Quote
"faqat yunhi to nahin naaz-aafrin hai vo miri nigaah se dekho bahut hasin hai vo hai misl-e-uqda miri zaat se vo paivasta jahaan-jahaan main nahin huun vahin vahin hai vo tum us ke rang-e-rukh-o-lab ki baat karte ho khud apni aatish-e-tevar se aatishin hai vo kabhi na sard huaa meri zaat kaa dozakh kisi ne sach hi kahaa hai jahannamin hai vo hai is asar se hi khun-rez chashm-e-naaz us ki ki muddaton se ragon mein panah-guzin hai vo vo kaise aaina-e-inhimaak mein aae ki lamha bhar ko bhi mujh se judaa nahin hai vo jab us ko dekh ke aataa hai yaad rab mujh ko to kyon kahun ki harif-e-khudaa-o-din hai vo vo jis tarah nazar-andaaz kar rahaa hai mujhe to lag rahaa hai ki ghaafil zaraa nahin hai vo miTaa chukaa huun sabhi naqsh us ke qadmon ke magar ye vahm hai ab bhi yahin kahin hai vo"







