Quote
"tasavvur kahkashaan hotaa nahin hai to ab mujh se bayaan hotaa nahin hai taDap meri jabin ki baDh gai hai magar tu aastaan hotaa nahin hai miri qismat mein hai jaltaa sitaara bikhar ke jo dhuaan hotaa nahin hai miri saanson mein tu aTkaa huaa hai tabiat mein ravaan hotaa nahin hai khushi ab bhi mujhe hoti hai lekin vo pahlaa saa samaan hotaa nahin hai vo dariyaa hai jahaan ik baar guzre vo rasta be-nishaan hotaa nahin hai main us ke saath chalti jaa rahi huun jo meraa kaarvaan hotaa nahin hai tujhe ashkon mein main kaise bahaa duun tu mujh se raaegaan hotaa nahin hai mire lafzon mein hai zaahir magar tu nigaahon se ayaan hotaa nahin hai"







