SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMumtaz Mirza(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"zamaana guzraa hai tufaan-e-gham uThaae hue ghazal ke parde mein rudaad-e-dil sunaae hue hamin the jin se gunaah-e-vafaa huaa sarzad khaDe hain daar ke saae mein sar jhukaae hue hamaare dil ke sabhi raaz faash karte hain jhuki jhuki si nazar honT kapkapaae hue hamaare dil ke andheron kaa gham na kar hamdam hamaare dam se ye raste hain jagmagaae hue shumaar-e-roz-o-shab-o-maah kis ne rakkhaa hai hazaaron saal hue un ko dil mein aae hue guzarte rahte hain nazron se saari shab 'mumtaaz' hazaaron qaafile yaadon ke sar jhukaae hue"
Mumtaz MirzaMumtaz Mirza
Quote
"mire naalon mein itnaa to asar hai shab-e-gham hai magar kuchh mukhtasar hai ummidein laae the gham le ke uThe ye rudaad-e-hayaat-e-mukhtasar hai nahin hai duur kuchh manzil hamaari zamaana raah mein haail magar hai asiron ko rihaai mil to jaae magar shart-e-shikast-e-baal-o-par hai vo raahein jin ko suunaa kar gae vo unhin par aaj tak meri nazar hai jahaan tum ho vahaan hain laala o gul jahaan ham hain vahaan barq-o-sharar hai badal Daalaa hai jis ne meraa aalam kisi ki ik nigaah-e-mukhtasar hai ilaahi khair mere aashiyaan ki sabaa ke saath phir mauj-e-sharar hai mah o khurshid ko samjhaa hai manzil khudaayaa kis qadar aajiz bashar hai"
Mumtaz MirzaMumtaz Mirza
Quote
"hamaaraa raaz-daan koi nahin hai mohabbat ki zabaan koi nahin hai har ik ghuncha hai murjhaayaa huaa saa chaman mein baaghbaan koi nahin hai qafas se chhuT kar jaaein kahaan ham hamaaraa aashiyaan koi nahin hai kahaan jaaein ye darmaanda musaafir amir-e-kaarvaan koi nahin hai andhere raaste roke khaDe hain charaag-e-kaarvaan koi nahin hai hain pazhmurda tiri yaadon ki kaliyaan bahaar-e-jaavedaan koi nahin hai 'ibaarat hai hayaat-o-marg tum se hamaari daastaan koi nahin hai yahaan har jins bik jaati hai 'mumtaaz' sukhan kaa qadr-daan koi nahin hai"
Mumtaz MirzaMumtaz Mirza
Quote
"parda-e-zehn se saaya saa guzar jaataa hai jaise pal bhar ko miraa dil bhi Thahar jaataa hai teri yaadon ke diye jab bhi jalaataa hai ye dil husn kuchh aur shab-e-gham kaa nikhar jaataa hai hasratein dil ki mujassam nahin hone paatin khvaab banne nahin paataa ki bikhar jaataa hai raat bhige to ik anjaan saa benaam saa dard chaandni ban ke fazaaon mein bikhar jaataa hai raat kaaTe nahin kaTti hai kisi surat se din to duniyaa ke bakheDon mein guzar jaataa hai us ko bhi kahte hain 'mumtaaz' vafaa kaa naghma dil-e-betaab mein ghuT ghuT ke jo mar jaataa hai"
Mumtaz MirzaMumtaz Mirza
Quote
"tire qarib bhi dil kuchh bujhaa saa rahtaa hai gham-e-firaaq kaa khaTkaa lagaa saa rahtaa hai na jaane kab nigah-e-baaghbaan badal jaae har aan phulon ko dhaDkaa lagaa saa rahtaa hai hazaaron chaand sitaare nikal ke Duub gae nagar mein dil ke sadaa jhuTpuTaa saa rahtaa hai tumhaare dam se hain tanhaaiyaan bhi bazm-e-nashaat tumhaari yaadon kaa ik jamghaTaa saa rahtaa hai vo ik nigaah ki mafhum jis ke laakhon hain usi nigaah kaa ik aasraa saa rahtaa hai tumhaare ishq ne 'mumtaaz' kar diyaa dil ko ye sab se mil ke bhi sab se judaa saa rahtaa hai"
Mumtaz MirzaMumtaz Mirza
Quote
"be-tarah aap ki yaadon ne sataayaa hai mujhe chaandni raaton ne aa aa ke rulaayaa hai mujhe aap se koi shikaayat na zamaane se gila mere haalaat ne majbur banaayaa hai mujhe aaj phir auj pe hai apnaa muqaddar shaayad aaj phir aap ne nazron se giraayaa hai mujhe apne begaane hue aur zamaana dushman be-dimaaghi ne miri din ye dikhaayaa hai mujhe kaun se dasht mein le aayaa mujhe meraa junun muD ke dekhaa hai to kuchh khauf saa aayaa hai mujhe phir hue aaj baham jaam-e-gul o naghma-e-shab phir mire maazi ne 'mumtaaz' bulaayaa hai mujhe"
Mumtaz MirzaMumtaz Mirza
Quote
"haal na puchho roz-o-shab kaa koi anokhi baat nahin din ko kaise raat kahein ham raat bhi ab to raat nahin lagne ko to sehn-e-chaman mein donon achchhe lagte hain kaanTon mein jo apnaa-pan hai phulon mein vo baat nahin dil se bhulaa to dein ham un ko lekin is ko kyaa kiije sadiyon ki rudaad bhulaanaa apne bas ki baat nahin gulshan gulshan shaakh o shajar par roz nasheman jalte hain kis ne kahaa thaa mausam badlaa agle se haalaat nahin ek zaraa si baat pe kyuun hai itnaa hangaama 'mumtaaz' shisha-e-dil hi to TuuTaa hai aur to koi baat nahin"
Mumtaz MirzaMumtaz Mirza
Quote
"laai bahaar shauq ke saamaan nae nae duniyaa nai nai si dil o jaan nae nae saaqi ki ik nigaah ne bakhshi hayaat-e-nau dil mein machal gae mire armaan nae nae har aan tarz-e-nau se sataae hai aasmaan mere liye sitam ke hain unvaan nae nae barbaadiyon kaa apne nasheman ki gham nahin taamir ho rahe hain gulistaan nae nae fasl-e-bahaar aai mubaarak ho ai junun daaman nae nae hain garebaan nae nae us chashm-e-nim-baaz ki vo kam-nigaahiyaan dil mein utar gae mire paikaan nae nae masjid mein bhi fasaana buton kaa janaab-e-shaikh shaayad hue hain aap musalmaan nae nae 'mumtaaz' ik charaagh-e-sar-e-rahguzar sahi honge charaagh us se farozaan nae nae"
Mumtaz MirzaMumtaz Mirza