki bahaar rang chehron kaa bhalaa zard kahaan rahtaa hai jism saaraa hai masihaai kaa taalib ab to ik jagah jam ke tiraa dard kahaan rahtaa hai dil pe duniyaa ki mohabbat kaa ho qabza to 'naim' aadmi apnaa bhi hamdard kahaan rahtaa hai"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim
Quote
"phuul meri zaat ke sahraaon mein bo jaaegaa aane vaali baarishon mein vo miraa ho jaaegaa vo to ik darvesh hai shahr-e-vafaa ki khaak par hijr ki oDhegaa chaadar chain se so jaaegaa koi bhi martaa nahin hai marne vaale ke liye vo bhi sab ke saath aaegaa mujhe ro jaaegaa chaand taaron ki mohabbat zeb deti hai use bas ye khadsha hai khalaaon mein kahin kho jaaegaa vo agar barse to saari gard dasht-e-hijr ki ek pal mein tez baarish ki tarah dho jaaegaa ek kaa ban kar rahegaa to zamaana hai 'naim' bevafaa jis din huaa lamhon kaa vo ho jaaegaa"
Mohammad Naim Jawed NaimMohammad Naim Jawed Naim